Riwayat no 1 :
Imam Abu Jafer Ahmed bin Manii Rh. Al Mutawaffa 244 Hij. Farmaate hai ke
أَنا الْحَسَنُ بْنُ مُوسَى نَا أَبُو جَعْفَرٍ الرَّازِيُّ عَنِ الرَّبِيعِ بْنِ أَنَسٍ عَنْ أَبِي الْعَالِيَةِ عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ أَنَّ عُمَرَ أَمَرَ أُبَيًّا أَنْ يُصَلِّيَ بِالنَّاسِ فِي رَمَضَانَ فَقَالَ إِنَّ النَّاسَ يَصُومُونَ النَّهَار وَلَا يحسنون أَن (يقرؤا) فَلَوْ قَرَأْتَ الْقُرْآنَ عَلَيْهِمْ بِاللَّيْلِ فَقَالَ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ هَذَا (شَيْءٌ) لَمْ يَكُنْ فَقَالَ قَدْ عَلِمْتُ وَلَكِنَّهُ أَحْسَنُ فَصَلَّى بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَة
Sanad :
Imam Ahmed bin Manii Rh. — > Hasan bin Musa Rh. — > Abu Jafer ar Raazi Rh. — > Rabii bin Anas Rh. — > Abul Aaliya Rh. — > Ubai bin Ka’ab Rdh. — > Hazrat Umar bin Khattab Rdh.
Matan :
Hazrat Ubai bin Ka’ab rdh. Farmaate hai ke Hazrat Umar bin Khattab Rdh. ne Mujhe hukum diya ke Mai Ramzaan ki raat me Namaaz (e Taraaweeh) Pardhaao……Toh Ubai bin Ka’ab Rdh. ne Logo ko Ramzaan me 20 Rakaat (Taraaweeh) Pardhaayi.
(Musnad e Ahmed bin Manii, Bahawala Al Hadees ul Mukhtaara : Hadees no 1161, Ittehaaful Khairatul Mahrah Lil Busairi : Jild 2 : Safa 384)
Scan Page : Al Hadees ul Mukhtaara
Scan Page : Ittehaaful Khairatul Mahrah
Sanad ke Ruwaate ki Tafseel Yeh hai :
1 – Imam Ahmed bin Manii Rh. Imam Bukhari aur Imam Muslim Rh. ke Ustaad hai aur SIQA, Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm 114)
Scan Page :
2 – Hasan bin Musa al Baghdadi Rh. bhi Saheehain ke Raavi hai aur SIQA hai.(Taqreeb : Raqm 1288)
Scan Page :
3 – Isaa bin Abi Isaa Abu Jafer ar-Raazi Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Jamhoor Muhaddiseen aur Aimma e Rijaal ke Nazdeek SIQA hai, Jiski Tafseel Neeche Diye gaye Link par Maujood hai.
4 – Rabii bin Anas Rh. Al Mutawaffa 140 Hij Sunan e Arba ke Raavi hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm 1882)
Scan Page :
5 – Abul Aaliya al Basri Rh. Al Mutawaffa 90 Hij. Kibaar e Tabaa-in me se hai aur SIQA hai. (Taqreeb : Raqm no 1953)
Scan Page :
6 – Ubai bin Ka’ab Rdh. Al Mutawaffa 32 Hij.Mashoor Badri Sahabi hai. (Taqreeb, Al Kaashif)
7 – Umar bin Khattab Rdh. Al Mutawaffa 22 Hij. bhi Sahabi e Rasool aur Damaad e Ali Rdh. hai. (Taqreeb)
Lehaaza Yeh Sanad SAHEEH hai.
