Aur Kehte hai ke Hum Ikhtelaaf ki Shakal me Kitaab wa Sunnat ki Taraf Lauto.
Lekin Unko Pata nahi hai, Khud Ahlehadees Firqe me Apas me Kitna Iktelaaf hai.
Aayi-ye ! Jo Quraan wa Hadees par Amal karne ka, Ikhtelaaf ki Surat me Quraan wa Hadees ki Taraf Lautne ka Dawa’a Karte hai aur Saat hi Saat Hanafi, Shafii ko Ikhtelaaf ka Ta’ana Dete hai, Unk Androoni Daastaan Dekhte hai, Tashahud me Ungli hilaane ke Masle par.
Pehla Ikhtelaafi Nazariya :
Ghair Muqallideen Ulama me Ek Jamaat wo hai, Jo Yeh Kehte hai ke Ungli Ashadu al-laa par Uthaana aur Illallah par Jhukaana Chahiye.
1 – Ahlehadees Aalim, Allama Ameer Yemeni Likhte hai ke (Tashahud me) Ishaara karne ki Jagah ‘laailaaha Illallah’ hai, Kyunke Behaiqi ki Ek riwayat me Huzur Saw ka amal Aisa hi hai.
(Subool us Salaam : Jild 1 : Safa 283)
Scan Page :
2 – Dusre Ghair Muqallid Aalim Maulana Sadiq Sialkoti Sahaab Likhte hai ke
Qaida e Tashahud me Bait-kar Jab Aap At-tahiyaat padhte huwe Kalma e Shahaadat par Pahuche, Toh Anghushte Shahaadat se Ishaara Kare.
(Salaat ur Rasool : Safa 447)
Scan Page :
Note : Sadiq Sahaab ne Mazeed Aage yeh bhi kaha hai ke Yeh Amal Hadees se Saabit nahi hai, Lekin pata nahi Phir yeh amal Kyun Bataa rahe hai : Jabke Unke Nazdeek yeh Saabit nahi hai ?
3 – Ghair Muqallideen ke Khateeb ul Hind Maulana Muhammed Junagadi Sahaab Likhte hai ke “aur Asha-allaa-ilaaha par Shahaadat ki Ungli Utaaye aur Illallah par Neeche Karde”. (Salaat e Muhammedi : Safa 16)
Scan Page :
4 – Maulana Abdul Ghaffar Salafi Sahaab Tashahud me Ungli Kab Utaayi Jaaye ke Sawaal ke Jawaab me Likhte hai ke
Jis Waqt Tashahud ho, Laailaaha Illallah par Pahunche, Tab Ungli ko Mutaharrik kare [Yaani Hilaaye].
(Fataawa Sattaariya : Jild 1 : Safa 65)
Scan Page :
5 – Maulana Ibrahim Sialkoti Rh. Ahlehadees Aalim ne bhi yahi kaha hai ke Ishaara Tashahud me Kalima Shahaadat par hona chahiye.
(Salaat un Nabi : Safa 42)
Scan Page :
6 – Ghair Muqallideen ke Mufti Abul Hasnaat Muhammed Saeedi Sahaab Farmaate hai ke Laa [Yaani Laailaaha] par Kalime ki Ungli utaaye aur Illallah par Rakh de.(Fataawa Ulama e Hadees : Jild 2 : Safa 183)
Scan Page :
7 – Ghair Muqallideen ke Buzurg Maulana Ishaq Sahaab bhi Yahi Kehte hai.
Dusra Ikhtelaafi Nazariya : Yeh hai ke Tashahud me Sirf Ishaara hi Kaafi hai.
Fazilatus Shaykh Hafiz Salahuddin Yusuf Sahaab Likhte hai ke Awwal toh [Ungli se] Ishaara hi Kaafi hai. (Masnoon Namaz : Safa 66)
Scan Page :
Aage Kehte hai ke Ungli se Ishaara Karna Daraasal Tauheed ki Gawaahi dena hai aurYEH MAQSAD SIRF UNGLI KE ISHAARA SE HAASIL HOTA HAI.
(Masnoon Namaz : Safa 67)
Scan Page :
Teesra Ikhtelaafi Nazariya : Yeh hai ke Tashahud me Baithte hi Ungli ko Harkat Dena chahiye, Salaam Phairne tak aur Abu zaid Zameer Is baat ke Qaayil hai.
