WASEELA PART2

WASEELA  COMPLETE DETAIL

الوسيلة
التي كتبها
 الشيخ محمد عمران الصيفي

INDEX

1)      TAUHEED O SHIRK KYA HAI?
2)      TAUHEED O SHIRK ME WASEELA PER AITRAAZ AUR USKAY JAWAAB
3)      WASEELA KA MAANA
4)      WASEELA KYA HAI?
5)      NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KAY ZAHIRI DUNIYA ME AANE SE PEHLE KA WASEELA PER DALAIL
6)      QURAN KI ROSHNI ME WASEELA
7)      NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI ZAHIRI ZINDAGI ME WASEELA
8)      NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KAY BAAD WAFAT KA WASEELA
9)      IMAMO’N KA AQEEDAH WASEELA PER
10)  IBN TAYMIYA KA AQEEDA WASEELA PER
11)  WASEELA PER HAWALA JAAT SIHA SITTA AUR DIGAR AHADEES KI KITAAB SE.
12)  DEOBAND SE WASEELA KA SABOOT



AL-WASEELA
TUJH KO KYA DEGE YEH SHAH E MADINA PER CHODDE
TU GHULAM HAI UNKA SAB KUCH UNKI ATAA PER CHODDE
APNI BAKSHISH KI FIKR KARNE WALA TU HAI KAUN
YEH MUSTAFA KA KAAM HAI MUSTAFA PER CHODDE (SALLALLAHUALAIHIWASALLAM)
AUR KYA HAI BIDDAT KYA HAI SUNNAT
FAISLA TU KHUD NA KAR
YEH BARELVI KAY SHAH E IMAM AHMED RAZA PER CHODDE.

AKSAR HUMNE DEKHA HAI KI WAHBI DEOBANDI WASEELA KO SHIRK QARAR DETE HAI AUR BAAZ HARAM KEHTE HAI.IN LOGO ME HI CONFUSION HAI KI SHIRK HAI YA HARAM INHE KHUD PROPER NAHI PATA LEKIN BAS KEHDETE HAI.
TOH HUM SABSE PEHLE TAUHID KYA HAI ISE JANNE KI KOSHISH KARTE HAI, KAI AISI JAMAAT JO TAHUEED KAY TEHKEDAAR APNE AAPKO KEHTI HAI WOH GHUMTI HAI AUR KEHTI HAI AAO NAMAZ KI TARAF AAO ROZO KI TARAF BIDDAT CHODDO AUR BAAZ LOG JAMAAT KAY TOH DIRECT NAAM BHI LELETE HAI KI BARELI BIDDATI HAI INHE CHODDO AUR AAO TAUHEED KI TARAF,SHIRK SE BACHE BIDDAT SE BACHE.
LEKIN BARELVI KA DAAWAH HAI KI JO TAUHEED KAY TEHKEDAAR HAI WOH KHUD SHIRK ME MUBTILAH HAI (YEH ALAG MAUZU HAI INSHA ALLAH AINDA ARTICLE ME ISKA KHULASA KIYA JAYEGA)


TAUHID KYA HAI??
JAWAAB: LA ILAHA ILALLAH: NAHI KOI MAABUD SIWAYE ALLAH KAY.
AQEEDA E TAUHEED: ALLAH KO EK JANNA, MANNA, ALLAH KI ZAAT O SIFAAT ME KISI KO SHARIK NA KARNA, HAMESHA SE HAI HAMESHA RAHEGA, NA USKI KOI BIWI HAI, NA USNE KOI BACCHA JANA,NA WOH KISI SE PAIDA HUA,NA USE AUNG AAYE NA NEEND.NA KISI KA BAAP HAI NA KISI KA BETA AUR NA USKE SAATH KA KOI.ALLAH TAALA KO GAIR HAADIS SAMAJNA.
ALLAH TAALA KAY ALAWA TAMAM JAHAN ME JITNI CHIZEIN HAI SAB HAADIS HAI AUR ISKI ZIDD AATI HAI SHIRK.
SHIRK KEHTE KISE HAI?
JAWAAB: ALLAH TAALA KAY SAATH KISI KO SHARIK KARNA. (SURAH LUQMAN AAYAT NO.13)





TAUHEED O SHIRK ME WASEELA PER AITRAAZ AUR USKAY JAWAAB

1.       AB ILZAM KYA LAGATE HAI TAUHEED KAY TEHKEDAAR,BARELVI SHIRK ME HAI.KIS TARAH SHIRK KARTE HAI.GAIRULLAH SE MADAD MAGNA SHIRK HAI,JAISA MUNAFIQO’N NE BUTTO KO WASEELA SAMAJKAR ALLAH KA QURB HASIL KARNE KAY LIYE YEHI KAAM BARELVI AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KARTI HAI.
AL-JAWAAB  : BUZURGO’ N ,NABI,WALI ,AULIYA,SALEHEEN KA WASEELA SHIRK NAHI KYUKAY ALLAH NE HUKUM DIYA INKA WASEELA LENE KA AUR MUNAFIQ JO BUTTO KA WASEELA LETE THE UNHE SHAFI JAANTE THE,ALLAH TAALA NE BUTTO KO SHAFI QARAR NA DIYA BALKI MUNAFIQNE KHUD BUTT BANAYE AUR USE APNA WASEELA BANALIYA.


SURAH BAQRAH: AAYAT NO. 255:
TARJUMA: “AUR KAUN HAI JO ISKI IJAZAT KAY BAGAIR ISSE (KISI KI) SIFARISH KARSAKE”.

JAB ALLAH TAALA NE BUTO’N KO IJAAZAT DI HI NAHI TOH WAHBI INHE SHAFI KIS BINA PER KEHTE HAI? ALLAH TAALA NE SHAFI TOH PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO DI HAI,INKO SHAFI MANO.
HUMNE PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO SHAFI MAANA TOH ALLAH KAY HUKUM SE MAANA AUR MUNAFIQO’N NE BINA ALLAH KI IJAZAT KAY BUTO’N KO SHAFI MAANA.


PARA 16, SURAH TAHA AAYAT NO. : 109
TARJUMA: “US ROZ (HASHR KAY DIN KISI KI) SHAFA’AT KISI KO NAFA NA DEGI SIWAYE USKE JISKO REHMAN NE IJAZAT DI”.
AB BATAO KHABISO KI ALLAH NE PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO IJAZAT DI YA NAHI? YEH ME TUMHARE ZIMME CHODDTA HU KI SAABIT KARE IJAZAT NAHI DI.

HADEES ME AATA HAI: NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE FARMAYA MERI SHAFA’AT TOH BADE GUNAHGAARKAY LIYE HAI

(DAWUD :: BOOK 40 : HADITH 4721 (KITAB AL-SUNNAH),
SUNAN IBN MAJA  VOL. 1 PAGE 329 HADITH 4452,
SUNAN ABI DAWOOD VOL. 2 PAGE 296 HADITH 4741,
SUNAN TIRMIDHI VOL. 2 PAGE 66 HADITH 2623,
MUSTADRAK LIL HAAKIM VOL. 1 PAGE 69,
SUNAN KUBRA VOL. 10 PAGE 190,
AL MAU'JAM AL KABEER HADITH 11454 VOL. 10 PAGE 189,
MAWARID AZ ZAMAN HADITH 2596 PAGE 345,
KANZ AL UMMAL HADITH 39055 VOL. 14 PAGE 398)

QURAN KEHTA HAI: KAUN HAI ALLAH KI IJAZAT KAY BAGAIR SHAFA’AT KARE
NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KA FARMAN HAI HADEES SE SAABIT HAI KI, AAPKO IJAZAT MILGAI HAI, MERI SHAFA’AT MERE UMMAT KAY BADE GUNAHGAARO’N KAY LIYE HAI.

PARA 30 SURAH DUHA AAYAT NO. 5:
TARJUMA: “A MEHBOOB HUM AAPKO AAKHIRAT KAY DIN ITNA DEGE KI AAP RAAZI HOJAYEGE”

IS AAYAT KI TAHSREEH ME EK HADEES HAI:
TARJUMA: “A LOGO TUMSAB GAWAH HOJAO KAY A MEHBOOB HUM AAPKO ITNA DEGE ITNA DEGE YAHA TAKKI AAP RAAZI HOJAO,ME US WAQT TAK APNE RAB SE RAAZI NA HOUNGA JAB TAK ME US SHAKS KO JAHANNAM SE NIKAL DU JISKAY DIL ME RAI KAY BARABAR BHI IMAAN HAI”

TOH PATA CHALA MAALOOM HUA KI MUNAFIQ NE BUTO’N KO KHUD BANAKAR WASEELA SAMJHA AUR HUMNE JO PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KA WASEELA SAMJATE HAI TOH WOH SAB ALLAH KAY HUKUM SE HAI.
2.       SHAFA’AT KAY BAAD JAB WASEELA BANAKAR MUNAFIQ BUTO’N KO PUJA KARTE UNHE APNA MAABOOD TASLEEM KARTE AUR SOCHTE KI BUTO’N KI JITNI PUJA KAREGE UTNA FAYDA HOGA.


SURAH ZUMUR AAYAT NO. : 3
“ALLAH FERMATA HAI MUSHRIKEEN APNE BATIL MABUDO’N KO PUJTE THE AUR KEHTE THE HUM INHE NAHI PUJTE MAGAR ISLIYE PUJTE HAI TAAKI YEH ALLAH TAK HUMKO PAHUCHA DE”.


AB IS AAYAT ME GAUR KARE TOH MUSHRIKEEN WASEELA TOH MANTE THE LEKIN SAATH ME PUJTE BHI THE.
AB ME SAWAAAL KARTA HU KI KAUN HAI WOH MUSALMAN AHLE SUNNAT WAL JAMAAT ME JO ALLAH TAALA KAY ALAWA PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO PUJTA HAI INKO MAABOOD TASLEEM KARTA HAI INKI IBADAT KARTA HAI?

HUM KISI PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO NAHI PUJTE AUR NAAHI KOI KHABEES ISE SAABIT KAR SAKTA HAI.TOH YAHA SE BAAT SAAF HOJATI HAI KI HUM PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO SHAFAAT KARNE WALA JAANTE HAI LEKIN MAABUD NAHI MAANTE.
3.       MUNAFIQ BUTO’N KO WASEELA BANATE AUR PUJTE BHI THE AUR KAISE PUJTE KI JITNI TAAQAT ALLAH KO HAI UTNI HI IN BUTO’N KO BHI HAI (MAZ ALLAH) HAR CHIZ ME YEH BUTT ALLAH KAY SAATH BARABAR ME SHARIK KARTE THE (NAUZBILLAH).
SURAH SHURA AAYAT NO.97 - 98:
AUR QAYAMAT KAY DIN WOH MUSHRIKEEN KAHEGE “KHUDA KI QASAM HUM TOH BAHUT BADI GUMRAHI ME THE KAY HUMNE IN BUTO’N KO RABUL AALAMIN KAY BARABAR TEHRAYA DIYA THA”
TOH SAABIT HUA KI MUNAFIQ MUHSRIKEEN NE BUTO’N KO WASEELA JANNE KAY SAATH SAATH ALLAH TAALA KA SHARIK BHI TEHRAYA.
LEKIN AHLE SUNNAT WAL JAMAAT PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO KHUDA KA SHARIK NAHI JAANTI NAHI MANTI.
YEH HOGAYA SHIRK KHATAM KYUKAY HUM PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KO KHUDA NAHI SAMAJTE AUR NAAHI ALLAH TAALA KA SHARIK TEHRATE HAI.YEH HUMARA AQEEDAH HAI HI NAHI.
BILFARZ
JO SHAKS YA KHABIS KO ITMINAAN NA HUA HO IN DALIL SE KAY WASEELA SHIRK NAHI AUR MUSHRIKEEN WASEELA KIS TARAH JAANTE THE MAANTE THE AUR AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KA SAHI AQEEDAH KYA HAI.
TOH HUM KAHEGE QURAN ME EK AAYAT HAI USKA JAWAAB DE AAP.

SURAH MAIDA AAYAT NO. : 35.
TARJUMA: “AYE EIMAN WALO, ALLAH SE DARO AUR USKI TARAF WASEELA TALASH KARO AUR USKI RAAH ME JIHAD KARO, IS UMID PAR KI TUM FALAAH PAAO.”
AB YAHA PER IMAAN WALO SE MUKHATIB KIYA GAYA HAI KI ALLAH KI TARAF WASEELA DHUNDO
AUR SABSE PEHLA HUKUM KYA DIYA ALLAH NE?
ALLAH SE DARO AUR BANDA KIS TARAH DARTA HAI KHUDA SE ? NAMAZ ROZA ZAKAAT HAJJ NA KARE AUR KAHE KI ME ALLAH SE DARTA HU.(KYA YEH MUMKIN HAI??)

ALLAH SE DARNE KA MATLAB KYA HAI?? NAMAZ KA WAQT HUA,HUM NAMAZ PADHNE GAYE,ZAKAT KAY WAQT PURI SAHI ZAKAT ADAA KI,RAMZAN ME ROZA RAKHE IBADAT KI,ALLAH NE MAAL O DAULAT DI HUMNE HAJJ KIYA.YEH HAI DARNA ALLAH SE AUR IN TAMAM CHIZO SE DARNE KAY BAAD HUKUM DIYA KI ALLAH KI TARAF WASILA DHUNDO.
YEH NAHI KAHA KI YEH SAB AMAL KARO JANNAT MILJAYEGI,TUM SAB HASHR ME PAAS HOJAUGE AGAR AISA HOTA KI BINA WASEELA HI YEH SAB AMAL KARLO TOH IBLEES KA KYA HAAL HUA ?
DUNIYA ME RAI KAY BARABAR BHI AISI KOI JAGAH NAHI JAHA IBLEES NE SAJDA NA KIYA HO LEKIN JAB ALLAH TAALA NE HUKUM DIYA KI HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM KO SAJDA KARO TOH IBLEES KAY ALAWA TAMAM FARISHTO’N NE SAJDA KIYA.AUR ALLAH TAALA KO YEH BAAT NAGAWARA HUA KI IBLEES NE SAJDA NAHI KIYA AUR SHAITAAN BANADIYA GAYA.
GAUR O FIKR KARE TOH NABI KA WASEELA THUKRA DIYA AUR SHAITAAN BANGAYA AUR TAMAM FARISHTO NE TAZEEMI SAJDA KARKE HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM KO ALLAH KA QURB HAASIL KIYA LEKIN IBLEES NE WASEELA THUKRAYA AUR SHAITAAN MARDOOD BANGAYA.
TOH PATA CHALA KI AMAL THUKRAYA JAA SAKTA HAI MAGAR WASEELA NAHI AUR WASEELA DHUNDNE KA HUKUM HAI IS AAYAT ME JISSE BANDE GUMRAH NA HO.
AUR WASEELA SHIRK YA HARAM HAI TOH IS AAYAT ME WASEELA KAISA????
KHABIS AITRAZ : IS PER KHABIS  YEH AITRAAZ KAREGA KI YAHA WASEELA SE MURAAD PAIGAMBER, NABI, AULIYA, WALI, SALEHEEN KA WASEELA NAHI BALKI AMAAL HAI.
HUMARA JAWAAB: ME PEHLE YEH JANNA CHAHUGA KI KHABISO’N DECIDE KARLO KI KYA GAIRULLAH KA WASEELA SHIRK HAI YA NAHI? FIR ME AAPAKA JAWAAB DUGA KYUKAY AAPLOG HI KEHTE HAI KI GAIRULLAH KA WASEELA HI SHIRK HAI, ALLAH TAALA KAY ALAWA KISI KA BHI WASEELA SHIRK HAI.
PEHLE TAYE KARLO KI GAIRULLAH KA WASEELA SHIRK HAI YA NAHI.AGAR SHIRK HAI TOH KYA AMAAL ALLAH HAI YA GAIRULLAH HAI?? KYUKAY WAHBIYO’N KAY BADO NE APNI KITAB ME LIKH RAKHA HAI ALLAH KAY ALAWA KISI KA WASEELA JAYAZ NAHI TOH AMAAL GAIRULLAH HAI ISKA WASEELA JAYAZ KAISE HOGAYA? TUM TUMHARE BADO’N  KAY KHILAF BOL RAHE HO PADHO (TAQWIYATUL IMAAN BY ISMAIL DEHLVI).