Yahi wajeh hai ke Imam Ziyauddin Maqdasi Rh. ne bhi is riwayat ko SAHEEH kaha hai. (Ahadees ul Mukhtaara, Tadaad e Qiyaam e Ramzaan ka Tehqeeqi Jayeza : Safa 24)
Scan Page : Tadaad e Qiyaam e Ramzaan ka Tehqeeqi Jayeza
Riwayat no 2 :
Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. Farmaate hai ke
أَخْبَرَنَا أَبُو طَاهِرٍ الْفَقِيهُ قَالَ: أَخْبَرَنَا أَبُو عُثْمَانَ الْبَصْرِيُّ قَالَ: حَدَّثَنَا أَبُو أَحْمَدَ مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْوَهَّابِ قَالَ: أَخْبَرَنَا خَالِدُ بْنُ مَخْلَدٍ قَالَ: حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ قَالَ: حَدَّثَنِي يَزِيدُ بْنُ خُصَيْفَةَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ قَالَ: «كُنَّا نَقُومُ فِي زَمَانِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ بِعِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرِ»
Sanad :
Imam Behaiqi Rh. — > Abu Taahir al Faqi Rh. — > Abu Usmaan al Basri Rh. — > Abu Ahmed Muhammed bin Abdul Wahab Rh. — > Khalid bin Makhlad Rh. — > Muhammed bin Jafer Rh. — > Yazeed bin Khusaifa Rh. — > Saa-ib bin Yazeed Rdh.
Matan :
Hazrat Saa-ib bin Yazeed Rdh. Farmaate hai ke Hum Hazrat Umar Rdh. ke Zamaane me 20 Rakaat (Taraaweeh) aur Witr Pardhte the.
(Maarifatus Sunan wal Aasaar : Jild 4 : Safa 42, Hadees no 5409)
Scan Page :
Is Sanad ke Ruwaat ki Tafseel Yeh hai :
1 – Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. Mashoor SIQA Muhaddis hai.(Taarekh ul Islaam)
2 – Abu Taahir al Faqi Rh. Al Mutawaffa 410 Hij. ka Naam Muhammed bin Muhammed bin Mahmish Abu Taahir al Faqi Al Ziyaadi Rh. hai.
Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. ne Aap Rh. ko Faqi, Allama, Al Qudma, Shaykh e Khurasaan aur Naisapur ke Ashaab ul Hadeees ke IMAM Qaraar diya hai.
(Taarekh ul Islaam : Jild 9 : Safa 157)
(Seer Alamun Nubula :Jild 17 : Safa 276)
Scan Page : Taarekh ul Islaam
Scan Page : Seer Alamun Nubula
Imam Subki Rh. Al Mutawaffa 771 Hij. Farmaate hai ke Shaykh Abu Taahir al Ziyaadi Rh. Apne Zamaane me Naisapur ke Imam ul Muhaddiseen wa Fuqaaha the.
(Tabqaat ush Shafa’iyya : Jild 4 : Safa 198)
Scan Page :
Imam Khaleeli Rh. Aap ke bare me Farmaate hai ke Aap Muttafiqa Taur par SIQA hai.(Al Irshaad Lil Khaleeli : Jild 3 : Safa 862)
Scan Page :
Lehaaza Aap Rh. SIQA hai.
3 – Abu Usmaan al Basri Rh. Jinka naam Amr bin Abdullah bin Dirham Abu Usmaan al Basri Rh. hai.
Imam Zehbi Rh. Aap Rh. ko Imam, Al Qudma, Zaahid, Saaleh aur Musnad e Naisapur Qaraar dete hai.
(Seer Alamun Nubula : Jild 15 : Safa 364-365)
(Tazkiratul Huffaaz : Jild 3 : Safa 45)
Scan Page : Seer Alamun Nubula
Scan Page : Tazkiratul Huffaaz
Neez, Imam Behaiqi Rh., Imam Ziyauddin Maqdasi Rh., Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. ne is riwayat ko SAHEEH aur HASAN Qaraar diya hai.
(Ma’arifatus Sunan wal Aasaar : Jild 3 : Safa 15, Hadees no 3845)
(Al Mukhtaara : Jild 6 : Safa 47, Hadees no 2018)
(Al Amaali ul Mutlaqa : Safa 77-78)
Scan Page : Ma’arifatus Sunan wal Aasaar
Scan Page : Al Mukhtaara
Scan Page : Al Amaali ul Mutlaqa
Aur Muhaddiseen ka Kisi riwayat ko SAHEEH ya HASAN Kehna, Ghair Muqallideen ke Nazdeek Us riwayat ki HAR HAR Raavi ki Tauseeq hoti hai.
(Namaz me Haat Kahan Bandhe : Safa 17)
(Anwaar ul Badr : Safa 27)
Scan Page : Namaz me Haat Kahan Bandhe
Scan Page : Anwaar ul Badr
Maloom huwa ke Abu Usmaan al Basri Rh. SIQA hai.
