FAZAIL E DUROOD O SALAM - VIRTUES OF SENDING BLESSING ON PROPHET ﷺ

FAZAIL E DUROOD O SALAM - VIRTUES OF SENDING BLESSING ON PROPHET  
Allah عزوجل Quran e Karim me Farmata hai

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُو اتَسْلِيمًا
"Beshak Allah Aur Uske Farishte Darood Bhejte Hai Us Gaib Batane Waale Nabi Par, Aye Imaan Waalo Unpar Durood Aur Khoob Salam Bhejo"
(Al Quran Surah Al Ahzaab Ayat : 56)
Aayat e Mubaraka k Nuzool ka pasmanzar ye hai k kuffar aur Munafikeen ki toli Huzoor Nabi E Karim ﷺ ki Dil aazari karte the jiske baad Allah  عزوجل ne ye aayaat e Mubaraka Nuzool karke Mehmool e Rabbil Aalimeen ﷺ ko wo makam o martaba ata kiya aur kaha k agarche ye chand log hai jo Aap ﷺ ki dil aazari karte hai jo dardnaak aazab k mustahik hai par Huzoor e Akram ﷺ ki shan o azmat to khud unka Paak Parwardigar bayan farma raha hai uske farishto ko mukkarrar kar rakha hai jo Huzoor  ﷺki Shan e Akdas me Durood o salam padhte hai kayamat tak aane waale Musalmano par bhi laazim kar diya k uske Mehmboob par Durood o salam bheja karo.
Chunanche Allama Ismail Hakki Al Hanfi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه ne apni tafseer Ruhool Bayan me likha hai Is aayat e karima k nuzool k baad Huzoor ﷺ k chehra e Mubarak Noor ki kirane lootane laga aur farmaya
“Mujhe Mubarakbaad Pesh Karo Kyuki Mujhe Wo aayat e Mubaraka ata Ki gayi hai jo Mujhe Dunya Wa Maafiha (yaani jo kuch dunya aur isme hai) sabse zyada Mehboob hai”
(Tafseer E Roohul Bayan, Vol : 07, Pg : 223, para 22 Surah Ahzab Ayat 56)
Is aayat e Karima me Allah  عزوجل ka Durood Bhejna bhi hai aur Farishto k saath saath Hum Musalmano ko bhi durood bhejna hai Agarche Lafz Allah  عزوجل Farishto Aur Imaan waalo k liye ek hi istemal kiya gaya hai par iske maane Mukhtalif honge ye yaad rahe.
Imam Baghawi Ash Shafai رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه iske maane ko bayan farmate hai
“Allah  عزوجل k durood bhejna hai REHMAT naazil farmana Jabki Farishto aur Hamara Durood Dua E Rehmat Karna Hai”
(As Shara Us Sunnah, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : As Salat Alan Nabi , Pg : 280)
Shaikul Islam Allama Ibn Hajar Al Asqalani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Allah عزوجل k Durood bhejne k maane ko bayan farmate hai “Allah  عزوجل Buzurg Wa Bartar Aap  ki Tarif Aur Azmat bayan Farmata Hai" (Futuhool Bari Shara E Sahi Bukhari,Kitabu Dawaatt, Baab : As Salat Alan Nabi , Pg : 131/132, Hadees : 6358)
Durood Sharif padhne ka Sharai Hukm
Allama Mufti Muhammad Amzad Ali Khan Sadrusharia رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه likhte hai
"Umr Me Ek baar Durood Sharif padhna farz hai aur har jalsa e zikr me ek baar durood sharif padhna wajib hai"
(Bahar e Shariat Vol : 01, Pg : 533)

DUROOD SHARIF PADHNE K FAZAIL
Hadees 01 :
Asim bin Ubaidullah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  bayan famate hai hai Unhone Abdullah ibn Amir رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se suna k unhone unke walid se suna k Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya -
"Jo Mujh Par Darood Bhejta Hai To Jab Tak Wo Mujhe Pe Durood Bhejte Rehta Hai Farishte Uske Liye Duaye Rehmat Karte Hai Ab Bande Ki Marzi Hai Kam Padhe ya Zyada"
Reference :
(Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 490, Kitab No 05 - Kitab Ikamat Al Salat Wa Sunnat, Hadees : 907)

Hadees 02:  
Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim ﷺ ne Irshad farmaya
"Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood Bheja Allah Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai"
Reference :
(Sahi Muslim Vol : 01, Kitab No 04 - Kitabus Salat,Baab No 17, Pg : 216, Hadees : 408)
Hadees 03:
Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim ﷺ ne Irshad farmaya
"Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood e Paak Padha Allah Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai Uske Namaye Aamal Me 10 Nekiya Likhta Hai"
References :
(Jamai Tirmizi Vol 02, Pg:28,Kitab No 03 - Kitabul Witr, Hadees : 485)