AUR TUM WAHBI APNE BADO KI KITAABO’N INKAR NA KARTE HUE,UNKI BAATO KO TASLEEM KARTE HO KI ALLAH TAALA KAY ALAWA KISI KA WASEELA JAYAZ NAHI HAI FIR DALIL KYUDETE HO QURAN SE KI SABR O NAMAZ SE WASEELA LO(SURAH BAQRAH AAYAT NO.153)
NOTE: JAB GAIRULLAH SE WASEELA SHIRK HAI TOH NAMAZ, SABR, AAMAL GAIRULLAH HAI YA ALLAH HAI???
ALBATTA MAALOOM HUA KI USKA WASEELA SHIRK HAI JISKI IJAZAT ALLAH TAALA NE NA DI.

AB KUCH WAHBI YEH BHI KEHTE HAI.
SURAH QAAF AAYAT NO.16
TARJUMA: “AUR HUM DIL KAY RAG SE BHI ZYADA NAZDEEK HAI”
YAH SABSE BADI DALEEL HAI WAHBIYO’N KI FIR ISKE BAAD INKI DALEELEI KHATAM HOJAATI HAI BAS ITNI HAD HAI INKI.
KEHTE HAI : ALLAH TUMHARI RAG SE BHI ZYADA KARIB HAI WOH DEKHTA HAI SUNTA HAI TOH PHIR WASEELA KYU BANATE HO?
AB JAWAAB SUNE: ALLAH TAALA NE FARMAYA KI ALLAH QAREEB HAI AISA TOH NAHI KAHA KI BANDA MUJHSE QAREEB HAI?? FARK HAI YEH DONO BAAT ME KHOOB FARK HAI. ALLAH TAALA KA BANDE SE NAZDIK HONA AUR BANDO KA ALLAH TAALA KAY NAZDEEK HONA KHOOB FARK HAI,ALLAH TAALA HAR BANDE SE QAREEB HAI TOH ABU JAHAL SE BHI QAREEB HAI,NAMRUD SE BHI QAREEB HAI,FIRAUN SE BHI QAREEB HAI LEKIN KYA YEH BANDE ALLAH TAALA KAY QAREEB THE ?? AGAR HOTE TOH GUMRAH WA KAFIR NA HOTE AUR GUMRAH HUE KYUKAY BICH ME NABI KA WASEELA NAHI THA.
JISNE NABI KO WASEELA BANAYA WOH ALLAH KAY QAREEB HOGAYE AUR JO KHUD DIRECT KA DAAWAH KARNE LAGE WOH GUMRAH HOGAYE.
IS AYAAT KI TAHSREEH ME MAUALANA RUMI NE EK WAQYA LIKHA HAI APNI KITAB MASNAVI ME JO 8 JILD ME AATI HAI AUR MAKTAB ME PADHAI JAATI HAI.AAP LIKHTE HAI ISI AAYAT KAY TAHET
“EK JAUHRI THA USKE PAAS BADA HI KIMTI HEERA THA,USNE SOCHA ISE BECH DETE HAI AUR JO KEEMAT I GI USE ME APNA QAROBAR CHALUGA AUR FIR TARAKKI KA SOCHEGE,AB WOH HEERA BADA KEEMTI HAI AUR IS SHAHER ME KOI AISA NAHI JO ISKA SAHI DAAM DE SAKE AUR KHARID SAKE AUR EK HI SHAKS HAI JO HERE KI KEEMAT DE SAKTA HAI WOH HAI BAADSHAH E WAQT,MAGAR RAAJDHANI BAHUT DOOR THI IS JAUHRI KAY GAU SE,TOH IS JAUHRI NE SOCHA KI SAFAR TAY KARTE HAI RAJDHANI KA AUR BADSHAH KI KHIDMAT ME HEERA PESH KAREGE TOH BADHSHAH KHARID LEGA.AB YEH JAUHRI HEERA LEKAR NIKLA ITTEFAK SE EK CHOR KO PATA CHAL GAYA KI YEH JAURI KEEMTI HEERA LEKAR RAJDHANI  BADHSHAH E WAQT KAY PAAS JAA RAHA HAI AB JAUHRI NE KAI TAZKIRA KIYA HOGA TOH BAAT FELTE FELTE CHOR TAK PAHUCH GAI.CHOR NE SOCHA YEH SAFAR KA MAUKA BADA ACCHA HAI TANHA HOGA TAB HEERA CHORI KARLUGA TOH SAATH ME HOLIYA JAUHRI KAY SALMA QALAM KIYA AUR PUCHA JAUHRI SE KI AAP KAHA JAARAHE HAI TOH JAUHRI NE BATAYA RAJDHANI BADHSHAH SE MILNE AUR CHOR NE BHI KAHA KI ME BHI RAJDHANI JAA RAHA HU CHALIYE ACHA HAI DONO SAATH ME CHALEGE TOH WAQT BHI KATT JAYEGA,JAUHRI KO THODA SHAK HOGAYA KI JAAN NA PEHCHAN AUR YEH MERE SAATH HOGAYA CHALNE KAY LIYE.AB RASTA SOCHTA RAHA KI HERE KI HIFAZAT KA KYA KARNA HAI,AB CHALET CHALET SHAM HUI TOH JAUHRI JO HUSHYAR BHI THA AQALMAND BHI THA USNE CHOR SE KAHA KI RAAT HONE WALI HAI HUMDONO EK SAATH NAHI SO SAKTE.EK KAAM KARTE HAI RAAT KAY AADHE HISSE TUM SOJAO AUR DUSRA RAKHWALI KARE ISI TARAH SAAMAN KI BHI HIFAZAT RAHEGI.CHOR NE HAA KEHDIYA AUR JAUHRI NE KAHA PEHLE TUM SOJAO ME PEHRA DETA HU,CHOR NE HAAMI BHARLI AUR SOGAYA.JAB CHOR SOGAYA PURI NEEND ME TOH JAUHRI NE APNA HEERA BADI CHALAKI SE CHOR KAY KAPDO ME CHUPA DIYA TAAKI CHOR KO PATA NA CHALE KI HEERA USI KAY PAAS HAI FIR AADHI RAAT HUI TOH JAUHRI NE CHOR KO UTHAYA AUR KAHA AB ME SOTA HUT UM PEHRA DENA,CHOR UTHGAYA PEHRA DENE LAGA,JAB JAUHRI GEHRI NEEND ME SOGAYA TAB CHOR NE HEERA TALASH KARNA SHURU KIYA LEKIN SUBAH TAK USE HEERA JAUHRI KAY PAAS NA MILA,FIR DONO UTHE AUR SAFAR TAY KIYA. SAFAR 7 DINO KA THA TOH DUSRI RAAT FIR PEHLE CHOR SOYA TAB JAUHRI NE CHECK KIYA KI HEERA HIFAZAT SE HAI CHOR KAY PAAS AUR AADHI RAAT HONE PER FIR CHOR KO UTHAYA AUR KHUD JAUHRI SOGAYA,SONE KAY CHOR NE DHUNDNA SHURU KIYA TOH USE FIR HEERA NA MILA,YEHI SILSILA 7 RAAT TAK CHALA JABTAK WOH RAJDHANI NA PAHUCHE, FIR KISI TARAH CHALAKI SE JAUHRI NE HEERA HAASIL KIYA AUR USE HAATH ME UCHAL THA HUA CHOR SE KAHA KI AB HUM RAJDHANI PAHUCH GAYE HAI TOH TUM APNE RASTE JAO AUR ME APNE RAASTE,CHOR PARESHAN KI ME 7 RAAT DHUNDTA RAHA HEERA MUJHE NA MILA LEKIN HAI WOH JAUHRI KAY PAAS HEERA.CHOR NE KAHA TUMHE RAB KA WAASTA EK CHIZ PUCHNI HAI KI TUM YEH HEERA KAHA CHUPATE THE JO MUJHE NA MILA KYUKAY ME CHOR HU.JAUHRI NE JAWAAB DIYA “HEERA TERE QAREEB HI THA LEKIN TU HEERE KAY QAREEB NA THA” FIR PURA WAQYA BAYAN KIYA.
YEH MAUALANA RUMI NE IS AYAAT KI TAHSREEH ME LIKHTE HAI AUR FARMATE HAI BAYAINI HI ALLAH TAALA APNE BANDE SE QAREEB HOTA HAI LEKIN BANDO KA ALLAH TAALA SE QAREEB HONA AUR HAI.
BANDA QAREEB HOGA JAB DARMIYAN ME WASEELA HOGA.                                              






WASEELA KA MAANA
IMAM RAAGIB ASFAHANI: WASEELA KAY MANE KISI CHIZ KI TARAF RAGBAT KAY SAATH PAHUCHNE (YAANI TAWASSUL)KAY HAI AUR WASEELA ME RAGBAT KA PEHLU SHAMIL HONE KU WAJAH SE YEH “WASEELA” SE KHAS HAI (MUFRDAAT ALFAAZ UL QURAN 871)
IBN MANZOOR LAFZ “WASEELA” KI TEHQEEQ KARTE HUE LIKHTE HAI: DARHAQEEQT WASEELA WAH CHIZ HAI JISKAY ZARIYA KISI TAK PAHUCHA JAAYE AUR US KA QURB HAASIL KIYA JAAYE. (LISAN UL ARAB 11:725)
IMAM ZAMAKHSHARI KEHTE HAI: HAR WAH CHIZ JISSE KAY ZARIYA ALLAH TAK PAHUCHA JAAYE YAANI QURB HAASIL KIYA JAYE ISE HI WASEELA KEHTE HAI. (TAFSEER UL KASFH 1:488)

WASEELA KYA HAI?

WASEELA ALLAH TAALA QURB HAASIL KARNA HAI, AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT ME WASEELA KAY TALUQ ME HAYAT O WAFAT KA PAIMANA HI NAHI BALKI QURBIYAT DEKHI JAATI HAI KAY ALLAH TAALA NE KISE SHAFI BANAYA KISE QURBIYAT ATAA KI HAI AUR INHI KA WASEELA TALASH KARNE KA HUKUM BHI AAYA HAI QURAN ME. LEKIN WAHBI KEHTE HAI BAAD WAFAT WASEELA JAYAZ NAHI TOH IS PER HUM ILZAMI SAWAAL KARTE HAI KI JAB NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM ZAHIRI DUNIYA ME MAUJUD THE TOH WASEELA JAYAZ THA AUR BESHAK ALLAH TAALA NE AAPKO WOH QURBIYAT ATAA KI KAY AAPKI DUA KABHI RADD NAHI HOSAKTI TOH WAHBIYON KO CHAHIYE KI AISI DALIL PESH KARE KAY JISSE YEH SAABIT HO KI ZAHIRI DUNIYA ME QURB THA AUR WAFAT BAAD QURBIYAT KHATAM HOJAATI HAI.
NOTE: QAYAMAT TAK KA WAQT DETA HU, YEH DALIL LAAKAR DIKHADE.


NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KAY DUNIYA ME AANE SE PEHLE WASEELE KA SABUT.