4 – Imam Abu Ahmed Muhammed bin Abdul Wahab Rh. Sunan Nasaai ke Raavi hai aur SIQA Aarif hai. (Taqreeb : Raqm 6104)
Scan Page :
5 – Khalid bin Makhlid Rh. Al Mutawaffa 213 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm 1677)
Scan Page :
6 – Muhammed bin Jafer al Ansaari Rh. bhi SAHEEHAIN ke Raavi hai aur SIQA hai.(Taqreeb : Raqm 5784)
Scan Page :
7 – Yazeed bin Khusaifa Rh. bhi SIQA hai. (Taqreeb : Raqm 7738)
Scan Page :
Ibn Khusaifa Rh. ki Siqaahat par Mazeed Tafseel Is Link par Maujood hai :
8 – Saa-ib bin Yazeed Rdh. Al Mutawaffa 91 Hij. Sahaabi e Rasool hai. (Taqreeb)
Maloom huwa ke is riwayat ke Saari Raavi SIQA hai aur Iski SANAD SAHEEH hai.
Note :
Is riwayat ki Ek aur Sanad bhi hai, Neez Ibn Khusaifa Rh. ki is riwayat ko Kai Muhaddiseen ne SAHEEH Qaraar diya hai aur Saat Saat Ulama e Ahlehadees ne bhi Is riwayat ki Tas-heeh ki hai aur SAHEEH Qaraar diya hai.
Yeh Saari Tafseel Darj e zail Link par Maujood hai :
Lehaaza Yeh riwayat bhi SAHEEH hai.
Riwayat no 3 :
Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. Farmaate hai ke
حَدَّثَنَا شُجَاعُ بْنُ مَخْلَدٍ، حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ، أَخْبَرَنَا يُونُسُ بْنُ عُبَيْدٍ، عَنِ الْحَسَنِ ، أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، فَكَانَ يُصَلِّي لَهُمْ عشرين ركعة
Sanad :
Imam Abu Dawud Rh. — > Shuja’a bin Makhlad Rh. — > Hushaim Rh. — > Yunus bin Obaid Rh. — > Hasan al Basri Rh.
Matan :
Hazrat Hasan al Basri Farmaate hai ke Hazrat Umar bin Khattab rdh. ne Ramzaan me Namaaz e Taraaweeh pardhaane ke liye hazrat Ubai bin Ka’ab Rdh. ki imaamat par logo ko jama kiya toh Ubai bin Ka’ab Rdh. unko 20 Rakaat pardhaate the.
(Sunan Abu Dawud, Bahawala Seer Alamun Nubula : Jild 1 : Safa 400-401)
Scan Page :
Is riwayat ki Ruwaat ki Tafseel Yeh hai ke
1 – Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. Mashoor Siqa, Hafiz aur Imam hai. (Taqreeb)
2 – Shuja’a bin Makhlad Rh. Al Mutawaffa 235 Hij. Saheeh Muslim ke Raavi hai aur SIQA hai. (Al Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal : Jild 6 : Safa 219)
Scan Page :
3 – Hushaim bin Basheer Rh. Al Mutawaffa 183 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur SIQA wa Mazboot hai. (Taqreeb : Raqm 7312)
Scan Page :
4 – Yunus bin Ubaid Rh. Al Mutawaffa 139 Hij. bhi Saheehain ke Raavi hai aur Siqa, Mazboot, Faazil aur Taqwe waale hai. (Taqreeb : Raqm 7909)
Scan Page :
5 – Imam Hasan al Basri Rh. Al Mutawaffa 110 Hij. Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Markazi Raavi hai aur Siqa, Faqi aur Mashoor hai. (Taqreeb : Raqm 1227)
Lehaaza Yeh Sanad SAHEEH hai.
Tambeeh :
Baaz Log Is riwayat ko Mursal Kehte hai, Lekin SAHEEH Baat Yeh hai ke yeh riwayat Muttasil hai aur SAHEEH bhi hai.
Iske Saat Saat Degar Tamaam Aiteraazaat ke Jawaabaat Darj e zail Link par Maujood hai.
