8 Rakaat ke Raavi Muhammed bin Yusuf Rh. ne 20 Rakaat Taraaweeh ki Taraf RUJU Kiya hai.

Imam Abubakr Abdullah bin Muhammed An-Naisapuri Rh. Al Mutawaffa 324 Hij.Apni Kitaab “FAWAAID” me Farmaate hai ke

حدثنا يوسف بن سعيد، ثنا حجاج، عن ابن جريج، حدثني إسماعيل بن أمية أن محمد بن يوسف ابن أخت السائب بن يزيد، أخبره أن السائب بن يزيد أخبره قال: جمع عمر بن الخطاب الناس على أبي بن كعب، وتميم الداري، فكانا يقومان بمائة في ركعة فما ينصرف حتى نرى أو نشك في فروع الفجر قال فكنا نقوم بأحد عشر قلت أو واحد وعشرين، قال: لقد سمع ذلك ابن السائب بن يزيد بن خصيفة، فسألت يزيد بن خصيفة، فقال: حسبت إن السائب قال إحدى وعشرين، قال محمد: أو قلت لإحدى وعشرين

Sanad :
Imam Abubakr An-Naisapuri Rh. — > Yusuf bin Saeed Rh. — > Hajjaaj Rh. — > Ibn Juraij Rh. — > Ismaail bin Umaiyya Rh. — > Muhammed bin Yusuf Rh. — > Saa-ib bin Yazeed Rdh. — > Umar bin Khattab Rdh.
Matan :
Muhammed bin Yusuf Rh. Al Mutawaffa 140 Hij. ko Saaib bin Yazeed Rdh. ne Kaha ke “Hazrat Umar bin Khattab Rdh. ne Logo ko Ubai bin Ka’ab Rdh. aur Tamaam ad-Daari Rdh. par Jama kiya……..wo Dono 11 Rakaat [Jisme 8 Rakaat Taraaweeh hai, Use] pardhaate the.
Jab yeh riwayat Muhammed bin Yusuf Rh. Apne Shaagird Ismaail bin Umaiyya Rh.Al Mutawaffa 144 Hij. ke Saamne Bayaan Farmaayi, Toh Unke Shaagird Ismaail bin Umaiyya Rh. ne (Unse) Kaha : (11 Rakaat) ya 21 Rakaat ?
Muhammed bin Yusuf Rh. ne Kaha :
Isi Tarah (11 Rakaat suna) Ibn Khusaifa Rh. ne Saaib bin Yazeed Rh. se.
Ismaail bin Umaiyya Rh. Kehte hai ke Maine (Is bare me) Yazeed bin Khusaifa Rh. se pucha :
Toh Yazeed bin Khusaifa Rh. ne Kaha :
Mujhe toh Lagta hai ke Saaib bin Yazeed Rdh. ne 21 Rakaat Kaha (tha). [Jisme 20 Rakaat Taraaweeh hai]
Note :
Ghair Muqallideen Ahlehadees Ulama yaha tak hi Yeh riwayat ko Naql Farmaate hai, Aage ka Jumla wo Hazraat ko Kyun Chupaate hai, Allah Behtar Jaanta hai ?
Dekhiye,
(Salaat ut Taraaweeh : Safa 58)
(Masnoon Taraaweeh : Safa 67-68)
Scan Page : Salaat ut Taraaweeh Lil Albaani
139231_Page58
Scan Page :
masnoon taraweeh final_Page68
Halaanke, Aage Isi riwayat me hai ke
(Phir) Muhammed bin Yusuf Rh. ne Kaha :
قال محمد: أو قلت لإحدى وعشرين
Balke Mai (bhi) 21 Rakaat Kehta hu.
(Fawaaid e Abubakr An Naisapuri MAKHTOOTA [Manuscript] : Hadees no 16)
Scan Page :
1
Is hadees se Maloom Chand Baatein Maloom huwi ke
1 – Jab Ismaail bin Umaiyya Rh. ne Muhammed bin Yusuf Rh. se Sawaal kiya ke Taraaweeh 8 Rakaat hai ya 20 Rakaat ? Toh Muhammed bin Yusuf Rh. ne Apni Baat ki Taa-id me Yazeed bin Khusaifa Rh. ko pesh kiya.
2 – Yazeed bin Khusaifa Rh. se Ismaail bin Umaiyya Rh. ne Jawaab Suna ke wo (Ibn Khusaifa Rh.) Toh 20 Rakaat Kehte hai, (Ghaalib Gumaan Yahi hai ke Ibn Umaiyya Rh. ne Jab yeh Baat Muhammed bin Yusuf Rh. ko Bataayi ke Ibn Khusaifa Rh. 20 Rakaat Kehte hai, Toh) Muhammed bin Yusuf Rh. ne bhi 20 Rakaat ki Taraf Ruju Kiya aur Aakheer me 20 Rakaat Taraaweeh hi bataaya hai, Jaisa ke riwayat me Zikr hai.
3 – Is riwayat se Maloom hota hai ke Hazrat Umar Rdh. ne 8 Rakaat ka hukum NAHI, Balke 20 Rakaat Taraaweeh ka Hukum diya tha.
Aur 8 Rakaat waali baat Muhammed bin Yusuf Rh. ki Ghalati hai.
Note no 1 :
Khud Ahlehadees Ulama ne Tasleem kiya ke SIQA Raavi se bhi Kabhi Kabaar Ghalati hoti hai, Chunaanche
Zubair ali zai Sahaab Ek Raavi par kiye Jaane waali Jarah ka Jawaab dete huwe Likhte hai ke
SIQA Raaviyo se bhi (Basa-Auqaat) Khata lag-jaati hai. (Namaaz me Haat Bandhne ka Hukum aur Maqaam : Safa 31)
Scan Page :
Seene pe hath bandhna Zubair Ali Zai_Page30
Lehaaza Jab Ahlehadees Hazraat ke Nazdeek SIQA se Ghalati Hosakti hai, Toh phir Muhammed bin Yusuf Rh. ki Ghalati par Koi Ta-ajjub Nahi hai, Jabke Uski DALEEL bhi Maujood ho.
Note no 2:
Hazrat Umar Rdh. ne Witr ki Kitni Rakaat ka Hukum diya tha, Iski Tehqeeq Darj e zail Link par Maujood hai.
Is riwayat ko Zikr karne ke baad, Imam Abubakr An-Naisapuri Rh. Al Mutawaffa 324 Hij. Farmaate hai ke