HADEES : HAZRAT ABDUALLAH BIN ABBAS (RADI ALLAH TA'ALA ANHU) NAIN FARMAYA:
"KAHYBAR K YAHOODI GHATFAAN QABEELAY SAY BAR SAR E PAYKAAR RAHA KARTY THY (YANI LARTY REHTY THY), PAS JAB BHI DONO KA SAMNA HUA YAHOODI SHIKAST KHA GAAY. PHIR YAHOODIYUN NAIN IS DUA K ZAREEAY PANAH MANGI:
'AY ALLAH HUM TUJH SAY UMMI NABI MUHAMMAD MUSTAFA (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) K WASEELAY SAY SAWAL KARTY HAIN JINHAIN TO TU NAIN AKHRI ZAMANA MAIN HAMARY LIAY BHYJNY KA HUM SAY WADA FARMAYA HAY K IN (DUHSMANON) K MUBQABLY MAIN HAMARY MADAD FARMA.'
RAWI KEHTY HAIN: PAS JAB BHI WO DUSHMAN K SAMNY AY TO UNHOUN NAIN YEHE DUA MANGI AUR GHATFAAN (QABEELA) KO SHIKAST DI. LAYKIN JAB HUZUR NABI AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) MAB'US HUAY TO UNHOUN NAIN (AAP SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM KA) INKAR KIYA. IS PAR ALLAH TA'ALA NAIN YEH AYAT UTARI:
'HALNKY IS SAY PEHLY WO KHUD AY MUHAMMAD (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM)! AP K WASEELAY SAY KAAFIRON PAR FATAH-YAABI KI DUA MANGTY THY.' "

REFERENCES
#1
FROM : HAAKIM BOOK : AL MUSTADRAK VOLUME : 2 PAGE : 316 HADITH NUMBER : 3101
FROM : AAJRI BOOK : AS SHARI'AH PAGE : 448
FROM : BAYHAQI BOOK : DALAAIL AN NUBUWWAH VOLUME : 2 PAGE : 76 SCAN PAGE NICHE HAI :
FROM : IMAM JALAL UD DIN SUYUTI BOOK : DAR AL MANTHUR VOLUME : 1 PAGE : 467-468 SCAN PAGE NICHE HAI :

2)
HADEES: HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS (RADI ALLAH TA'ALA ANHU) SAY RAWAYAT HAY K
HUZUR NABI AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) K BE'SAT SAY QABL YAHOOD AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) K WASEELAY SAY (QABEELA) AUS E KHAZRAJ PAR FATAH MANGA KARTY THY, MAGAR JAB ALLAH NAIN AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) KO ARAB SAY ZAHIR KIYA TO WO AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) K MUNKAR HO GAAY.
EK MARTABA BANU SALMAH K MU'ADH BIN JABAL (RADI ALLAH TA'ALA ANHU) AUR BISHAR BIN BARAA BIN MA'ROOR (RADI ALLAH TA'ALA ANHUMA) NAIN UNHAIN KAHA:
'AY YAHOOD ! ALLAH TA'ALA SAY DARO AUR ISLAM LAY AO, JAB HUM AHL-E-SHIRK THY TO TUM NAAM E MUHAMMAD (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) K SATH HUM PAR FATAH MANGA KARTY THY, AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) K BE'SAT AUR SEERAT KO HUM PAR PAISH KARTY THY.'
YEH SUN KAR SALAM BIN MISHKAM (YAHOODI) NAIN KAHA:
'YEH WO NABI NAHI JIS KA ZIKAR HUM KARTY THY AUR JO SIFAAT HUM BAYAN KARTY THY, WO IS MAIN NAHI. '

IS PAR ALLAH TA'ALA NAIN YEH AYAT UTARI:

وَلَمَّا جَاءَهُمْ كِتَابٌ مِّنْ عِندِ اللّهِ مُصَدِّقٌ لِّمَا مَعَهُمْ وَكَانُواْ مِن قَبْلُ يَسْتَفْتِحُونَ عَلَى الَّذِينَ كَفَرُواْ فَلَمَّا جَاءَهُمْ مَّا عَرَفُواْ كَفَرُواْ بِهِ فَلَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى الْكَافِرِينَ

اور جب ان کے پاس اللہ کی طرف سے وہ کتاب (قرآن) آئی جو اس کتاب (تورات) کی (اصلاً) تصدیق کرنے والی ہے جو ان کے پاس موجود تھی، حالانکہ اس سے پہلے وہ خود (نبی آخر الزمان حضرت محمد صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اور ان پر اترنے والی کتاب قرآن کے وسیلے سے) کافروں پر فتح یابی (کی دعا) مانگتے تھے، سو جب ان کے پاس وہی نبی (حضرت محمد صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اپنے اوپر نازل ہونے والی کتاب قرآن کے ساتھ) تشریف لے آیا جسے وہ (پہلے ہی سے) پہچانتے تھے تو اسی کے منکر ہو گئے، پس (ایسے دانستہ) انکار کرنے والوں پر اللہ کی لعنت ہے

"AUR JAB UN K PAS ALLAH KI TARAF SAY WO KITAB (QURAN) AI JO US KITAB (TORAAT) KI (ASLAN) TASDEEQ KARNY WALI HAY AUR JO UN K PAS MAUJOOD THI, HALANKY IS SAY PEHLY WO KHUD (NABI AKHIR UZ ZAMAN HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) AUR UN PAR UTARNY WALI KITAB QURAN K WASEELAY SAY) KAAFIRON PAR FATAHYABI KI DUA MANGTY THY. SO JAB UN K PAS WOHI (NABI HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) APNY UPER NAZIL HONAY WALI KITAB QURAN K SATH) TASHREEF LAY AYA JISY WO (PEHLY HI SAY) PEHCHAANTY THY TO USI K MUNKAR HO GAAY, PAS (AYSY DANISTAH) INKAR KARN WALON PAR ALLAH TA'ALA KI LANAT HAY."
SORAT AL BAQARAH AYAT NUMBER 89

REFRECNES:
#1
FROM : ABU NU'YM BOOK : DALAEL UN NUBUWWAH VOLUME : 1 PAGE : 82 HADITH NUMBER : 43

FROM : IBN E HAJR 'ASQALANI BOOK : AL ISABAH VOLUME : 2 PAGE : 383.
FROM : TABARI BOOK : JAMI' AL BAYAN VOLUME : 1 PAGE : 411 SCAN PAGE NICHE HAI :
FROM : IBN E ABI HAATIM BOOK : TAFSEER IBN E ABI HAATIM VOLUME : 1 PAGE : 172
FROM : IBN E KATHEER BOOK : TAFSEER AL QURAN AL AZEEM VOLUME : 1 PAGE : 326 SCAN PAGE NICHE HAI.


3)
HAZRAT ALI AZDI (RADI ALLAH TA'ALA ANHU) RAWAYAT KARTY HAIN K YAHOOD KAHA KARTY THY:
AY ALLAH! HAMARY LIAY US NABI (UMMI) KO BHYJ JO HAMARY DARMAYAN FAISLA KARY,
UN K ZAREEAY (AUR WASEELA SAY) FATAH TALAB KARTY THY YANI UN K WASEELAY SAY LOGOUN PAR GHALBAH MAANGA KARTY THY.


REFERENCES
#1
FROM: BAYHAQI BOOK: DALAIL AN NUBUWWAH VOLUME: 2 PAGE: 76 SCAN PAGE NICHE HAI :
FROM : TABARI BOOK : JAMI' AL BAYAN VOLUME : 1 PAGE : 411 SCAN PAGE NICHE HAI.


FROM : IBN E KATHEER BOOK : AL BADAYAH WAN NIHAYAH VOLUME : 2 PAGE : 274

4) IMAM QURTUBĪ

قال ابن عباس : كانت يهود خيبر تقاتل غطفان فلما التقوا هزمت يهود , فعادت يهود بهذا الدعاء وقالوا : إنا نسألك بحق النبي الأمي الذي وعدتنا أن تخرجه لنا في آخر الزمان إلا تنصرنا عليهم . قال : فكانوا إذا التقوا دعوا بهذا الدعاء فهزموا غطفان , فلما بعث النبي صلى الله عليه وسلم كفروا , فأنزل الله تعالى: " وكانوا من قبل يستفتحون على الذين كفروا " أي بك يا محمد 
QURTUBĪ, AL-JĀMI‘ LI-AHKĀM-IL-QUR’ĀN, 2:27
5) MAHMUD ALUSĪ
وكانوا من قبل يستفتحون على الذين كفروا نزلت في بني قريظة والنضير كانوا يستفتحون على الأوس والخزرج برسول الله صلى الله عليه وآلهوسلم قبل مبعثه قاله ابن عباس وقتادة والمعنى يطلبون من الله تعالى أن ينصرهم به على المشركين كما روى السدي أنهم كانوا إذا اشتد الحرب بينهم وبين المشركين أخرجوا التوراة ووضعوا أيديهم على موضع ذكر النبي صلى الله عليه وآله وسلم وقالوا:اللهم إنا نسألك بحق نبيك الذي وعدتنا أن تبعثهفي آخر الزمان أن تنصرنا اليوم على عدونا فينصرون فلما جاءهم ما عرفوا كفروا به كنى عن الكتاب المتقدم بما عرفوا لأن معرفة من أنزل عليهمعرفة له ووجه الدلالة من هذه الآية ظاهر فإن الله سبحانه أقر استفتاح اليهود بالرسول ولم ينكره عليهم وإنما ذمهم على الكفر والجحود بعد إذ شاهدوا بركةالاستفتاح بالنبي صلى الله عليه وآله وسلم .
MAHMŪD ALŪSĪ, RŪH-UL-MA‘ĀNĪ (1:320)
6) IMAM JALĀL-UD-DĪN MAHALLĪ AND IMAM JALĀL-UD-DĪN SUYŪTĪ
IN MAHALLĪ AND SUYŪTĪ, TAFSĪR-UL-JALĀLAYN (P.14)
7) IBN KATHĪR, TAFSĪR-UL-QUR’ĀN AL-‘AZĪM (1:124)
8) IMAM SUYŪTĪ, AD-DURR-UL-MANTHŪR (1:88)
9) ‘ABDULLĀH BIN MUSLIM BIN QUTAYBAH, TAFSIR GHARĪB-IL-QUR'ĀN (P.58).   
10) IBN JARĪR TABARĪ, JĀMI‘-UL-BAYĀN FĪ TAFSĪR-IL-QUR’ĀN (1:325).
11) BAGHAWĪ, MA‘ĀLIM-UT-TANZĪL (1:93).
12) ABŪ AL-FADL AL-MĪBADĪ, KASHF-UL-ASRĀR WA ‘UDDAT-UL-ABRĀR (1:272).
13) IBN-UL-JAWZĪ, ZĀD-UL-MASĪR FĪ ‘ILM-IT-TAFSĪR (1:114).
14) MUJĀHID BIN JUBAYR, TAFSĪR (1:83).
15) BAYDĀWĪ, TAFSĪR (1:122).
16) NASAFĪ, AL-MADĀRIK (1:61).
17) KHĀZIN, LUBĀB-UT-TA’WĪL FĪ MA‘ĀNĪ AT-TANZĪL (1:65).
18) MUHAMMAD BIN YŪSUF ABŪ HAYYĀN ANDALUSĪ, TAFSĪR-UL-BAHR-IL-MUHĪT (1:303).
19) IBRĀHĪM BIN ‘UMAR BIQĀ‘Ī, NAZM-UD-DARAR FĪ TANĀSUB-IL-ĀYĀT WAS-SUWAR (2:36-7).
20) MUHAMMAD BIN ‘ABD-UR-RAHMĀN HASANĪ HUSAYNĪ, JĀMI‘-UL-BAYĀN FĪ TAFSĪR-IL-QUR’ĀN (1:23).
21) ABŪ SA‘ŪD ‘AMĀDĪ, IRSHĀD-UL-‘AQL-IS-SALĪM ILĀ MAZĀYĀ AL-QUR’ĀN AL-KARĪM (1:128).
22) ISMĀ‘ĪL HAQQĪ, TAFSĪR RŪH-UL-BAYĀN (1:179).
23) SULAYMAN BIN ‘UMAR, AL-FUTŪHĀT-UL-ĀLIHIYYAH (1:77-8).
24) SHAWKĀNĪ, FATH-UL-QADĪR (1:112).
25) MUHAMMAD RASHĪD RADĀ, TAFSĪR-UL-MANĀR (1:381).
26) IBN JUZAYY, KITĀB-UL-TASHĪL LI-‘ULŪM-IT-TANZĪL (1:53).
27) KHATĪB SHURBĪNĪ, AS-SIRĀJ-UL-MUNĪR (1:76).
28) WAHBAH ZUHAYLĪ, AT-TAFSĪR-UL-MUNĪR (1:219-20).
29) TANTĀWĪ JAWHARĪ, AL-JAWĀHIR FĪ TAFSĪR-IL-QUR’ĀN AL-KARĪM (1:96).
30) HAKIM IN AL-MUSTADRAK (2:263).
31) ĀJURRĪ IN ASH-SHARĪ‘AH (PP.446-8).
32) BAYHAQĪ IN DALĀ’IL-UN-NUBUWWAH (2:76-7).
33) ABŪ NU‘AYM IN DALĀ’IL-UN-NUBUWWAH (PP.44-5).
34) IBN KATHĪR IN AL-BIDĀYAH WAN-NIHĀYAH (2:274-5).


WASEELE KA SABUT QURAN SE

SURAH NISA AAYAT NO. 64
TARJUMA : “AUR HUMNE KOI RASUL NA BHEJA MAGARISLIYE KAY ALLAH KAY HUKUM SE USKI  ITAAT KI JAAYE AUR AGAR JAB WOH APNI JAANO PER ZULM KARE TOH A MEHBUB TUMHARE HUZUR HAAZIR HO AUR PHIR ALLAH SE MAAFI CHAHE AUR RASUL UNKI SHAFA’AT FARMAYE TOH ZARUR ALLAH KO BAHUT TAUBA QABUL KARNE WALA MAHERBAAN PAYE”

IS AYAT KAY TAHET ULLEM E KRAM HADEES NAQAL KARTE HAI : 


“NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI WAFAT SHAREEF KAY BAAD EK ARBI ROZA E AQDAS PER HAZIR HUA AUR ROZA SHAREEF KAY KHAAK PAAK APNE SAR PER DAALI AUR ARZ KARNE LAGA YA RASUL ALLAH JO APNE FARMAYA HUMNE SUNA AUR JO AAP PER NAAZIL HUA USME YEH AAYAT BHI HAI وَلَوْاَنَّھُمْ اِذْ ظَّلَمُوْا   MENE BESHAK APNI JAAN PER ZULM KIYA AUR APKE HUZU ME ALLAH SE APNE GUNAH KI BAKSHISH CHAHNE HAAZIR HUA TOH MERE RAB SE MERI GUNAH KI BAKSHISH KARAYE IS PER QABR SHAREEF SE NIDA I KI TERI BAKSHISH KI GAI”.
IS HADEE KO 1) IMAM IBN KATHIR NE DARJ KIYA
[IBN KATHIR, TAFSIR-UL-QUR'AN AL-AZIM VOLUME 004, PAGE NO. 140, UNDER THE VERSE 4:64]

وقد ذكر جماعة منهم الشيخ أبو منصور الصباغ في كتابه الشامل الحكاية المشهورة عن العتبي قال : كنت جالسا عند قبر النبي صلى الله عليه وسلم فجاء أعرابي فقال : السلام عليك يا رسول الله سمعت الله يقول " ولو أنهم إذ ظلموا أنفسهم جاءوك فاستغفروا الله واستغفر لهم الرسول لوجدوا الله توابا رحيما " وقد جئتك مستغفرا لذنبي مستشفعا بك إلى ربي ثم أنشأ يقول : يا خير من دفنت بالقاع أعظمه فطاب من طيبهن القاع والأكم نفسي الفداء لقبر أنت ساكنهفيه العفاف وفيه الجود والكرم ثم انصرف الأعرابي فغلبتني عيني فرأيت النبي صلى الله عليه وآله وسلم في النوم فقال : يا عتبي الحق الأعرابيفبشره أن الله قد غفر له " . 
SCAN PAGE :

2)  [IMAM NAWAWI IN KITAB UL ADHKAAR, PAGE NO. 179, PUBLISHED BY DAR UL MA'RIFAH, BEIRUT, LEABON]

وقد روى الإمام النووي في كتابه (( الأذكار )) عن العتبي ، وهو شيخ البخاري ، أن العتبي قال : (( كنت مرة بجوار قبر النبي إذ أقبل اعرابي فقال : السلام عليك يا رسول الله إني سمعت قول الله تعالى (ولو أنهم إذ ظلموا أنفسهم جاءوك فاستغفروا الله واستغفر لهم الرسول لوجدوا الله توابا رحيما ) وإنياتيتك يا رسول الله مستغفرا ذنبي مستشفعا بك الى ربي ، ثم أنشد يقول : يا خير من دفنت في الترب اعظمه فطاب من طيبهن القاع والأكم نفسيالفداء لقبر انت ساكنه فيه العفاف وفيه الجود والكرم ثم انصرف الأعرابي ، يقول العتبي : فأخذتني اغفاءة فأتاني رسول الله في الرؤيا يقول (( يا عتبي الحق الأعرابي وقل له لقد غفر الله لك )) .