Neez, Imam Abu Dawud Rh. ne is riwayat par Sukoot Ikhtiyaar bhi kiya hai, Jo ke Ghair Muqallideen ke Nazdeek riwayat ke SAHEEH hone ki DALEEL hai.
Riwayat no 4 :
Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. Al Mutawaffa 235 Hij. Farmaate hai ke
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ مَالِكِ بْنِ أَنَسٍ، عَنْ يَحْيَى بْنِ سَعِيدٍ، «أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ أَمَرَ رَجُلًا يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَةً»
Sanad :
Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Imam Wakii Rh. — > Imam Maalik bin Anas Rh. — > Yahiya bin Saeed Rh.
Matan :
Imam Yahiya bin Saeed Rh. Kehte hai ke Hazrat Umar bin Khattab Rdh. ne Ek Aadmi ko Hukum diya ke wo Logo ko 20 Rakaat Taraaweeh Pardhaaye.
(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Hadees no 7756)
Scan Page :
Is riwayat ke Raaviyo ki Tehqeeq Yeh hai ke
1 – Imam Abubakr Ibn Abi Shaiba Rh. Al Mutawaffa 235 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur SIQA Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm 3575)
2 – Imam Wakii bin Jarraah Rh. Al Mutawaffa 197 Hij. Bhi Saheehain ke Raavi hai aur SIQA, HAFIZ aur Aabid hai. (Taqreeb : Raqm 7414)
3 – Imam Maalik bin Anas Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Raavi hai aur Siqa, Imam e Darul Hijraah hai. (Taqreeb : Raqm 6425)
4 – Imam Yahiya bin Saeed al Ansaari Rh. Al Mutawaffa 144 Hij. bhi SIQA, Mazboot hai. (Taqreeb : Raqm 7559)
Scan Page :
Lehaaza Yeh Sanad SAHEEH hai, Albatta Yeh riwayat MURSAL hai.
Note :
Mursal riwayat Jamhoor Fuqaaha wa Muhaddiseen(Imam e Azam Abu Hanifa Rh., Imam Maalik Rh., Imam Auzaayi Rh., Imam Ahmed Rh. (Mashoor riwayat ke Mutaabiq), Imam Sufiyan Sauri Rh. Waghairah Hazraat ke Nazdeek Hujjat hai.
Tafseel Dekhiye,
Albatta Imam Shafa’ii Rh. aur Unke Hum Fikr Muhaddiseen ke Nazdeek Mursal Hujjat nahi, Lekin Mursal e Motadhid Hujjat hai.
Yaani Jab Mursal ki Taa-id Kisi Dusre Mursal riwayat ya Musnad se hojaaye, Toh Use Mursal e Motadhid Kehte hai, Jo ke Imam Shafa’ii Rh. aur Unke Hum Fikr Muhaddiseen ke Nazdeek Hujjat hai.
(Sharah Muslim Lin Nawawi : Jild 1 : Safa 30)
(Nuzhatul Nazr Li Ibn Hajar : Safa 220)
Scan Page : Sharah Muslim Lin Nawawi
Scan Page : Nuzhatul Nazr Li Ibn Hajar
Lehaaza Agarche Yeh riwayat Mursal hai, Lekin Dusre Musnad riwayaat Jo ke pehle Guzarchuki hai aur Aane waali Degar Mursal riwayaat ke saat Milkar Salaf ke Usool ke Mutaabiq Yeh riwayat bhi Hujjat Hogi.
Lehaaza Is riwayat ko Mursal Kehkar Inkaar Karna, Salaf-o-Saleheen ka Inkaar karna hai.
Yaad Rahe, Ghair Muqallideen ke Nazdeek bhi Mursal e Motazid HUJJAT hai.
Riwayat no 5 :
عَنْ مَالِكٍ، عَنْ يَزِيدَ بْنِ رُومَانَ أَنَّهُ قَالَ: «كَانَ النَّاسُ يَقُومُونَ فِي زَمَانِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ فِي رَمَضَانَ بِثَلَاثٍ وَعِشْرِينَ رَكْعَةً»
Sanad :
Imam Maalik Rh. — > Yazeed bin Rumaan Rh.