هذا حديث حسن

Yeh Hadees HASAN hai.
Mashoor Ahlehadees Muhaddis, Nasir uddin Albaani ne is riwayat ko SAHEEH Kaha hai. (Salaat ut Taraaweeh : Safa 58)
Scan Page :
139231_Page58 - Copy
Aur Ghaali Ghair Muqallid Aalim, Kifayatullah Sanaabili sahaab ne bhi isko DALEEL me pesh kiya hai. (Dekhiye, Masnoon Taraaweeh)
Sanad ke Ruwaat ki Tehqeeq :
1 – Imam Abubakr An-Naisapuri Rh. Al Mutawaffa 324 Hij. SIQA, Hafiz, Faqi hai.(Kitaab us Siqaat Lil Qaasim : Jild 6 : Safa 109)
2 – Imam Yusuf bin Saeed Rh. Al Mutawaffa 271 Hij. Bhi SIQA, Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm 7866)
Scan Page :
1531_Page611
3 – Imam Hajjaaj bin Muhammed Rh. Al Mutawaffa 206 Hij. Saheehain ke Raavi hai aur SIQA wa MAZBOOT hai. (Taqreeb : Raqm 1135)
Scan Page :
1531_Page153
4 – Imam Ibn Juraij Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Raavi aur SIQA, Faqi (aur) Faazil hai. (Taqreeb : Raqm 4193)
Scan Page :
1531_Page363
5 – Imam Ismaail bin Umaiyya Rh. Al Mutawaffa 144 Hij. Bhi SIQA hai. (Taqreeb : Raqm 425)
Scan Page :
1531_Page106
6 – Imam Muhammed bin Yusuf Rh. Al Mutawaffa 140 Hij. Bhi SIQA, Mazboot hai.(Taqreeb : Raqm 6414)
Scan Page :
1531_Page515
Note :
Agarche Muhammed bin Yusuf Rh. SIQA hai, Lekin Yaha is 11 Rakaat waali riwayat me Unse Ghalati huwi hai, Jaisa ke Tafseel upar Guzar chuki.
Neez, Ulama e Ahlehadees ne bhi Tasleem kiya hai ke SIQA se Ghalati Hosakti hai, Lehaaza is riwayat 8 Rakaat ka Zikr unki Ghalati ki wajeh se hai.
7 – Saa-ib bin Yazeed Rdh. Al Mutawaffa 91 Hij. Sahaabi e Rasool hai. (Taqreeb)
8 – Hazrat Umar bin Khattab Rdh. Al Mutawaffa 22 Hij. bhi Mashoor Sahabi aur Khalifa e Raashid hai. (Taqreeb)
Lehaaza Yeh Sanad SAHEEH hai.
Kifayatullah Sanaabili ka Aiteraaz :
Yazeed bin Khusaifa Rh. ke Qaul