3) IMAM JALALUDDIN SUYUTI IN "DUR AL-MANTHUR":
والسيوطي في الدر المنثور (١/٥٧٠-٢٣)
وأخرج البيهقي عن أبي حرب الهلالي قال : حج أعرابي إلى باب مسجد رسول الله صلى الله عليه وسلم أناخ راحلته فعقلها ثم دخل المسجد حتى أتى القبر ووقف بحذاء وجه رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال : بأبي أنت وأمي يا رسول الله جئتك مثقلا بالذنوب والخطايا مستشفعا بك على ربك لأنه قال فيمحكم تنزيله ولو إنهم إذ ظلموا أنفسهم جاؤوك فاستغفروا الله واستغفر لهم الرسول لوجدوا الله توابا رحيما

4)  [TAFSIR DUR AL MANTHUR UNDER 4:64)]
5 ) [TAFSIR AL-QURTUBI, AL-JAMI LI AHKAM AL-QURAN VOLUME 006, PAGE NO. 439, UNDER THE VERSE, 4:64] 

    روى أبو صادق عن علي قال : قدم علينا أعرابي بعدما دفنا رسول الله صلى الله عليه وسلم بثلاثة أيام , فرمى بنفسه على قبر رسول الله صلى اللهعليه وسلم وحثا على رأسه من ترابه ; فقال : قلت يا رسول الله فسمعنا قولك , ووعيت عن الله فوعينا عنك , وكان فيما أنزل الله عليك " ولو أنهم إذ ظلموا أنفسهم " الآية , وقد ظلمت نفسي وجئتك تستغفر لي . فنودي من القبر إنه قد غفر لك .
 6) BAYHAQI IN SHU‘AB-UL-IMAAN (VOLUME NO: 3, PAGE NO:495-496, HADITH NO#4178)SCAN PAGE :
VOLUME : 3 PAGE : 495-496 HADITH NUMBER : 4178
PAGE NO: 496

7) IBN QUDAMAH IN AL-MUGHNI- (BOOK : KITAB AL HAJJ CHAPTER : WA YUSTAHABBU ZIYARAT QABR AN NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM VOLUME : 5 PAGE : 465) SCAN PAGE :
FRONT COVER AL-MUGHNI
VOLUME : 5 PAGE : 465
PAGE NO: 466

8) IBN ‘ASAKIR IN TAHDHĪB TARIKH DIMASHQ AL-KABIR POPULARLY KNOWN AS TARIKH/TAHDHIB IBN ‘ASAKIR AS QUOTED BY IMAM AS-SUBKI IN SHIFA’-US-SIQAM FĪ ZIYAAT KHAYR-IL-ANAM (PP. 46-7).

9)  TAFSIR AL-BAHR AL-MUHEET BY IMAM ABU HAYYAN AL-ANDALUSI (3/282, DAR AL FIKR EDITION) OR BOOK: TAFSEER BAHR AL MUHEET VOLUME: 3 PAGE: 269 UNDER: SORAT AN NISA AYAT NUMBER 64.
SCAN PAGE:
VOLUME : 3 PAGE : 269 UNDER : SURA AN NISA AYAT NUMBER 64
           

10) IMAM AL-MUTAQI AL-HINDI IN KANZ UL AMAAL (1/714 #10422) OR BOOK: TAFSEER BAHR AL MUHEET VOLUME: 3 PAGE: 269 UNDER: SORAT AN NISA AYAT NUMBER 64.
SCAN PAGE:
KANZ UL AMAAL

 AT TAUBAH CHAPTER : FADLIHA WA AHKAAMIHA PAGE : 502 HADITH NUMBER : 10422


11) IMAM AL-NAWAWI AGAIN IN HIS AL-MAJMU' (8/202-203) 

12) IBN HAJAR HAYTHAMI IN AL-JAWHAR-UL-MUNAZZAM (P. 51). 

KITNE HAWALE DIYE HAI SABKE SAB SAHI HAI AUR WAHBI JO IS RIWAYAT JHUT MANGHADAT KEHTE HAI WOH IN IMAMO’N PER FATWA LAGAYE KI JHUTI MANGHADAT RIWAYAT APNI KITAB ME DARJ KARKE UMMAT KO KYA BATANA CHAHTE HAI?? IS PER FATWA LAGANA DEOBANDI WAHBI PER ME CHODDTA HU.

2) SURAH YUSUF AAYAT NO. 93
TARJUMA: “MERA YEH KURTA LEJAO ISE MERE BAAP KAY MUH PER DAALO UNKI AANKHEN KHUL JAYEGI”
IS AAYAT SE PATA CHALTA HAI KI HAZRAT YUSUF ALAIHISSALAM KAY KURTE KA WASILA BANAKAR APNE WALID TAK PAHUCHAYA AUR FIR US KURTE KO APNI CHAHRE PER LAGAYA TOH UNKI AANKHEN KHUL GAI.HAQEEQAT DENE WALA ALLAH TAALA HU KI ZAAT HAI AUR BICH ME WASILA NABI KA HAI.











HUZOOR SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI ZAHIR ZINDIGAI ME WASILA KA SABOOT

HADEES # 1
UMMUL MOMINEEN HAZRAT MAYMUNA RADIALLA TAALA ANHA FARMATI HAIN, EK ROZ HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM MERE SATH SO RAHE THE KI WO ADHI RAAT KO NAMAZ KE LIYE WUZU BANANE KE LIYE UTHE TO WUZU BANATE WAQT MAINE UNHE KEHTE HUE SUNA [(LABBAYKA LABBAYKA LABBAYKA) – IS TARAH AAPNE 3 BAR KAHA, AUR FIR KAHA (NUSIRTO NUSIRTO NUSIRTA),
JAB AAP SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM FAIRGH HUE TO MAINE APSE PUCHA "YA RASOOLALLAH, MAINE APKO WUZU KE DAURAN 3 BAR KEHTE HUE SUNA KI '' 'MAI HAZIR HU' AUR FIR 3 BAR SUNA KI 'MAI MADAD KARTA HU',
KYA AAP KISI SE BAATEN KAR RAHE THE? "
TO AAPNE JAWAB DIYA KI- WO BANU KA'B KA EK RAJIZ THA, KHUZA'A KI EK CHOTI JAMAT MUJHE MADAD KE LIYE PUKAR RAHI THI (YASTAS.RIKHUNÎ
) AUR MUJSE ZOR DEKAR KEH RAHI THI KI QURAYSH NE BANU BAKR KO UNKE KHILAF MADAD KI HAI.
DUSRE NE HUDAIBIYA SE JUNG KE WAQT QURAYSH SE APNI DOSTI KAR LI THI, AUR BANU KHUZA'A NE MUHAMMAD SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KA SATH LIYA, AUR WO UNHE BACHANE KE LIYE MUQARRAR THE, BANU BAKR KE LIYE QURAYSH KA SATH KHUZA'A KE KHILAF THA, ISLIYE WAHAN PAR MUHAMMAD SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KE SATH AARZI SULAH KI HURMAT HO GAYI THI.
YE ITTEFAQ FATEH MAKKA KI HAUNSLA AFZAI KE LIYE THA.
BAS ISI KE BAAD WO ISME DAKHIL HUE AUR FATEH HASIL KAR LI.


[AL-MU'JAM AL-KABIR, IMAM TABARANI VOLUME 023, PAGE 433-4, HADITH NUMBER 1052]



IS HADEES SE 4 BAATE PATA CHALTI HAIN,
1: NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KA WASEELA LIYA GAYA.
2: NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KO DOOR SE BHI MADAD KE LIYE PUKARNA JAEZ HAI.
3: NABI ALAIHE SALAM DOOR SE HI APNE CHAHNE WALO KI AWAZ SUN BHI LETE HAIN, AUR FARMAYA KI (LABBAYKA LABBAYKA LABBAYKA) – YANHI HAZIR BHI HO JATE HAIN,
4: NABI ALAIHE SALAM APNE GHAR SE HI SARA MUAMLA DEKH RAHE THE, ISILIYE HAZRAT MAYMUNA RADIALLA TAALA ANHA KO SAB KUCH AISE HI BATA DIYA. YANI AAP DOOR SE DEKH BHI SAKTE HAIN, SUN BHI SAKTE HAIN, AUR MADAD KO HAZIR BHI HO SAKTE HAIN.

HADEES # 2
 HAZRAT USMAN BIN HUNAIF RADIALLA TAALA ANHU SE RIWAYAT HAI,KI EK NAA-BEENA(ANDHA ) SHAKS NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI BARGAH M HAZIR HUA AUR BOLA,
'AAP MERE LIYE DUA KIJIYE KI ALLAH MUJHE SHIFA ATA FARMAYE,'
TO AAP ALAIHE SALAM NE FARMAYA:
'AGAR TUM SABR KARO, TO YE TUMHARE LIYE ZYADA BEHTAR HOGA, AUR AGAR TUM CHAHO TO MAI TUMHARE LIYE DUA KARU'
.
TO USNE KAHA 'AAP DUA KIJIYE,'
AAP ALAIHE SALAM NE FARMAYA:
JAAO, ACHHI TARAH WUZU KARO, AUR FIR 2 RAKAT NAMAZ PADHO, AUR FIR IS TARAH DUA KARO,
"ALLAHUMMA LNNI AS'ALUKA WA ATAWAJJAHU ILAIKABIMUHAMMA DIN NABIYYIR-RAHMA. YA
MUHAMMADU INNI QAD TAWAJJAHTU BIKA ILA RABBI FI HAJATI HADHIHI LITUQDA.
ALLAHUMMA FASHAFFI’HU FIYA.
TARJUMA: AYE ALLAH! MAI TUJHSE SAWAL KARTA HU, AUR TERI TARAF RUKH KARTA HU, AUR MUAHMMED ALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NABI-E-REHMAT KE WASEELE SE TUJHSE DUA KARTA HU, AYE MOHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, MAINE APNI HAJAT KE LIYE APKE WASEELE SE ALLAH KI TARAF RUKH KIYA, AYE ALLAH! YE WASEELA QUBUL FARMA'
(TUHFATUZ ZAKIREEN, PG.138. BY QAZI SHAWKANI)
.SCAN PAGE: 




 WAHAIDUZ'ZAMA SAHAB NAY WASEELAY K JAWAAZ PAR "SHAREH BUKHARI IMAM QUSTALANI" (ALAIHIR'REHMA) KA 1 QAUL NAQAL KIYA
"NABI" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) K WASEELAY SAY "ALLAHTA'ALA" KI TARAF MUTAWAJJAYH HOKAR AAHOZARI KARNAY KA MUTAQADDIMEEN AUR MUTA'AKHIREEN MAY SAY KISI NAY WASEELAY KA INKAR NAHI KIYA
IBN-E-TAIMIYA AAYA AUR USNAY HI SB SAY PEHLAY WASEELAY KA INKAR KIYA
"NABI" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) K WISAAL K BAAD KI HADEES MULAHAYZA HO
"IMAM-E-TIBRANI" "APNI" SANAD-E-SAHIH K SATH RAWAYAT KRTAY HY'N K "HAZRAT USMAN BIN HANIF" (RAZIALLAHUANHU) BAYAAN KRTAY HY'N
"1 SHAKHS "HAZRAT USMAN-E-GHANI" (RAZIALLAHUANHU) K PAAS APNI KISI ZAROORAT K TEHET JATA THA, LAYKIN "HAZRAT USMAN-E;GHANI" (RAZIALLAHUANHU) USKI TARAF MUTAWAJJAYH NAHI HOTAY THAY AUR NA US K KAAM KI TARAF DHYAN DAYTAY THAY.
1 DIN US SHAKHS KI MULAQAT "HAZRAT USMAN BIN HANIF" (RAZIALLAHUANHU) SAY HUI. US SHAKHS NAY "HAZRAT USMAN BIN HANIF" (RAZIALLAHUANHU) SAY IS BAAT KI SHIKAYAT KIYA KI "AMEER-UL-MO'MINEEN HAZRAT USMAN-E-GHANI" (RAZIALLAHUANHU) HAMARI ZAROORAT KI TARAF MUTAWAJJAYH NAHI HO RAHAY HY'N, TO "HAZRAT USMAB BIN HANIF" (RAZIALLAHUANHU) NAY US SHAKHS SAY FARMAYA KI 2 RAQ'AT NAMAZ PADH AUR IS TARAH DUA' MAANG"
DUA' KA TARJUMAH
"AYE ALLAHTA'ALA MAI TUJHSAY SAWAAL KRTA HU AUR MOHAMMAD NABI-E-REHMAT K WASEELAY SAY TAYRI TARAF MUTAWAJJAYH HOTA HU, AYE MOHAMMAD MAI AAP K WASEELAY SAY AAP K RAB (APNAY RAB) KI TARAF MUTAWAJJAYH HUA HU, TA'KI MAYRI HAAJAT POORI HO"

IS DUA' K BAAD APNI ZAROORAT KA ZIKR KARO, PHIR MAYRAY PAAS AANA TA'KI MAI TUMHARAY SAATH CHALU

WOH SHAKHS CHALA GAYA AUR "HAZRAT USMAN BIN HANIF" (RAZIALLAHUANHU) K BATAYE HUYE TAREEQAY PAR AMAL KIYA

PHIR WOH SHAKHS "AMEER-UL-MO'MINEEN USMAN-E-GHANI" (RAZIALLAHUANHU) K PAAS GAYA. DARBAN NAY US SHAKHS K LIYE DARWAZA KHOL DIYA. US SHAKHS KO "USMAN-E-GHANI" (RAZIALLAHUANHU) K PAAS LAY GAYA. "USMAN-E-GHANI" (RAZIALLAHUANHU) NAY US SHAKHS KO "APNAY" SAATH MUSNAD PAR BAITHAYA AUR POOCHA TUMHARA KA KYA KAAM HY ?
US SHAKHS NAY APNAY KAAM KA ZIKR KIYA
"HAZRAT USMAN-E-GHANI" (RAZIALLAHUANHU) NAY USKA KAAM KAR DIYA AUR FARMAYA TUMNAY ISSAY PEHLAY AB TAK APNAY KAAM KA ZIKR NAHI KIYA THA ? AUR FARMAYA JAB B TUMKO KISI KAAM KI ZAROORAT HO AA JANA"