Hadees 04:
Hazrat Abdullah ibn Masood رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k Rasool E Karim ﷺ ne Irshad farmaya
"Baroze Kayamat Logo Me Se Mere Karib Tar Wo Hoga Jo Mujhpe Sabse Zyada Durood Padhe Honge "
References :
(Jamai Tirmizi Vol 02, Pg:28,Kitab No 03 - Kitabul Witr, Hadees : 484)
(Sahi Ibn Hibban Vol : 03. Pg : 192, Hadees : 911)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02. Pg : 212, Hadees : 1563)
(Imam Daylami Al Musnadul Firduas Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 250) (Imam Bukhari ne Tareekh Ul Kabeer, Vol : 05, Pg : 177, Hadees : 559) (Khateeb Tabrezi ne Mishkatul Masabeeh Vol : 01, Pg : 278, Kitab us Salat, Baab No : 16, Hadees : 293)
Hadees 05:
Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat hai Nabi E Akram  ﷺ ne Irshad farmaya
"Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood e Paak Padha Allah Uspar 10 Rehmatein Nazil Farmata, 10 Gunaah Mitata Hai aur 10 Darjaat Buland Farmata Hai"
References :
(Sunan Nasai Vol 03,Pg :222, Kitab No 13 - Kitabus Sauh,  Baab No 55 Huzoor Nabi E Karim ﷺ Par Salat O Salam Bhejne K Fazail, Hadis :1297)
( Imam Bukhari ne Al Adabul Mufrad Vol : 01, Pg : 225, Hadees : 643)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 210, Hadees : 1554)

DUROOD SHARIF KITAB ME LIKHNE KI BARKAT KA BAYAN
Hadees 06:
Rasool E Karim ﷺ ne Irshad farmaya
"Jisne Kitab par Mujhpe Durood E Paak Likha To Jab Tak Mera Naam Uspar Hoga Farishte Uske Liye Istagfaar Karte Rahenge"
Reference :
(Imam Tabrani ne Al Muajamul Ausaat Vol : 01, Pg : 497, Hadees : 1830) Is baare me ek chiz ka khayal rakhe k Kitab ko kisi acchi jagah rakhe aur hifazat se rakhe taaki be adbi na ho.
MAJLIS ME DUROOD E PAAK  PADHNE KI BARKAT
Hadees 10:
Rasool E Karim ﷺ ne Farmane Aalishan hai
"Mujh Par Durood Sharif Padh Kar Apni Majalis Aaraasta Karo K Tumhara Durood E Paak Padhna Baroze Kayamat Tumhare Liye Noor Hoga"
Reference :
(Firdosul Akhbar Vol : 01, Pg : 422, Hadees : 3149)

Hadees 11 :
Ummool Momineen Ayesha Siddika Tahira Radi Allaho Anha Farmati Hai
"Apni Majlis Ko Nabi E Karim Par Durood E Paak Padhke Aarasta Karo"  
References :
(Khatib Bagdadi ne Tarikh E Baghdad Vol : 07, Pg :216) Isliye hum ahle sunnat ka ye riwaz hai k hum durood e mubaraka ki majalis sazate hai aur Allah 
عزوجل ki hamd ko sana aur Rasool E karim  Par Durood e Mubaraka padhte hai. Alhamdullilah ab kuch logo k yaha to Durood ki mazalis munnakid karna hi haram o shirk o biddat hai khair aise badnasimo ka ilaaz bhi nahi hai.
HUZOOR NABI E KARIM ﷺ DUROOD E MUBARAKA PADHNA WAALE KA NAAM BHI JAANTE HAI - SUBHAN ALLAH
Hadees  12:
Huzoor E Akram ﷺ ne Irshad farmaya
“Beshak Allah عزوجل ne ek Farishta meri Kabr pe Mukkarar Farmaya Hai Jisko Tamam Makhlook Ki Awaazein Sun ne ki Takat Di Hai pas Kayamat tak jo Koi Mujhpe Durood e Paak Padhta hai To Wo Mujhe Uska Aur Uske Baap Ka Naam Pesh Karta Hai Aur Kehta Hai "Fula Bin Fula Ne Aap Par Is Wakt Durood E Paak Padha Hai"
Reference :  
(Musnad E Bajjar Vol : 06, Pg : 200, Hadees : 1320)

Hadees 13:
Huzoor E Akram ﷺ ne Irshad farmaya
Beshak Tumhara Naam Ba E Shanakth Mujh Par Pesh Kiye Jaate Hai Lihaja Mujh Par Ahsaan (Yaani Khubsoorat) Alfaaz me Durood E Paak Padha"
Reference :  
(Musannif Ibn Abdul Razzak, Vol : 02, Pg :140, Baab As Salato Alan Nabi ﷺ  Hadees : 3116)
Click Here For NEXT POST NEXT POST OR POST 02 OF DUROOD E PAAK

No comments:

Post a Comment