حسبت إن السائب قال إحدى وعشرين

Mujhe Lagta hai ke Saa-ib bin Yazeed Rdh. ne 21 Rakaat Kaha hai, Iske bare me Ghair Muqallid Aalim Kifayatullah Sahaab Likhte hai (Jiska Khulaasa hai) ke
Is Ibaarat se Saaf Zaahir hai ke Yazeed bin Khusaifa Rh. ko Biz-zabt Ta’adaad (e Rakaat) Yaad na thi aur Ta’adaad ke bare me wo Tard-dud ke Shikaar the. (Masnoon Taraaweeh : Safa 71)
Al – Jawaab :
Kifayat sahaab Yeh Aiteraaz Saraasar MARDOOD hai, Isliye ke Yazeed bin Khusaifa Rh. ne yaha par Jo kaha hai ke ‘Mujhe Lagta hai ke Saa-ib bin Yazeed Rdh. ne 21 Rakaat [Jisme 20 Rakaat Taraaweeh hai, use] Kaha hai’.
Yaha par Yeh ‘حسبت’ ka Jumla Ba-taur Tarad-dud (Shak) ke liye nahi kaha gaya, Balke Yeh Lafz Ahtiyaat ke liye bhi Kaha jaata hai.
Kyunke Basa-auqaat Yeh Lafz Ahtiyaat ke liye Bola jaata hai.
Masalan,
Hazrat Anas bin Maalik Rdh. Farmaate hai ke

مَنْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “مَنْ كَذَبَ عَلَيَّ حَسِبْتُهُ قَالَ: مُتَعَمِّدًا – فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنْ النَّارِ”

Rasoolullah SAW ne Farmaaya : Jisne Mujhpar Jhoot bola (Yaha Hazrat Anas Rdh. Ahtiyaat ke Taur par Kehte hai ke Mujhe Lagta hai ke) Jaanbooch-kar, Toh wo Apna Thikaana Jahannum me Banaale.
(Sunan Ibn Majaah : Hadees no 32)
Scan Page :
سنن ابن ماجه بأحكام الألباني_Page19
Is Misaal se Saaf Zaahir horaha hai ke ‘حَسِبْتُ’ ka Lafz Ahtiyaat ke liye bhi Istemaal hota hai.
Yahi wajeh hai ke Agar Koi Ibn Yusuf Rh. ki is riwayat ka Tarjumah Dhiyaan se Dekh-le, Toh Siyaaq-o-Sabaaq se Yahi samjh me Aata hai ke Yaha is riwayat me ‘حَسِبْتُ’ ka Lafz Ahtiyaat ke liye hi Istemaal huwa hai.
Tarjumah par Ek Baar phir Ghaur Kare :
Muhammed bin Yusuf Rh. Al Mutawaffa 140 Hij. ko Saaib bin Yazeed Rdh. ne Kaha ke “Hazrat Umar bin Khattab Rdh. ne Logo ko Ubai bin Ka’ab Rdh. aur Tamaam ad-Daari Rdh. par Jama kiya……..wo Dono 11 Rakaat pardhaate the.
Jab yeh riwayat ne Muhammed bin Yusuf Rh. Apne Shaagird Ismaail bin Umaiyya Rh. Al Mutawaffa 144 Hij. ke Saamne Bayaan Farmaayi, Toh Unke Shaagird Ismaail bin Umaiyya Rh. ne (Unse) Kaha : (11 Rakaat) ya 21 Rakaat ?
Muhammed bin Yusuf Rh. ne Kaha :
Isi Tarah (11 Rakaat suna) Ibn Khusaifa Rh. ne Saaib bin Yazeed Rh. se.
Ismaail bin Umaiyya Rh. Kehte hai ke Maine (Is bare me) Yazeed bin Khusaifa Rh. se pucha :
Toh Yazeed bin Khusaifa Rh. ne Kaha :
Mujhe toh Lagta hai ke Saaib bin Yazeed Rdh. ne 21 Rakaat Kaha (tha).
(Phir) Muhammed bin Yusuf Rh. ne Kaha : Mai (bhi) 21 Rakaat Kehta hu.
Algarz Isse Saaf Maloom horaha hai ke Yazeed bin Khusaifa Rh. ne Ahtiyaat ke Taur Kaha hai, Tabhi toh Muhammed bin Yusuf Rh. ne Aakheer me 20 Rakaat Taraaweeh ko Tasleem kiya hai.
Neez,  ‘حَسِبْتُ’ ke bare me Arab Dunya ke Aalim Doctor Kamaal Baqaali ne bhi Apni Risaale ‘Fasl ul Khitaab’ kaha hai ke
Zaruri nahi hai ke Yeh (Lafz) Shak ke liye Istemaal kiya ho, Balke Mumkin hai ke (Yazeed bin Khusaifa Rh. ne Yeh Lafz) Ahtiyaat ke liye Kaha ho.
Dekhiye,
Note :
Kifayatullah Sahaab ne Aakheer ka Jumla ke