Matan :
Yazeed bin Rumaan Rh. Farmaate hai ke Log [Sahaba Kiraam wa Tabaa-in e Izaam Rahimahumullahu Alaihim] Hazrat Umar Rdh. ke Zamaane me 20 Rakaat Taraaweeh aur 3 Rakaat Witr pardhte the. (Muwatta Imam Maalik : Safa 115)
Is riwayat ki Tehqeeq Yeh hai ke
1 – Imam Maalik Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. SIQA hai, Jaisa ke Inki Tauseeq Guzar chuki.
2 – Yazeed bin Rumaan Rh. Al Mutawaffa 130 Hij. Sihaaye Sitte ke Raavi hai aur SIQA hai. (Taqreeb : Raqm 7712)
Scan Page :
Yeh riwayat bhi SAHEEH Mursal hai aur Jaisa ke Baat pehle Guzar chuki ke Ek Mursal Dusre Musnad aur Mursal ki Taa-id ki Wajeh se Qaabil e Qubool hoti hai.
Lehaaza Yeh riwayat bhi Hujjat aur Qaabil e Qubool hai.
Mutaabe no 6 :
Imam Muhammed bin Sa’ad Rh. Al Mutawaffa 230 Hij. Farmaate hai ke
قَالَ: أَخْبَرَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ أَبِي مُرَّةَ الْمَكِّيُّ قَالَ: حَدَّثَنَا نَافِعُ بْنُ عُمَرَ، عَنِ ابْنِ أَبِي مُلَيْكَةَ، إِنْ شَاءَ اللَّهُ قَالَ: بَلَغَنِي أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ أَمَرَ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ السَّايِبِ الْمَخْزُومِيَّ حِينَ جَمَعَ النَّاسَ فِي رَمَضَانَ أَنْ يَقُومَ بِأَهْلِ مَكَّةَ، فَكَانَ يُصَلِّي وَرَاءَ الْمَقَامِ مُسْتَأْخِرًا عَنِ الْمَقَامِ، وَيُصَلِّي بِصَلَاتِهِ مَنْ شَاءَ، وَمَنْ شَاءَ أَنْ يَطُوفَ طَافَ، وَمَنْ شَاءَ أَنْ يُصَلِّيَ فِي نَاحِيَةِ الْمَسْجِدِ صَلَّى، فَكَانَ عَلَى ذَلِكَ حَتَّى مَاتَ فِي زَمَنِ ابْنِ الزُّبَيْرِ. قَالَ ابْنُ أَبِي مُلَيْكَةَ: فَجِئْتُ أَسْمَاءَ فَكَلَّمْتُهَا فِي أَنْ تُكَلِّمَ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ الزُّبَيْرِ أَنْ يَأْمُرَنِي أَنْ أَقُومَ بِالنَّاسِ، فَقَالَتْ: ذَلِكَ لَهُ. فَقَالَ: تَرَيْنَهُ يُطِيقُ ذَلِكَ؟ قَالَتْ: قَدْ طَلَبَهُ. فَأَمَرَنِي فَقُمْتُ بِالنَّاسِ حَتَّى قَدِمَ عُمَرُ بْنُ عَبْدِ الْعَزِيزِ، فَقَالَ: لَقَدْ هَمَمْتُ أَنْ أَجْمَعَ النَّاسَ عَلَى إِمَامٍ وَاحِدٍ. فَقُلْتُ: سُنَّةٌ قَدْ كَانَتْ قَبْلِي. فَتَرَكْتُهُمْ، وَكَانَ ابْنُ أَبِي مُلَيْكَةَ يَقُومُ بِالنَّاسِ حَتَّى أُصِيبَ فِي بَصَرِهِ فِي زَمَنِ عُمَرَ بْنِ عَبْدِ الْعَزِيزِ. قَالَ نَافِعٌ: بَلَغَنِي أَنَّ قِيَامَ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ السَّائِبِ وَابْنِ أَبِي مُلَيْكَةَ عِشْرِينَ رَكْعَةً، عِشْرِينَ رَكْعَةً
Sanad :
Imam Ibn Sa’ad Rh. — > Abubakr bin Muhammed bin Abu Murrah al Makki Rh. — > Naafe bin Omer Rh. — > Ibn Abi Mulaika Rh.