Note :
Yeh Amal ka Khud Dusre Ulama e Ahlehadeeso ne RADD kiya hai,
Ahlehadees Aalim Salahuddin Yusuf hi Is Amal ka Radd Karte huwe Tehreer karte hai ke Ungli ko Musalsal Harkat Dete rehne ka bhi koi Waazeh Saboot Nahi.
(Masnoon Namaz : Safa 67)
Scan Page :
Ek aur Aalim Shaykh Umar Farooq Saeedi Sahaab Likhte hai ke
Harkat ki Takraar aur Kasrat, Jaisa ke Riwaaj hota jaaraha hai, USKI KOI BUNYAAD NAHI hai.
(Sunan e Abi Dawud Tarjuma : Hadees no 989)
Scan Page :
Li-Jiye, Khud Ahlehadees Hazraat hi ke Ulama e Kiraam is Amal ko Ghair Saabit aur Be-Bunyaad Qaraar dete hai.
Ghar ko Aag Lagi, ghar ke Chiraagh se.
Chou-tha Ikhtelaafi Nazariya : Yeh hai ke Sirf Duaa-e-Masuraa [Yaani Allahumma Zanamtu Nafsi……] me Harkat deni chahiye, Yaani Durood e Shareef ke baad aur Ahlehadees Aalim Zubair Ali zai is Baat ke Qaayil hai.
Chunaanche Hadiyatul Muslimeen : Safa 57 par Likhte hai ke ‘Durood ke baad Ishaara Karna’.
Scan Page :
Paanchwa Ikhtelaafi Nazariya: Yeh hai ke [1, 2 Baar] Harkat dene se Hadees par Amal Hojaayega.
Ghair Muqallideen ke Fazilatus Shaykh Hafiz Salaah uddin Yusuf Kehte hai ke Hadees me Harkat Dena ka Jo Zikr aaya hai, Toh Uska Maqsad Musalsal Harkat Dena nahi hai, Balke Ek 2 Martaba Harkat dene se Hadees par Amal Hojaata hai.
(Masnoon e Namaz : Safa 67)
Scan Page :
Ghair Muqallideen ke Muhaqiq Shaykh Umar Farooq Saeedi Sahaab Farmaate hai ke
[Tashahud me Ungli se] Chand baar Darmiyaan me Harkat de li-Jaaye, Taake Harkat waali hadees par Amal Hojaaye.
(Sunan e Abi Dawud : Hadees no 989)
Scan Page :
Isi Tarah Ungli ko Kaise Hilaayi Jaaye, Usme bhi Ahlehadeeso ka Ikhtelaaf hai :
Pehla Ikhtelaafi Qaul : Yeh hai ke [Tashahud me] Ungli ko upar se Neeche tak Hilaayi Jaaye aur yahi Ahlehadeeso ke Muballigh Faiz Syed Sahaab kehte hai.
[Video me Faiz Sahaab ki Ungli ko Ghaur Kare]
Dusra Ikhtelaafi Qaul : Yeh hai ke Ungli ko Utha-le aur Utaaye Huwe Aahista Aahista harkat de, aur Yahi Abu zaid zameer sahaab Kehte hai aur
Mazeed Jo Log Ungli ko upar se Neeche Tak Hilaate hai, Uska Zameer sahaab ne Mazaaq bhi Udaaya hai [Yaani Unhone Faiz sahaab ke qaul ka Mazaaq udaaya hai]
Teesra Ikhtelaafi Qaul Tashahud me Ungli Kaise Hilaaye Jaaye me, Usme Yeh hai ke Ungli Right Left Hilaayi jaaye aur Yahi Ghair Muqallideen ke Buzurg Maulana Ishaq Sahaab ki Raaye hai.
Ghair Muqallideen Hazraat se Guzaarish hai ke wo Yeh Bataaye ke, Inme se Konsa Aalim Haq par hai aur Kon Baatil par ?
Neez Agar In Ulama e Ahlehadees ne, Daleel ke Saamne Aane ke Bawa-jood Unko Na-Maan kar Apni hi Raaye ko Saheeh Samjha, Toh Kya unpar Mushrik hone ka Fatwe Lagega ?
Baraaye Meherbaani Quraan aur Hadees ki Rooshni me Jawaab de.
No comments:
Post a Comment