قال محمد: أو قلت لإحدى وعشرين

(Phir) Muhammed bin Yusuf Rh. ne Kaha : Mai (bhi) 21 Rakaat Kehta hu,Qiyaanat karte huwe CHUPAA LIYA, Taake wo Awaam ko Dhoka desake aur Apna Tarjuma aur Apni baat ko SAHEEH Saabit karsake.
Halaanke Makhtoote me Yeh Alfaaz ‘قال محمد: أو قلت لإحدى وعشرين’ Saaf Taur se Maujood hai, Jaisa ke Tafseel upar Guzar chuka.
Aise hi Dhoke Aksar Firqa Ahle hadees Bichaari Awaam ko Dete rehte hai.
Algarz Fawaaid e Naisapuri ki Is riwayat se Toh Yeh Maloom hota hai ke Muhammed bin Yusuf Rh. ne Rakaat ki Ta’adaad ke bare me Ghalati huwi, aur Aakheer unhone 20 Rakaat Taraaweeh ko SAHEEH Maana hai.
Yahi wajeh hai ke Doctor Kamaal Baqaali ne Apni Risaale ‘Fasl ul Khitaab’ Mazeed Kehte hai ke
Is Nass (Daleel) se pata chalta hai ke Muhammed bin Yusuf Rh. ko Ta’adaad SAHEEH tarah Yaad nahi thi.
Aur Iska bhi Inkaar Kifayatullah Mahez Apne Maslak ke Ta’assub me kiya hai, Jo ke BAATIL wa MAROOD hai.
Muhammed bin Yusuf Rh. ka Aakheer me 20 Rakaat Taraaweeh ko SAHEEH Maanne ki Ek aur Daleel Yeh bhi hai ke Ibn Yusuf Rh. ne Apne Shaagird Dawud bin Qais Rh. aur Dusre Logo ko 21 Rakaat Bataayi hai.
Chunaanche,
Imam Abdur Razzaaq As-San’aani Rh. Al Mutawaffa 211 Hij. Farmaate hai ke

عَنْ دَاوُدَ بْنِ قَيْسٍ، وَغَيْرِهِ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ، عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، ” أَنَّ عُمَرَ: جَمَعَ النَّاسَ فِي رَمَضَانَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، وَعَلَى تَمِيمٍ الدَّارِيِّ عَلَى إِحْدَى وَعِشْرِينَ رَكْعَةُ