PHIR WOH SHAKHS CHALA GAYA AUR JAB RAASTAY MAY "USMAN BIN HANIF" (RAZIALLAHUANHU) SAY US SHAKHS KI MULAQAT HUI TO US SHAKHS NAY KAHA "ALLAHTA'ALA" AAP KO BEHTAR JAZA DAY KI AAP NAY "USMAN-E-GHANI" (RAZIALLAHUANHU) SAY MAYRI SIFARISH KIYA.
"USMAN BIN HANIF" (RAZIALLAHUANHU) NAY KAHA "KHUDAH" KI QASAM MAINAY "AMEER-UL-MO'MINEEN" SAY TUMHARAY BARAY MAY KUCH NAHI KAHA, LAYKIN 1 BAAR MAI "NABI" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) KI BARGAH MAY THA K 1 "NABINA SAHABI" KO "NABI" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) NAY YAHI DUA' TA'ALEEM KIYA THA, JO MAINAY TUMKO BATAYA. ABHI HAMLOG MAUJOOD THAY KI "NABINA SAHABI" KI AANKH RAUSHAN HO GAYI"
"IBN-E-MAJA" K HASHIYA MAY "PAGE-99" PAR B YH "HADEES" MAUJOOD HY

"IMAM-E-TIBRANI" NAY IS "HADEES" KO NAQAL KRNAY K BAAD FARMAYA "YAH HADEES SAHIH HY"

"IMAM MUNZIR" NAY "AT'TARGHEEB-O-TARHEEB, JILD-1, PAGE-476" PAR YH "HADEES" NAQAL KIYA HY

"IMAM ABU ABDULLAH" NAY "QUAID-E-JALEELAH FIT'TAWASSUL WAL WASEELA, PAGE-202" PAR KAHA "YAH HADEES SAHIH HY"

"IMAM HAITAMI" NAY "MAJMAUZ ZAWAID, JILD-2, PAGE-279" PAR LIKHA "YAH HADEES SAHIH HY"

"IMAM-E-BEHQI, IMAM ABDULLAH, IMAM IBN-E-AADI, HAFIZ IBN-E-HAJAR ASQALANI SHARH-E-BUKHARI, IMAM ABU HAITAMI, IMAM ALI IBN-E-MADNI, IMAM NASA'I, IMAM DAAR-E-QUTNI, IMAM ZUHLI"
WAGAIRAH
"A'IMMA-E-MOHADDISEEN"
NAY
"USMAN IBN-E-HANIF" (RAZIALLAHUANHU) KI "HADEES" KO SAHIH-UL-ISNAD KAHA HY

IBN-E-TAIMIYA NAY B APNI KITAB FATAWA IBN-E-TAIMIYA, JILD-1, PAGE-274 PAR ISI "HADEES" KO 2 SANADO SAY BAYAAN KIYA HY AUR KAHA KI "YAH HADEES SAHIH HY"

"SUBHANALLAH"

ISI KO KEHTAY HY HAQ SAR PAR CHADKAR BOLTA HY
TUHFATUZ ZAKIREEN KITAB ME QAZI SHAUKANI AAGE LIKHTE HAIN.

الحد
يث أخرجه البزار كما قال المصنف رحمه الله وهو من حديث ابن مسعود رضي الله عنه قال قال رسول الله صلى الله عليهوسلم إذا انفلتت دابة أحدكم بأرض فلاة فليناد يا عباد الله احبسوا فإن الله حاضر في الأرض سيحبسه وأخرجه أيضا من حديثه أبو يعلى الموصلي والطبراني وابن السني قال في مجمع الزوائد وفيه معروف بن حسان وهو ضعيف قال النووي فيالأذكار بعد أن روى هذا الحديث عنكتاب ابن السني قلت وحكى لي بعض شيوخنا الكبار في العلم أنها انفلتت دابته أظنها بغلةوكان يعرف هذا الحديث فقاله فحبسها الله عليه في الحال وكنت أنا مرة مع جماعة فانفلتت معنا بهيمة فعجزوا عنها فقلته فوقفت في الحال بغير سبب وإن أراد عونا فليقل يا عباد الله أعينوا يا عباد الله أعينوا يا عباد الله أعينوا ط الحديث أخرجهالطبراني في الكبير كما قال المصنف رحمه الله وهو من حديث عتبة بن غزوان عن النبي صلى الله عليه وسلم قال إذا ضل على أحدكم شيء وأراد أحدكم عونا وهو بأرض فلاة ليس بهاأحد فليقل يا عباد الله أعينوا يا عباد اللهأعينوا يا عباد اللهأعينوا فإن لله عباد لايراهم قال في مجمع الزوائد ورجاله وثقوا على ضعف في بعضهم إلا أن زيد بن علي لم يدرك عتبةوأخرج البزار من حديث ابن عباس رضي الله عنهما أن رسول الله صلى الله عليه وسلمقال إن لله ملائكة في الأرض سوىالحفظة يكتبون ما سقط من ورق الشجر فإذا أصاب أحدكمشيء بأرض فلاة فليناد أعينوني يا عباد الله قال في مجمع الزوائد رجاله ثقات وفي الحديث دليل على جواز الاستعانة بمن لا يراهم الإنسان من عباد الله من الملائكة وصالحي الجن وليس فيذلك بأس كما يجوز للإنسان أن يستعين ببني آدم إذا عثرت دابته أو انفلتت
.
TRANSLATION: AUR AGAR LOG KISI VEERAN JAGA PAR HO, AUR MADAD KI ZARURAT HO TO IS TARAH PUKARE KI "AYE ALLAH KE BANDO MERI MADAD KIJIYE"
TO ALLAH KE CHHUPE HUE BANDE JO NAZAR NAHI AATE, WO MADAD KARTE HAIN.
(TUHFATUZ ZAKIRIN, PG.38. BY QAZI SHAWKANI)
.
AL-BAZZAR NE HAZRAT IBNE ABBAS R.A SE RIWAYAT KIYA KI NABI ALAIHESALAM NE FARMAYA:
BESHAK IS ZAMEEN PER ALLAH KE KUCH AISE NEK BANDE CHHUPE HUE HOTE HAIN JO HAR CHIZ KA MOAINA KARTE REHTE HAIN. YAHAN TAK KI PED SE EK PATTI GIRE.
TO JAB KABHI TUM ME SE KISI KO KOI TAKLIF PESH AYE,.
TO IS TARAH PUKARE "AYE ALLAH KE BANDO AAIYE AUR MERI MADAD KIJIYE".
.
MAJMAUZ ZAWAID ME KAHA GAYA KI IS HADEE KE SARE RAAWI SIQAH HAIN, YANI BHAROSE MAND HAIN.
AUR YE HADEES ISTIAANA KE LIYE DALIL HAI. YANI ALLAH KE KUCH BANDE JINHE HAMARI AANKHE DEKH NAHI SAKTI, LEKIN WO SABKUCH DEKHTE HAI,
UNSE MADAD MANGNE KI DALIL HAI.
SCAN PAGE:


HADEES # 3
"HADEES-E-NABVI" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM)

"HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH" (RAZIALLAHUANHU) SAY RAVAYAT HY
"SULEH-E-HUDAIBIA" K DIN LOG PYASAY THAY AUR "RASOOLLULLAH" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) K SAAMNAY 1 PYALA THA, JIS SAY "NABI" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) WUZU FARMA RAHAY THAY
LOG "AAP" (ALAIHISSALAAM) KI JAANIB DAUDAY
FARMAYA KYA BAAT HY ? LOGO NAY ARZ KIYA KI HAMARAY PAAS WUZU KARNAY AUR PEENAY K LIYE PANI NAHI HY, TO "RASOOLLULLAH" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) NAY "APNA" DAST-E-AQDAS USI PYALAY MAY RAKH DIYA, TO "NABI" (ALAIHISSALAM) KI UNGLION K DARMIYAN SAY CHASHMO'N KI TARAH PANI UBALNAY LAGA

"HAZRAT-E-JABIR" BAYAAN KARTAY HY'N KI HAM TAMAM LOGO'N NAY PANI PIYA AUR WUZU KIYA

"HAZRAT-E-SALIM" FARMATAY HY'N KI "MAI" NAY "HAZRAT JABIR" (RAZIALLAHUANHU) SAY POOCHA "AAP HAZRAAT" KITNI TA'DA'AD MAY THAY ?

"UNHONAY" FARMAYA KI AGAR HAM 1 LAKH B HOTAY TO TO WOH PANI KAAFI HOTA
US WAQT TO HAMARI TA'DA'AD 1500 THI"

"SUBHANALLAH"

"AALA HAZRAT IMAM AHMAD RAZA" NAY IS "HADEES" KI TARJUMANI "APNAY" IS SHAYR MAY KIYA HY
"UNGLIYA'N HYN FAIZ PAR TOOTAY HYN PYASAY JHOOMKAR,
NADIYA'N PANJAB-E-RAHEEM KI HYN JARI WAH WAH"
(BUKHARI KITAB-UL-MUGAZI, BAAB-GAZWATUL HUDAIBIYA, JILD-1, PAGE-505)

MUKHTASAR TASHREEH
IS "HADEES" SAY MA'ALOOM HUASAY KI "SAHABA-E-KIRAM" (RAZIALLAHUANHUM AJMA'EEN) NAY 'APNI" MUSHKIL KO "BARGAH-E-RISALAT" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) MAY PAYSH KIYA AUR "MAALIK-O-MUKHTAR NABI" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) NAY BAGAIR KISI ASBAB K SIRF "APNI" ROOHANI TASARRUF SAY "APNAY" UNGLIO'N K DARMIYAN SAY PANI KA CHISHMA UBAAL KAR APNAY MUQADDAS "SAHABA" KI MUSHKIL KO DOOR FARMAI AUR YAH "HADEES" IS BAAT PAR B DALALAT KARTI HY KI "RASOOLULLAH" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) KO "ALLAHTA'ALA" NAY MA'FAUQAL-ASBAB KAAMO MAY B MADAD KRNAY KA MUKAMMAL IKHTIYAR DAY DIYA HY

LIHAZA UN LOGO KA AQUEEDA BAATIL AUR MARDOOD HY JO KEHTAY HYN KI "ALLAHTA'ALA" NAY KISI "NABI, WALI" KO MA'FAUQAL-ASBAB K TAHAT MADAD KRNAY KA KOI IKHTIYAR NAHI DIYA HY

AISAY GUMRAH FIRQO'N KO IS "HADEES-E-BUKHARI" SAY APNAY AQUEEDAY KO "AHL-E-SUNNAT WAL-JAMA'AT MASLAK-E-AALA HAZRAT" K MUTABIQ KR K APNAY BAATIL AQUEEDAY SAY TAUBA KR LAYNA CHAHIYE

NOTE
"RASOOLALLAH" (SWALLALLAHUALAIHIWASALLAM) K "DAST-E-AQDAS" SAY NIKLA HUA "PAANI" TAMAAM PAANIO SAY AFZAL-O-AALA HY , YAHA TAK KI "AAB-E-ZAM ZAM AUR HAUZ-E-KAUSAR" SAY B AFZAL HAI..


HADEES # 4
HAZRATE ABDULLAH BIN MAS’UD رضي الله عنه SE RIWAYAT HAI AUR EK DUSRI RIWAYAT ME BHI HAI KI HUZOOR NABI E KARIM صلى الله تعالى عليه واله وسلم IRSHAD FARMAYA KI JAB TUM ME SE KISI SAWARI JANGAL BAYABAN ME CHUT JAYE YA KOI CHIZ GUM HO JAYE, AUR WOH AISI JAGAH HO JAHA USKI KOI MADADGAR BHI NA HO TOU USE CHAHIYE KI KAHE AYE ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO! AEY ALLAH K BANDO MERI MADAD KARO. YAKINAN ALLAH TA’ALA K AISE BHI BANDE HAI JINHE HUM DEKH TOU NAHI SAKTE MAGAR WOH TUMHARI CHIZ MILA DENGE.
REF: AKHRAJ TIBRANI FI MAUJUL KABIR 217/10 HADITH NO. 65
ABU YALI FI MUSNAD 117/17 HADITH NO. 10518
WAL HISAMI FI MAJMU’AL ZAWAED 132/10 HADITH NO. 1311.
HAYTHAMĪ, MAJMA‘-UZ-ZAWĀ’ID (10:132)
IBN HAJAR ‘ASQALĀNĪ IN AL-MATĀLIB-UL-‘ĀLIYAH (3:239#3375).