Matan :
Ibn Abi Mulaikah Rh. Farmaate hai ke Mujhe Yeh baat Pahunchi hai ke Jis waqt Hazrat Umar Rdh. ne Ramzaan me Logo me Jama kiya, (Us Waqt) Hazrat Umar bin Khattaab Rdh. ne (Mere Shaykh) Abdullah bin Saaib Rdh. ko Hukum diya ke wo Ahle Makkah ko Namaz e Taraaaweeh Pardhaaye.
Raavi Kehte hai ke Abdullah bin Saa-ib Rdh. ka Qiyaam 20 Rakaat Hota tha.
(Tabqaat Ibn Sa’ad – Tabqaat e Raabe : Safa 353)
Yeh riwayat HASAN aur MUSNAD Hai.
Sanad ke Raaviyo ka Haal Yeh hai :
1 – Imam Ibn Sa’ad Rh. Al Mutawaffa 230 Hij. Sunan e Abu Dawud ke Raavi hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm 5903)
Scan Page :
2 – Abubakr bin Muhammed bin Abu Murrah Rh. Ibn Sa’ad Rh. ke Ustaad hai.
Unke bare me Ibn Sa’ad Rh. Farmaate hai ke
كَانَ عَالِمًا بِأُمُورِ مَكَّةَ.
Makkeh ke Maamulaat ke Aalim the.
(Tabqaat Ibn Sa’ad : Jild 3 : Safa 201)
Scan Page :
Yaad rahe, Kisi Raavi ko Aalim Kehna, Yeh Ghair Muqallideen ke Nazdeek Us raavi ki Tauseeq hoti hai. (Maqalaat : Jild 1: Safa 366)
Scan Page :
Maloom huwa ke Imam Ibn Sa’ad Rh. ke Nazdeek Abubakr bin Muhammed Rh. ki Tauseeq Saabit hai.
Lehaaza wo bhi Motabar raavi hai.
3 – Imam Naafe bin Umar Rh. Al Mutawaffa 169 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur SIQA, MAZBOOT hai. (Taqreeb : Raqm 7080)
Scan Page :
4 – Imam Ibn Abi Mulaika Rh. Al Mutawaffa 117 Hij. bhi Saheehain ke Raavi hai aur SIQA hai. (Taqreeb : Raqm 3454)
Scan Page :
Lehaaza Yeh Sanad HASAN hai aur MUSNAD hai.
Kyunke Ibn Abi Mulaikah Rh. Imam Ibn Abi Mulaikah Rh. ke bare me Khabar derahe hai, Jo ke Unke Ustaad hai. (Tehzeeb ul Kamaal)
Tambeeh :
Ek aur riwayat hai, Jisko Imam Muhammed bin Nasr al Marwazi Rh. Al Mutawaffa 294 Hij. ne SANAD ke Saat Naql kiya hai ke
قَالَ مُحَمَّدُ بْنُ كَعْبٍ الْقُرَظِيُّ: «كَانَ النَّاسُ يُصَلُّونَ فِي زَمَانِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً يُطِيلُونَ فِيهَا الْقِرَاءَةَ وَيُوتِرُونَ بِثَلَاثٍ»
Imam Muhammed bin Ka’ab al Qurdhi Rh. Al Mutawaffa 120 Hij. Farmaate hai ke Log [Sahaba Kiraam wa Tabaa-in e Izaam Rahimahumullahu Alaihim] Ramzaan me Hazrat Umar bin Khattab Rdh. ke Zamaane me 20 Rakaat Pardhte the aur Usme Lambi Qirat karte aur wo Sab 3 Rakaat Witr pardhte the.
(Qiyaam ul Lail, Bahawala Mukhtasar Qiyaam ul Lail : Safa 220)
Scan Page :
Algarz Yeh Saari riwayate Ek Dusre ki Muta’abiyaat kar rahi hai, Jisse 20 Rakaat waali Saari riwaayaat aur bhi Mazboot wa Qawi hojaati hai.
Jabke 11 Rakaat waali riwayat me Muhammed bin Yusuf Rh. ka Koi Unka Mutaabe nahi hai, Phir Unhone 20 Rakaat Taraaweeh ki Taraf Ruju bhi karliya hai.
Lehaaza SAHEEH Baat yahi hai ke Hazrat Umar bin Khattab Rdh. 20 Rakaat ka Hukum diya tha.
No comments:
Post a Comment