Matan :
Muhammed bin Yusuf Rh. ne Saa-ib bin Yazeed Rdh. se riwayat kiya ke Hazrat Umar Rdh. ne Logo ko Ubai bin Ka’ab Rdh. aur Tameem ad-Daari Rdh. (ki Imaamat) ke Saat 21 Rakaat par Jama kiya. [Jisme 20 Rakaat Taraaweeh hai]
(Musannaf Abdur Razzaaq :  Hadees no 7730)
Scan Page :
miar04_Page261
Is riwayat ke Saare Raavi SIQA hai aur Saheeh Bukhari wa Saheeh Muslim ke hai.
Aur Yaad rahe ke,
Imam Abdur Razzaaq Rh. ne Yeh riwayat Dawud bin Qais Rh. [SIQA] ke Alaawa, Dusri Logo ko bhi Bayaan ki hai, Jaisa ke wo Farmaa rahe hai ke دَاوُدَ بْنِ قَيْسٍ، وَغَيْرِهِ’.
Lehaaza Yaha Ghair Muqallideen ka Waswasa ‘ke Ibn Yusuf Rh. se 21 Rakaat Naql karne me Dawud bin Qais Rh. Munfarid hai’ Mardood hai, Balke upar Imam Abubakr An Naisapuri Rh. ki riwayat upar Tafseel ke Saat Guzar chuki ke Usme Unhone Apne Dusre Shaagird Ismaail bin Umaiyya Rh. ko Aakheer me 21 Rakaat hi Kaha hai.
Aiteraaz :
Chunke Yeh riwayat Ahlehadees Maslak ke Khilaaf thi aur Unki 8 Rakaat waali riwayat Kamzoor Saabit horahi thi.
Isliye Kifayatullah Sahaab ne Ise Zaeef Qaraar dete huwe Kehte hai ke Yeh riwayat Siqa Raaviyo ki riwayat (Yaani 8 Rakaat waali riwayat) ke Khilaaf hai. (Masnoon Taraaweeh : Safa 82)
Halaanke Unka Yeh Aiteraaz bhi MARDOOD hai, Kyunke
1 – Is riwayat ko Khud Ahlehadees Maslak ke Ulama ne SAHEEH Kaha hai :
i – Shaykh Abdullah al Duwaish Al Mutawaffa 1407 Hij. Jo ke Saudi Salafi hai, Unhone Iski Sanad ke Rijaal ko SIQA aur SAHEEH ke Rijaal kaha hai. (Tanbeeh ul Qaari : Safa 42)
Scan Page :
6330_Page42
ii – Misr ke Mashoor Salafi Aalim, Shaykh Mustafa Al Adawi ne bhi Musannaf Abdur Razzaaq ki Yeh riwayat ko SAHEEH Qaraar diya hai. (Al Bahth Fii Adad Rakaat Qiyaam ul Lal : Safa 39)
Scan Page :
بحث في ركعات التراويح مصطفى العدوي_Page39
Yeh Toh Ahlehadees Maslak ke Ghar ki Gawaahi hai.
Ghar ko Aag Lagi,
Ghar ke Chiraagh se.
Neez, Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Akl Mutawaffa 852 Hij. ne Is riwayat ko Fathul baari me Naql Karke Sukoot Ikhtiyaar kiya hai.
(Fathul Baari : Jild 4 : Safa 253)
Scan Page :
04_2025_Page253
aur Ghair Muqallideen ke Nazdeek Hafiz ka Sukoot riwayat ke Motabar hone ki Daleel hai. (Ta’adaad e Taraaweeh : Safa 227)
Scan Page :
Mukalimat e Noorpoori_Page224
2 – Jab Muhammed bin Yusuf Rh. ne Khud Apni 8 Rakaat waali riwayat ko Ghalat Tasleem karke, Aakheer me 20 Rakaat Taraaweeh ko Bayaan kiya hai, Jaisa ke Abubakr An-Naisapuri Rh. ki riwayat guzar chuki.
Toh Kifayatullah ka Yeh Aiteraaz hi BAATIL hojaata hai.
Kyunke Hadees ke Raavi Khud Ibn Yusuf Rh. ne Aakheer me Apne Shaagird Ismaail bin Umaiyya Rh. ko 8 ke Bajaaye 20 Bataaye hai.
Lehaaza Jis Ta’adaad ko Ibn Yusuf Rh. ne Chor-diya, Usi ko Kifayatullah Sahaab Saabit karne par Tule hai, Taake unka Maslak Bach-jaaye.