HUZOOR SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI WAFAT BAAD WASILA KA SABOOT
HADEES # 1
HAZRAT ABU ISHAQ ASH'ARI RADIALLA TAALA ANHU FARMATE HAIN, MADINA ME HAMARE SATH EK ADMI REHTA THA, JAB BHI WO KISI BURAI KO DEKHTA AUR USEY APNE HATH SE ROKNE KI QUWWAT NA RAKHTA, TAB WO HUZUR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI QABR KE PAAS CHALA JATA AUR IS TARAH KEHTA KI
"AYE SAHIB-E-QABR, NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, AYE SAHABA, AYE HAMARE MADADGAR, HAMARE HALAAT KO DEKHIYE"
[SHUA'B UL IMAN BY IMAM BAYHAQI, PUBLISH: MAQTABAH AR-RASHAD, RIYADH/SAUDIA
HADITH NUMBER 3879]
SCAN PAGE: 

HADEES # 2
HAZRAT ABU HARB HILALI RADIALLA TAALA ANHU FARMATE HAIN, EK MARTABA EK ARABI HAJJ KARNE AAYA, FIR MASJID-E-NABWI ME HAZIR HUA, USNE APNA OONT BAHAR BANDH DIYA, FIR QABR KE PAIR KI JABI KHADA HUA AUR KAHA
"AYE NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, MAINE GUNAH KIYE HAIN, SO MAI APKI BARGAH ME HAZIR HUA HU TAKI APKO APNI DUAAO ME WASEELA BANA LU, KYUNKI ALLAH NE APNI KITAB ME FARMAYA HAI KI 'AUR JAB YE LOG APNI JAANO PER ZULM KAREN TO PEHLE TUMHARE HUZUR HAZIR HO, FIR ALLAH SE APNE LIYE MADAD CHAHEN, FIR JAB RASOOL BHI UNKE LIYE MAGHFIRAT KI DUA FARMA DEN, TAB YE APNE RABO BADA MAAF KARNE WALA PAYENGE'
(QURAN: 4/64)
[SHUAB UL IMAN VOLUME 006, PAGE NO. 60 HADITH NUMBER 3879-80]"

ULAMA KI BAHOT BADI JAMAT IS HADEES SE AMBIYA KE WISAL KE BAAD BHI WASEELA KE LIYE ISTEDLAL KARTI HAI.
SCAN PAGE:


HADEES # 3
 EK SHAKS KAI BAR HAZRAT USMAN BIN AFFAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS APNI HAJAT RAWAI KE LIYE AATA, LEKIN HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE USPAR TAWAJJOH NAHI DIYA,
TAB WO HAZRAT USMAN BIN HUNAIF RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS GAYA AUR MAAMLE KI SHIKAYAT KI.
TO HAZRAT USMAN BIN HUNAIF RADIALLA TAALA ANHU NE FARMAYA:
JAAO, ACHHI TARAH WUZU KARO, AUR FIR MASJID ME AAKAR 2 RAKAT NAMAZ ADA KARO, AUR FIR IS TARAH KAHO,
''AYE ALLAH! MAI TUJHSE SAWAL KARTA HU, AUR TERI TARAF RUKH KARTA HU, AUR MUAHMMED ALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NABI-E-REHMAT KE WASEELE SE TUJHSE DUA KARTA HU, AYE MOHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM, MAINE APNI HAJAT KE LIYE APKE WASEELE SE ALLAH KI TARAF RUKH KIYA, AYE ALLAH! YE WASEELA QUBUL FARMA''
AUR FIR APNI HAAJAT PESH KARO, AUR FIR MAI TUMHARE SATH HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS CHALTA HU.
.
TO US SHAKS NE WAISA HI KIYA, JAISA KI USE KARNE KE LIYE KAHA GAYA THA,
FIR ISKE BAAD WO HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KI BARGAH ME HAZIR HUA, DARWAZE WALE NE IS SHAKS KA HATH PAKDA AUR HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU KE PAAS LE JAAKAR BITHA DIYA,
HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE PUCHA, 'TUMHE KYA CHAHIYE?'
TO US SHAKS NE APNI HAJAT PESH KIYA, JO KUCH USE ZARURAT THI, TAB HAZRAT USMAN RADIALLA TAALA ANHU NE USE ATA FARMA DIYA.
.
IS HADEES KO IMAM MUNZIRI RADIALLA TAALA ANHU NE SALAT-UL-HAJAT ME NAQAL FARMAYA HAI, AUR KAHA KI IMAM TABRANI NE IS HADEES KI SANAD KO SAHIH KAHA HAI.
SCAN PAGE :

[AT-TARGHEEB WA TARHEEB, PAGE NO. 129 IN THE CHAPTER OF SALAATAL HAAJAT]
ISNAAD: TABARANI RELATED THIS IN AL-MU‘JAM-UL-KABIR (9:31#8311)
AND AL-MU‘JAM-US-SAGHIR (1:183-4). THERE WERE OTHER SCHOLARS AND TRADITIONISTS WOH NARRATED THIS HADITH SUCH AS
AL-BAYHAQI, DALA’IL-UN-NUBUWWAH (6:167-8);
MUNDHIRI, AT-TARGHIB WAT-TARHIB (1:474-6);
SUBKI , SHIFA’-US-SIQAM FI ZIYARAT KHAYR-IL-ANAM (P.125);
HAYTHAMI, MAJMA‘-UZ-ZAWA’ID (2:279);
AND SUYUTI IN AL-KHASA’IS-UL-KUBRA (2:201-2).
MUNDHIRI GRADED IT SAHIH (SOUND).
SCAN PAGE: 

ISI HADEES KO IMAM BAYHAQI NE APNI DALAILUN NABUWWA ME NAQAL KIYA.
[DALA’IL UN NUBUWWAH VOLUME 006, PAGE NO 167-8, FRONT COVER, DALA’IL UN NUBUWWAH, PUBLISHED BY DAR AL-KUTUB AL-ILMIYAH, BEIRUT, LEBANON]
SCAN PAGES : 



HADEES # 4
ABU-AL-JAWAZA AWS BIN ABDULLAH RADIALLA TAALA ANHU SE IMAM DARIMI RIWAYAT KARTE HAIN KI, MADINA KE LOG EK BAR SUKHA PADNE KI WAJA SE PARESHAN HO GAYE,
WOH HAZRAT AYESHA SIDDIQA RADIALLA TAALA ANHA KE PAS APNI SHIKAYAT LEKAR PAHUCHE,
AAPNE FARMAYA KI RASOOLULLAH ALAIHE SALAM KI QABR KE PAAS JAAO, AUR UNKE RAUZE AUR ASMAN KE DARMIYAN UPAR EK KHIDKI KHOL DO, TAKI RAUZA-E-AQDAS AUR ASMAN KE DARMIYAN KOI PARDA NA REH JAYE,
RAAWI FARMATE HAIN KI HUMNE AISA KIYA TO BAHOT ZOR SE BARISH SHURU HO GAYI, HARI BHARI GHAAS NIKAL AAYIN, AUR HAMARE OONT MOTE HO GAYE, KI LAGTA THA ZYADA KHANE KI WAJA SE PHOOT PADENGE.
SO IS SAAL KA NAAM HARIYALI WALA SAAL RAKHA GAYA.
(SUNAN DARIMI VOLUME 001, PAGE 227, HADITHNUMBER 093)
SCAN PAGE:

ISNAAD: MUHAMMAD BIN ‘ALAWI AL-MALIKI FARMATE HAIN KI ISKE RAAWI ACHHE HAIN, SO ISKI SANAD SAHEEH HAI,AUR ISKE TAMAM ISTEDLAL BHAROSEMAND HAIN.
.
[SHIFA’-UL-FU’A D BI-ZIYARAT KHAYR--IL-‘IBAD PAGE NO.153]

C. IBN-UL-JAWZĪ IN AL-WAFĀ’ BI-AHWĀL-IL-MUS TAFĀ (2:801)SCAN PAGE :
FRONT COVER:


D. SUBKĪ IN SHIFĀ’-US-SIQĀM FĪ ZIYĀRAT KHAYR-IL-ANĀM (P.128)
E. QASTALLĀNĪ IN AL-MAWĀHIB-UL-L ADUNIYYAH (4:276);
AND ZURQĀNĪ IN HIS COMMENTARY(11:1 50)
.
CHAIN: ABU NUMAN NE SAID BIN ZAYD SE, UNHONE AMR BIN MALIK AN NUKRI SE AUR UNHONE ABU AL JAWZA AWS BIN ABDULLAH SE SUNA, UNSE YE RIWAYAT KIYA GAYA.



HADEES # 5
DAWOOD BIN ABU SALIH SE RIWAYAT HAI, EK DIN MARWAN AAYA AUR USNE DEKHA KI EK SHAKS RAUZA-E-QADAS KE PAAS BAITHA HUA HAI AUR USNE APNE MUH KO QABR-E-ANWAR SE LAGA DIYA HAI. YE DEKHKAR MARWAN NE USSE KAHA
"TUMHE PATA HAI YE TUM KYA KAR RAHE HO??"
YE SUNKAR JAB WO SHAKS PALTE TO DEKHA KI WO SAHABI-E-RASOL HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RADIA TALLA ANHU  THE, AUR UNHONE JAWAB DIYA
"HAAN, MAI JANTA HU, AUR MAI YAHAN ALLAH KE RASOOL ALAIHE SALAM KE PAAS AAYA HU, KISI PATTHAR KE PAAS NAHI AAYA. MAINE RASOOL SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KO KEHTE HUE SUNA KI MAZHAB PAR MAT RONA JABKI ISKE REHBAR QABIL HO, HAAN MAZHAB PAR AANSU BAHANA JABKI ISKE REHBAR QABIL NA HO."
[AHMAD BIN HAMBAL WITH A SOUND CHAIN OF TRANSMISSIONIN HIS MUSNAD VOLUME 017, PAGE NO. 42-43,HADITH NUMBER 23476,
FRONT COVER MUSNAD AHMAD BIN HAMBAL, PUBLISH: DAR AL-HADITH AL-QAHIRA MISR]

IS HADEES KO KHUD IMAM AHMED BIN HANBAL NE SAHI SANAD KE SATH BAYAN KIYA., AUR IMAM HAKIM NE KAHA KI BUKHARI AUR MUSLIM KI SHARTO KE MUTABIQ IS HADEES KI TAMAM ISNAAD SAHI HAIN.
AUR IMAM ZAHBI NE BHI ISKI SANAD SAHI BAYAN KIYA HAI.
  [AL-MUSTADRAK 4:520, HADITH # 8571]
ISI HADEES KO DUSRI SANAD KAY SAATH IMAM TABRAI NE NAQAL KIYA HAI APNI KITAB
: MA'JAM AL AUSATH, VOLUME : 1, PAGE : 94,  HADITH NUMBER : 284 SCAN PAGE :
VOLUME : 1, PAGE : 94,  HADITH NUMBER : 284

TAQI UD DIN SUBKI, BOOK : SHIFA AS SIQAM, CHAPTER : FASL ATH THANI ; FI TATABBA KALIMAATIHI, VOLUME : 1, PAGE : 342-343 SCAN PAGE :
FRONT COVER SHIFA AS SIQAM
VOLUME : 1, PAGE : 342
PAGE: 343

KUCH LOGO KA KEHNA HAI KI UPAR KI SANAD ME DAWUD BIN ABU SALIH MAJHOOL HAI LEKIN SHEIKUL ISLAM IMAM HAJAR ASQALANI RAHIMULLAH NE APNI KITAB TAQRIB UT TAHDHIB VOLUME 1, PAGE 306, NARRATOR NO: 1802 [ONLINE VERSION: 1792] ME MAQBOOL LIKHA HAI.SCAN PAGE :
FRONT COVER :
VOLUME 1, PAGE 306, NARRATOR NO: 1802

SUBHAN ALLAH,
1: IS HADEES SE SAHABA KA AQEEDA BHI PATA CHALTA HAI KI RASOOLULLAH ALAIHE SALAM KI QABR KE PAAS JANE KA MATLAB WO RASOOLULLAH KE QARIB JANA HI SAMAJHTE HAIN,
2: HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RADIALLA TAALA ANHU NE APNE MUH KO RAUZA-E-AQDAS SE LAGA DIYA THA, YANI BOSA LIYA,
3: QABR-E-ANWAR KI MISAL KISI PATTHAR YA MURTI/BUTT SE NAHI DIYA JA SAKTA, YEHI SAHABA KA AQEEDA HAI.

HADEES # 6
MALIK AD-DAR SE RIWAYAT HAI, HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KE AHADE KHILAFAT ME EK MARTABA KAHAT PAD GAYA TO HAZRAT BILAL BIN HAARIS MAZNI (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) ROZA-E-ANWAR PAR HAZIR HUWE AUR ARZ KIYE:
YA RASULALLAH!
AAPKI UMMAT HALAAK HO RAHI HAI, BAARISH NAHI HOTI.
HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) UNHE KHWAAB ME MILE AUR FARMAYA:
AE BILAAL!
UMAR KE PASS JAO.
USE MERA SALAM KAHO AUR KAH DO KI BAARISH HO JAYENGI.
UMAR SE YAH BHI KEHNA KI KUCH NARMI IKHTEYAAR KARE.(YAHA HUZOOR SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE ISLIYE FARMAYA KI HAZRAT UMAR FAARUQ (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) DEEN KE MAMLE ME BADE SAKHT THE).
HAZRAT BILAL (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KI KHIDMAT ME HAAZIR
HUWE AUR HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KA SALAM WA PAIGAAM PAHUCHA DIYA.
HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) YAH SALAM AUR PAIGAME MEHBOOB PAAKAR ROYE AUR KAHA ''AYE ALLAH, MAI APNI PURI KOSHISH KARTA HU, JAB TAK KI MAI THAK NA JAAUN''
AUR FIR BARISH KHUUB HUWI.
[AL-MUSANNAF IBN ABI SHAYBAH VOLUME 011,PAGE NO. 118, HADITH NUMBER 32538, PUBLISH BY MAQTABAH AR-RASHID, RIYADH, SAUDIA ARABIA]
SCAN PAGE :
HAWALE :
1:IBNE HAJR RH.A-FAT'HUL BARI 2/269, 2/495,496
2:IMAM BAIHQI RH.A- DALA'IL AL NUBUWWAH 6/141
3:IBNE KASIR RH.A- AL BADAYA WA AL NIHAYA 6/90-91, 5/167
4: HZ IBNE ABD AL BARR RH.A- ALIST'AB2/464
5: IBNE KASIR RH.A- JAMIAL MSANID 1/223
6: QASTLANI RH.A- AL MAWAHIB UL LADUNYA 4/276
7: HAZRAT MUNZIRI RH.A- AL TARGHIB 2/41-42
8: HAZRAT HAISHMI RH.A- MAJMAE ZAWAID 3/125
9: MUSANNIF IBNE ABI SHAIBA 12/31-32 # 31380
10: HAZRAT IBNE HAJAR RH.A - AL ISABA FE TAMYIZ AL SAHABA 3/484
11: IBNE TAIMYA IN FI IQTIDA AS SIRATIL MUSTAQIM 1/373
12: HAZRAT SUBKI RH.A- SHIFA AL SIQAM 1/130
.
IS HADIS KO IBNE TAIMIYA NE BAGAIR KISI JARAH KE AUR BAGAIR KISI TARDEED KE APNI KITAB IQTIDAUSSIRAATIL MUSTAQEEM ME BHI NAQL KIYA HAI.
.
CHAND MOHADDISIN REHMUTULLAH ALAIH KAY NAAM JINHONE SANAD KO SAHIH KAHA HE
1: IMAM IBNE ABI SHAIBA RH.A MUSANNIF IBNE ABI SHAIBA 12/31-32 # 31380
2: IBNE TAIMYA IQTIDA AL SIRAT IL MUSTAQIM #373
3: IMAM IBNE KASIR RH.A AL BADAYA WA AL NIHAYA 5/167
4: IMAM IBNE HAJR RH.A FATHUL BARI 2/495, AL ISBAH FI TAMYIZ AL SAHABA 3/484
5: QASTLANI RH.A AL MAWAHIBUL LADUNIYA 4/276
6: IMAM ZURQANI RH.A COMMENTARY 11/150-151
7: IMAM JARAH O TADIL ZAHBI MIZANUL ITIDAL 2/224 ME HAZRAT IMAM AMASH RAHIMULLAH KAY BARE ME FARMATE HE,'' JAB WO APNE BADO MISL IBRAHEEM RAHIMULLAH, IBNE ABUWALI RAHIMULLAH, ABI SU'ALEH RAHIMULLAH, SAMMAN RAHIMULLAH SE RIWAYAT KARE TO HADIS MUTTASIL HE AUR WO SIQAH HE''
AUR UN TAMAM MUHADDISEEN PAR BHI KYA FATWA HE JINHONE IS HADIS KO SAHEEH QARAR DIYA HE..!