Algarz Unka Aiteraaz BAATIL wa MARDOOD hai.
Note :
Baaz Ghair Muqallideen Yeh Kehte hai ke Muhammed bin Yusuf Rh. se Kai SIQA, Mazboot Shaagirdo ne 8 Rakaat Naql kiya hai, Lehaaza Unki riwayaat me 8 Rakaat hi Zyaada hai, Na ke 20.
Hum Kehte hai ke Yaha par Yeh Masla hai hi Nahi ke Zyaada Shaagirdo ne Kaunsi Baat Naql ki hai.
Balke Masla yeh hai ke SAHEEH Ta’adaad Kaunsi hai ?
11 Rakaat ya 21 Rakaat ?
i – Hum Kehte hai ke Imam Abubakr an -Naisapuri Rh. ki riwayat Bata rahi hai ke Muhammed bin Yusuf Rh. ne 21 Rakaat [Jisme 20 Rakaat Taraaweeh hai, Us] ki Taraf Ruju kiya tha.
Ab Yeh riwayat DALEEL hai ke Muhammed bin Yusuf Rh. ki riwayat me SAHEEH Ta’adaad e Taraaweeh 20 Rakaat hai.
ii – Phir, Hazrat Umar Rdh. ki Dusri riwaayato, Jinki Sanad Mukhtalif hai, unko Jama kiya Jaaye, Saari riwayato me  20 Rakaat Taraaweeh ka hi Zikr hai.
Dekhiye,
Tamaam Riwayaat ke Majmuaye se  aur Ibn Yusuf Rh. ka 8 Rakaat se 20 Rakaat Taraaweeh ki Taraf Ruju, Dono se Yahi baat Maloom horahi hai ke Hazrat Umar Rdh. ne 20 Rakaat ka hi Hukum diya tha.
Ek Ahem Point :
Umar Rdh. ke Hawaale se Ghair Muqallideen Jitni bhi riwayate pesh karte hai ke Hazrat Umar Rdh. ne 8 Rakaat Taraaweeh ka Hukum diya tha.
Unsab riwayato me Muhammed bin Yusuf Rh. hai.
Lehaaza Har wo riwayat Jisme Yeh Zikr ho, ke Hazrat Umar Rdh. ne 8 Rakaat ka Hukum diya, wo Sab riwayaato me Muhammed bin Yusuf Rh. hai.
Aur 8 Rakaat ki riwayat me Unse Ghalati hone ki Puri Tafseel se Guzar chuki.
Jabke 20 Rakaat Taraaweeh ki riwayaat 7, 7 Alag Alag Sanado se Marwi hai.
Kifayatullah ki Ek aur Na-kaam Koshish :
Kifayatullah ne Yazeed bin Khusaifa Rh. ko Kamzoor Saabit karne ki Koshish hai, Taake Hamaari 20 Rakaat Taraaweeh waali riwayat ko Shaaz aur Zaaef Saabit karsake.
Halaanke Yazeed bin Khusaifa Rh. SIQA, MAZBOOT Raavi hai, Unko Kisi Ek Motadil Muhaddis ne Zaeef Nahi kaha aur phir 20 Rakaat ki riwayat Naql karne me Yazeed bin Khusaifa Munfarid Nahi hai, Balke Unke Muta’abiyat me 6,6 Sanadein Jisse Unki riwayat HASAN toh Dur ki baat hai, aur Alaa Darje ki Mazboot Banjaati hai.
Jabke Hazrat Umar Rdh. se 8 Rakaat Naql Karne me Muhammed bin Yusuf Rh. Akele hai, aur Unka Koi Mutaabe bhi Nahi hai.
Phir unhone 8 Rakaat se Ruju bhi karliya hai, Algarz 8 Rakaat ki riwayat Ghalat hai.
Yahi wajeh hai ke Hafiz ul Maghrib, Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. ne bhi Muhammed bin Yusuf Rh. 8 Rakaat ki riwayat ko Ghalat (Wahem aur Zaeef) Qaraar diya hai.
(Al Istizkaar Li Ibn Abdul Barr : Jild 5 : Safa 156)
Scan Page :
estzkar05_Page156
Yazeed bin Khusaifa Rh. ki SIQAAHAT par puri Tafseel Is Link par Maujood hai.

No comments:

Post a Comment