IMAM ZAHBI RAHIMULLAH APNI KITAB TAJRIDAL ASMAA ASSAHABAH JISME UNHONE SAHABA K NAAM JAMA KIYE HE USKI JILD:2 PG:51 PAR MALIK BIN AYAZ (AD DAAR) KA ZIKR KARKE FARMATE HE KE UNSE ABU SALIH SAMMAAN NE RIVAYAT KIYA HE. (ABU SALIH BUKHARI K RAVI HE)
AUR ISI TARAH IMAM TAQIYUDDEEN IBNE FAD AL MAKKI R.A NE BHI APNI KITAB MUKHTASAR ASMA AS-SAHABA PG:85 PAR SARAHAT KI HE K MALIK ADDAAR SE ABU SALIH SAMMAN NE RIVAYAT KI HE...!!
ISI TARAH IBNE HAJAR RA.LIKHTE HE..
"MALIK BIN AYAAZ JISE MALIK ALDAAR BHI KAHA JAATA HE UNHONE NABI S.W KO DEKHA HE.....FIR AGE FARMATE HE....UNSE ABU SALIH SAMMAAN AUR UNKE (MALIK ALDAAR)K 2BETO NE RIVAYAT KIYA HE..!!
DOSTO YE HADIS SAAF AUR MUHADDISEEN KI TASREEHAAT K MUTABIQ BILKUL SAHEEH HE...AB BILA WAJA ISPAR BEJA ETRAZAT KARNA JAHALAT NAHI TO AUR KYA HE..????

SABIT HUA KI WISAL KE BAAD BHI YA-RASOOL'ALLAH KEHNA SAHABA KA TARIQA HAI OR YEHI AHL-E-SUNNAT KA SHI'AAR HAI.

MALUM HUWA KI WISAAL SHAREEF KE BAAD BHI SAHABAYE KIRAM MUSHKIL KE WAQT HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KI KHIDMAT ME HAAZIR HOTE THE.
HAR MUSHKIL YAHI SE HAAL HOTI THI.
YAH BHI MALUM HUWA KI HAZRAT UMAR (RADIALLAHU TA€™ALA ANHU) KI BADI SHAAN THI.
AAP KHALIFAYE BARHAQ THE.IS QADAR KHUSHKISMAT HAI KI WISAAL SHAREEF KE BAAD BHI HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KE SALAM WA PAIGAAM MUSHARAF HOTE THE.PHIR JISE FARUQE AAZAM SE ADAWAT HONGI WAH HUZOOR (SAL-LAL-LAHU ALAI HI WA SALLAM) KO KYU NA BURI LAGEGA?



IMAMO’N KA AQEEDAH WASEELA PER

PROOF # 1
ADAAB-E-DUA:
TRANSLATION: HAR SHAKS KO DUA ME AMBIYA AUR SALEHIN KA WASEELA LEKAR DUA MANGNI CHAHIYE.
(KITAB KE AKHIR ME IMAM IBN JAZRI REHMATULLAH ALAIHE FARMATE HAIN)
DUA PURI HONE KE BAAD INSAN KO APNE CHEHRE PAR HATH PHER LENA CHAHIYE.
[AL HISNUL HISEEN, PAGE NO. 25]
SCAN PAGE: 

PROOF # 2
YAHYA BIN YAHYA PAR TEHQIQ SE IMAM IBN HAJAR AUR IMAM HAKIM KA AQEEDA HAI KI AWLIYA KI QABRO PAR JAAKAR WASEELA LENA JAEZ HAI:
IBN HAJAR LIKHTE HAIN KI IMAM HAKIM NE KAHAI KI MAINE ABU ALI NISHAPORI SE SUNA THA KI EK BAR WO BAHOT ZYADA SADME ME THE, TAB UNHONE NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KA KHWAB ME DEEDAR KIYA, AUR NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE HUKM FARMAYA KI YAHYA BIN YAHYA KI QABR KE PAAS JAAO, AUR ISTIGHFAR KARO AUR UNKE WASEELE SE MADAD MANGO,
ABU ALI NISHAPORI FARMATE HAIN KI MAINE AISA KIYA TO MERI PARESHANI DOOR HO GAYI.
[IBN HAJR, TAHDHIB UT-TAHDHIB VOLUME 004, PAGE 398]

PROOF # 3
 ALIYUL MURTAZA FARMATE HAIN,
MAINE NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM SE SUNA.

"ABDAAL, SHAM ME HOTE HAIN,
YE 40 MARD HAIN,
INME SE JAB KOI EK MARTA HAI TO KHUDA USKI JAGA DUSRA MUQARRAR KAR DETA HAI,
INKE WASILE SE BARISH HOTI HAI,
INKE WASILE SE JANG ME FATEH MILTI HAI,
AUR INKE WASILE SE SHAM WALO PAR SE AZAB DAFA KIYA JATA HAI."
(MISKAAT,J-1, BAAB-YAMAN-O-SHAM)
SCAN PAGE:


PROOF # 4
IMAM GHAZALI REHMUTULLAH ALAIH FARMATE HAIN,
JAB BHI KOI SHAKS KISI MUSIBAT ME HO, TO WO QABR WALO SE MADAD MANGE, JO RUHANI TAQAT WALE HOTE HAIN,
AUR ISME KOI SHAK NAHI KI UNKI QABR KI ZIYARAT SE RUHANI MADAD MILTI HAI,
AUR FAIZ HASIL HOTA HAI. AUR BAHOT BAR JAB UNKA WASEELA ALLAH KI BARGAH ME PESH KIYA JATA HAI, TO MUSIBATO KO KHATM KAR DIYA JATA HAI.
[TAFSIR RUH UL MA’ANI, VOLUME 30]
.
SUBHANALLAH,
ITNE BADE BADE AIMMA NE BHI TAMAM HADEESO KA MUTA'ALA KARNE KE BAAD, QURAN KI TAMAM AAYATO PER TEHQIQ KARNE KE BAAD YEHI MASLA NIKALA KI ALLAH KE NEK BANDO/AULIYA KI QABR SE HUM SABKO MADAD BHI MILTI HAI, AUR FAIDA BHI MILTA HAI.
.
SCAN PAGE: 

PROOF # 5
IMAM IBN AL-HAAJ RAHIMULLAH NE ZIYARAT-E-AULIYA KE TALLUQ SE EK MUKAMMAL CHAPTER LIKHA HAI, ISME LIKHTE HAIN, MUTALLIM(STUDENTS) KO AULIYA AUR SALIHEEN KI ZIYARAT-E-KARTE REHNA CHAHIYE, KI INKI ZIYARAT SE DILO KO ZINDAGI MILTI HAI, LOGO KE DIL KHIL JATE HAIN, JAISE KI BARISH SE ZAMEEN KHIL JATI HAI. INKI DUAYEN ALLAH KI BARGAH ME HAMESHA MAQBUL HOTI HAI, ALLAH INKI DUAYEN AUR NIYATEN KABHI RADD NAHI KARTA, AUR JO LOG INKI MEHFILO ME SHIRKAT KARTE HAIN AUR JO LLOG INSE MUHABBAT KARTE HAIN, WO ISLIYE KI ALLAH AUR RASOOL KE BAAD YE AULIYA RHMAT HAIN. JO HAR INSAN KE LIYE HAIN,
TO JIS KISI ME YE KHOBIYA HO TO JALDI HI AISE SHAKS SE FAIZYAB HO, AUR UNSE BARKAT HASIL KAREN, JO INSE MULAQAT KARTE HAIN WO BEHTARIN ILM AUR ZEHNIYAT HASIL KARTE HAIN JISE SAMJHAYA NAHI JA SAKTA. ISI MAANE KE TEHET AAPNE KUCH LOGO KO ILM AUR WAJD ME BAKHOOBI DEKHA HOGA, JO BHI IN TABARRUKAT KI TAZIM KARTA HAI, WO KABHI INKI BARKAT AUR REHMAT SE DOOR NAHI HOTA. LEKIN SHART YE HAI KI JO INSE FAIZYAB HONA CHAHE, WO SUNNATO KA PABAND HO, AUR USKE AMAL SE SABIT HO.
[IMAM ABU ABDULLAH IBN AL-HAAJ AL-MALIKI, AL-MADKHAL VOLUME 002, PAGE NO. 139, PUBLISH: DAR-AL-TURATH, QAHIRA]
.
SCAN PAGE: 

PROOF # 6
 AL-RAZA KI QABR PAR JANE AUR UNKE TAWASSUL KE BARE ME IMAM IBN HIBBANLIKHTE HAIN KI JAB BHI MAI KISI MUSIBAT ME HOTA TO ALI BIN MUSA R.A KI QABR PE CHALA JATA AUR UNKE WASEELE SE DUA KARTA ALLAH UNKE DADA PER REHEM FARMAYE, AUR ALLAH SE KEHTA KI MERI PARESHANI KO DOOR KAR DE. IS CHIZ KO MAINE AKSAR KIYA AUR YE ASARDAR PAYA  (مات على بن موسى الرضا بطوسمن شربة سقاه إياها المأمون فمات من ساعته وذلك في يوم السبت آخر يوم سنة ثلاث ومائتينوقبره بسناباذ خارج النوقان مشهور يزار بجنب قبر الرشيد، قد زرته مرارا كثيرة وما حلت بي شدة في وقت مقامى بطوس فزرت قبر على بن موسى الرضا صلوات الله علىجده وعليه ودعوت الله إزالتها عنى إلا أستجيب لي وزالت عنى تلك الشدة وهذا شيء جربته مرارا فوجدته كذلك أماتنا اللهعلى محبة المصطفى وأهل بيته صلى الله عليه وعليهم أجمعين)
[IBN HIBBAN, KITAB UTH-THIQAT VOLUME 008, PAGE NO. 456-7 #14411, PUBLISHBY AL-KUTUB AL-THAMAFIYAH, HAYDARABAD DECCAN, INDIA]

SCAN PAGE: 


PROOF # 7
IMAM SHAFI LIKHTE HAI KI WOH ROZANA IMAM ABU HANIFA KI QABR KI ZIYARAT KARNE JAATE THE, JABBHI UNHE PARESHANI HOTI TOH WOH 2 RAKAAT NAMAZ ADAA KARTE AUR QABR KI ZIYARAT KARTE TOH ALLAH KAY FAZL SE UNKI TAKLIF DOOR HOJATI.
REF : 1) KHATĪB BAGHDĀDĪ HAS RELATED THE INCIDENT WITH A SOUND CHAIN OF TRANSMISSION IN HIS TĀRĪKH BAGHDĀD (1:123)


2) IBN HAJAR HAYTHAMĪ, AL-KHAYRĀT-UL-HISĀN FĪ MANĀQIB-IL-IMĀM AL-A‘ZAM ABŪ HANĪFAH (P.94)

3) MUHAMMAD ZĀHID KAWTHARĪ, MAQĀLĀT (P.381)

4) IBN ‘ĀBIDĪN SHĀMĪ IN RADD-UL-MUHTĀR ‘ALĀ DURR-IL-MUKHTĀR (1:41).
AUR LIKHTE HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI FAMILY WASEELA/WASILATI HAI [IMÂM SHÂFI`Î, DÎWÂN (LEBANON, BEIRUT: DÂRUL-FIKR, 2005), 162, #34]


PROOF # 8
IMAM MALIK:
CALIPHA ABU JAFAR MANSUR MADINA TASHRIF LAYE AUR INHONE IMAM MALIK SE SAWAAL KIYA KI ME DUA MANGTE WAQT APNA RUKH QAABA KI TARAF KARU YA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KAY ROZA E MUBARAK KI TARAF,IS PER IMAM MALIK NE KAHA KI TUM NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI TARAF RUKH KARLO KYUKAY YEHI HUMARA ZARIYA HAI AAKHIRAT ME SHAFA’AT KA,NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KA WASEELA ABHI TALAB KARO TAAKI AKHIRAT ME BHI HUME INKA WASEELA MILE.
IS WAQYA KO QADI IYAD APNI ASH SHIFA 2:596 WOH BHI SAHI SANAD KAY SAATH LIKHA HAI AUR SAATH DUSRE IMAM NE BHI ISE DARJ KIYA HAI “SUBKĪ IN SHIFĀ’-US-SIQĀM FĪ ZIYĀRAT KHAYR-IL-ANĀM, SAMHŪDĪ IN KHULĀSAT-UL-WAFĀ, QASTALLĀNĪ IN AL-MAWĀHIB-UL-LADUNIYYAH, IBN JAMĀ‘AH IN HIDĀYAT-US-SĀLIK AND IBN HAJAR HAYTHAMĪ IN AL-JAWHAR-UL-MUNAZZAM”

PROOF # 9
IBN UL JAWZI
1)   APNI BIOGRAPHY SUFI SIFAT US SAFWAH (2:266) ME IBRĀHĪM BIN ISHĀQ HARABĪ KAY BARE LIKHTE HAI “AUR INKI QABR SABKE KAY LIYE KHULI HAI,LOG YAHA SE FAIZ PAATE HAI” ISKA SCAN PAGE NICHE HAI :

2) AUR INHONE HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM KA QISSA WASEELA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KAY ZARIYE BHI DARJ KIYA HAI APNI KITAB AL-WAFĀ BI-AHWĀL-IL-MUSTAFĀ (1:33) PAGE 149.
3) ABU BAKR AL-MINQARI NE KAHA HUM (AL-HAFIZ) AL-TABARANI AND ABU AL-SHAYKH KAY SAATH ME MASJID E NABVI ME THE KUCH MUSHKILO’N KI WAJAH SE HUME BAHUT ZOR SE BHOOK LAGI AUR WOH 2 DIN SE BHUKE BHI THE AUR WAQT ISHA KA HUA THA TAB ME NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KI QABR MUBARAK PER AAYA AUR KAHA “ALLAH KAY RASUL SALLALLAHUALAIHIWASALLAM HUM BHOOKE HAI HUM BHOOKE HAI FIR ME WAHA SE NIKAL GAYA,ABU AL SHAYKH NE MUJHSE KAHA BAITH JAO,HUME KHANA MILEGA YA MAUT.ME AUR ABU AL SHAYKH SOGAYE LEKIN AL TABRANI JAAGE HUE THE KUCH DHUND RAHE THE FIR EK ALAWI AAYA 2 BACHO KAY SAATH KHAANA LEKAR.HUMNE WOH KHANA KHA LIYA FIR ALAWI NE KAHA KI KYA TUMNE NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO COMPLAIN KI THI ? MENE UNHE KHWAB ME DEKHA AUR MUJHE HUKUM DIYA KI ME KHANA LEKAR TUMHARE PAAS AAU.
 [AL-HAFIZ IBN JAWZI, KITAB AL WAFA, PAGE 818]                                

PROOF # 10
IBN HAJAR ‘ASQALĀNĪ
APNI KITAAB AL-ISĀBAH FĪ TAMYĪZ-IS-SAHĀBAH (3:484) AUR FATH-UL-BĀRĪ (2:495-6) ME WOH KISSA DARJ KIYA HAI JAHA EK SHAKS NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KAY ROZA E MUBARAK KAY WASEELA SE BAARISH AATI THI.(PAGE 230)
TAWASSUL IBN E ABBAS IN FATH-UL-BÂRÎ, 2:497 &
ZURQÂNÎ, SHARH-UL-MAWÂHIB, 11:152
PROOF # 11
IMAM JALALUDDIN SUYUTI APNI KITAB AD-DURR-UL-MANTHŪR (1:58) AND AL-KHASĀ’IS-UL-KUBRĀ (1:6) ME WASEELA KAY TALUQ SE LIKHA HAI.
PROOF # 12
IMAM QASTALLANI NE APNI KITAB
QASTALLĀNĪ, AL-MĀWĀHIB-UL-LADUNIYYAH (2:726); ZURQĀNĪ, COMMENTARY (7:487)

AUR ISKI SHURU ME BHI WASEELA KAY BARE AL-MAWĀHIB-UL-LADUNIYYAH (PAGE 149) LIKHA HAI.
PROOF # 13
IBN HAJAR HAYTHAMĪ
APNI KITAB IBN HAJAR HAYTHAMĪ, AL-FATĀWĀ AL-HADĪTHIYYAH (PP.255-256) PER WASEELA KAY TALUQ SE LIKHA HAI AUR JAYAZ KAHA HAI.
PROOF # 14
IMAM NAWAWI
APNI KITAB KI 6 JILD AL-ĪDĀH ME WASEELA KO JAYAZ LIKHA AUR AL-ADHKAR PAGE 212 PER SAABIT KIYA HAI WASEELA JAYAZ HAI.
PROOF # 15
IMAM HAKIM
APNI KITAB AL MUSTADARAK (2:615) PER HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM KA WASEELA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KAY ZARIYE KAY BARE LIKHTE HAI AUR ISKI SANAD SAHI HAI(PAGE 212)

PROOF # 16
IMAM BAYHAQI
APNI KITAB DALĀ’IL-UN-NUBUWWAH (5:489) ME HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM KA WASEELA NABI SALLALLAHUALAIHWIASALLAM KAY ZARIYE DARJ KI HAI AUR DALĀ’IL-UN-NUBUWWAH (6:166-7) PER ‘UTHMĀN BIN HUNAYF.(PAGE 180) KI HADEES NAQAL KI HAI AUR AS-SUNAN-UL-KUBRĀ (3:352) PER UMAR BIN AL-KHATTĀB KI BEARISH WALI HADEES NAQAL KARTE HUE APNA AQEEDAH ZAAHIR KIYA HAI.

PROOF # 17
IMAM QADI IYAD APNI KITAB ASH-SHIFĀ (1:227-8) ME HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM KI HADEES NAQAL KARTE HAI SAHI SANAD KAY SAATH AUR ISI BAAB ME NABI SALLALLAHUALAIHWASALLAM KAY ROZA E MUBARAK PER JAANA AUR USKI KHUBIYA BAYAN KI HAI.


PROOF # 18
IMAM AHMED BIN HAMBAL
عبد الله بن أحمد بن حنبل قال سمعت أبي يقول حججت خمس حجج اثنتين راكب وثلاث ماشي أو ثلاث راكب واثنتين ماشي فضللت الطريق في حجة وكنت ماشيا فجعلت أقول يا عباد الله دلوني على الطريق قال فلم أزل أقول ذلك حتى وقفت على الطريق أو كما قال أبي
 [IMAM BAIHAQI IN SHU’AYB UL IMAN, VOLUME 6, PAGE NO 128, HADITH NO. 7697] 


PROOF # 19
IMAM DAHABI STUDENT OF IBN TAYMIYA
قال قحط المطر عندنا بسمرقند في بعض الأعوام فاستسقى الناس مرارا فلم يسقوا فأتى رجل صالح معروف بالصلاح إلى قاضي سمرقند فقال له إنيرأيت رأيا أعرضه عليك قال وما هو قال أرى أن تخرج ويخرج الناس معك إلى قبر الإمام محمد بن إسماعيل البخاري وقبره بخرتنك ونستسقي عندهفعسى الله أن يسقينا قال فقال القاضي نعم ما رأيت فخرج القاضي والناس معه واستسقى القاضي بالناس وبكى الناس عند القبر وتشفعوا بصاحبه فأرسل الله تعالى السماء بماء عظيم غزير أقام الناس من أجله بخرتنك سبعة أيام أو نحوها لا يستطيع أحد الوصول إلى سمرقند من كثرة المطر وغزارتهوبين خرتنك وسمرقند نحو ثلاثة أميال
SAMARQAND KA EK WAQIYA NAQAL KIYA HAI AAPNE AUR KAHA KI IMAM BUKHARI KAY QABR PER JAAKAR WASEELA TALAB KARE AUR BILKUL LOGO NE AISA HI KIYA, IMAM BUKHARI KI QABR PER PAHUCHE WASEELA TALAB KIYA TAB USI WAQT ALLAH TAALA NE BEARISH KAY BAADALO’N KO BHEJDIYA.  [AS SIYAR AL ALAM AN NABULA VOLUME 12, PAGE NO 469] 
SCAN PAGE :

PROOF # 20
IMAM BUKHARI





IBN TAYMIYA KA AQEEDA WASEELA PER
AHLEHADEESO KE SHEIKH-UL-HADEES IBN TAYMIYYA LIKHTE HAIN:

1)
 HAZRAT UMAR FAROOQ RADIALLA TAALA ANHU SE RIWAYAT HAI KI NABI SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA,
JAB AADAM ALAIHE SALAM SE EK KHATA SARZAD HO GAYI AUR FIR UNHONE ALLAH SE IS TARAH DUA KI,
''AYE ALLAH, MAI MUAHAMMED SALLALLAHO ALAIHEWASALLAM KE WASEELE SE TUJHSE DUA MANGTA HU, MUJHE MAAF KAR DE,''
TO ALLAH TAALA NE PUCHA, 'TUMNE MUHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KO KAISE JAANA?'
TO HAZRAT AADAM ALAIHE SALAM NE FARMAYA: JAB TUNE MUJHE BANAYA THA TAB MAINE APNA SAR UPAR KI TARAF UTHAYA TO DEKHA KI ARSH LIKHA THA,
'LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH'
TAB MAI SAMAJH GAYA KI INKA MAQAM BAHOT AALAHA HAI,
WARNA TUMNE YE NAAM APNE NAAM KE SATH NAHI LIKHA HOTA,
ALLAH TAALA NE FARMAYA:
''MAINE TUMHE BAKHSH DIYA, AUR WO TUMHARI HI AULADO ME SE MERE AKHRI RASOOL HONGE, AUR MAINE UNHI KE SADQE TUMHE PAIDA FARMAYA HAI.''

DUSRI RIWAYAT ME HAI KI
JAB ALLAH TAALA NE ASMAN-O-ZAMEEN KO PAIDA FARMAYA TO
ARSH KE KHAMBO PER, JANNAT KE DARWAZO PER, DARAKHTO KI PATTIYO PAR LIKHA THA KI MUHAMMED SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM AKHRI RASOOL HAIN,

YE DONO RIWAYATEN SAHEEH HAIN,
[ FATAWA IBN TAYMIYYA , VOL. 2, PAGE 150; ALSO TA'RIKH IBN KATHIR , CHAPTER ON 'STORY OF ADAM']
[TABARANI MU'JAM AL-AUSAT VOLUME 006, PAGE NO. 313-314, HADITH NUMBER 6502]
SCAN PAGE#1:    


IMAM BULQINI ALSO DECLARES THIS TRADITION “SOUND” IN HIS FATAWA. IMAM SUBKI CONFIRMS HAKIM'S AUTHENTICATION IN [SHIFA-US-SIQAM FI ZIYARAT KHAYR-IL-ANAM PAGE NO. 120-1]
HAFIZ IBN TAYMIYYA, KE BALAWA BHI IS RIWAYAT KO DUSRE MUHADDESIN HAFIZ IMAM SUYUTI, AL-BAYHAQI AUR TABRANI, NE BHI SAHEEH SANAD KE SATH NAQAL FARMAYA HAI.

2) HAZRAT UMAR IBN KHATTAB KA WAQIYA NAQAL KIYA HAY AAPNE APNI FAUJ KO DOOR SE AAWAZ LAGAI. REF: IBN TAYMIYYAH, THE DECISIVE CRITERION BETWEEN THE FRIENDS OF ALLAH AND THE FRIENDS OF SHAITAIN,(PAGE 316)
3) 
المرداو
ي في الإنصاف ( 2:456
“… يجوز التوسل بالرجل الصالح على الصحيح من المذهب، وقيل:يُستحب. قال الإمام أحمد للمروذي : يتوسل بالنبي صلى اله عليه وسلم في دعائه
وجزم ب
ه في المستوعب وغيره..
REF: IBN TAYMIYYAH IN MAJMU’ AL-FATAWA (1:140). 
4) IBNE TAIMIYA AK RAWAYAT NAQAL KIA HAI JO ABU DUNIYA KE AK KITAB JISKA NAAM "MUJIBI AD DUA" SE LIA GYA HAI WO KAHTE HAI KI AK SHAKS APNI TAKLIF LEKAR ABUL MALIK BIN SAED BIN ABSAR KE PAAS AYA, ABUL MALIK NE US SHAKS KE KAMAR KE UPRI HISSE{BELLY} KO DABAYA OR USE KAHA TUM AK LA-ILAAZ BIMARI KE MARZ HO, USNE KHA MUJHE KIA HUA ABUL MALIK NE FARMAYA YAH AK TARAH KI BIMARI HAI JISE "ULCER" KAHTE HAI JO BELLY KE ANDAR BADTI HAI OR AAKHIR ME INSAN MAR JATA HAI, REWAYTO ME ATA HAI KI WO SHAKS YE SUN KAR CHARO TARAF GHUMNE LAGTA HAI OR KAHTA HAI ALLAH! ALLAH! ALLAH! MAINE AAJ TUMHARE SATH KISI KO SHARIK NAHI KIA, YAA ALLAH! MAINE APNE AAP KO MOHAMMAD SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KE WASILE SE JO RAHMATUL LIL ALEMIN HAI SABKUCH TUMHE DE DIA HAI OR YAA MOHAMMAD! MAINE APKE WASILE SE APNA SAB KUCH APKE OR APNE ALLAH KO DE CHUKA HUN BUS MAI YE CHAHTA HUN KI ALLAH MUJH PAR KARAM KRE OR MERI BIMARI KO TIK KR DE.. AGE IBNE TAIMIYA RIWAYAT NAQL KRTE HAI KE FIR ABUL MALIK NE US SHAKS KE BELLY KO DABAYA OR KAHA JAW TUM TIK HO GYE AB TUMHE KOI MARZ NAHI HAI, IBNE TAIMIYA SARA WAQEYA RIWAYAT KRNE KE BAAD KHTE HAI KI "MAIN IS BAAT SE MUTMAEEN HUN KI IS TARAH KA WASILA LENA HAMARE BUZURGO OR SALF AL SALEHEEN KA TARIQA RAHA HAI.
REF: QAIDA AL JALEELA, FIT TAWASSUL WAL-WASILA, PAGE NO. 91 









WASEELA PER HAWALA JAAT SIHA SITTA AUR DIGAR AHADEES KI KITAAB SE.

BUKHARI:: BOOK 93 :: VOLUME 9 :: HADITH 601 (TAWHEED)
BUKHARI :: BOOK 93 :: VOLUME 9 :: HADITH 532 (TAWHEED)
BUKHARI :: BOOK 93 :: VOLUME 9 :: HADITH 507 (TAWHEED)
BUKHARI :: BOOK 76 :: VOLUME 8 :: HADITH 563 (AR-RIQAQ)
BUKHARI :: BOOK 3 :: VOLUME 1 :: HADITH 98
BUKHARI :: BOOK 76 :: VOLUME 8 :: HADITH 574 (AR-RIQAQ)
BUKHARI :: BOOK 11 :: VOLUME 1 :: HADITH 588 (ADHAAN)
BUKHARI :: BOOK 60 :: VOLUME 6  :: HADITH 3 (TAFSEER OF THE PROPHET (SALLALLAHUALAIHIWASALLAM)) SURAH (16.29)
BUKHARI :: BOOK 6 :: VOLUME 60 :: HADITH 236 (TAFSEER OF THE PROPHET (SALLALLAHUALAIHIWASALLAM))
BUKHARI :: BOOK 76 :: VOLUME 8 :: HADITH 570 (AR-RIQAQ)
BUKHARI :: BOOK 76 :: VOLUME 8 :: HADITH 569 (AR-RIQAQ)
BUKHARI :: BOOK 55 :: VOLUME 4 :: HADITH 556
BUKHARI :: BOOK 93 :: VOLUME 9 :: HADITH 566 (TAWHEED)
BUKHARI :: BOOK 24 :: VOLUME 2 :: HADITH 553 (ZAKAT)
BUKHARI :: BOOK 58 :: VOLUME 5 :: HADITH 224 (ANSAAR)
BUKHARI :: BOOK 76 :: VOLUME 8 :: HADITH 571 (AR-RIQAQ)
BUKHARI :: BOOK 7 :: VOLUME 1 :: HADITH 331 (TAYAMMUM)
BUKHARI :: BOOK 55 :: VOLUME 4 :: HADITH 581
BUKHARI :: BOOK 60 :: VOLUME 6 :: HADITH 242
BUKHARI :: BOOK 8 :: VOLUME 1 :: HADITH 429 (SALAT)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 377 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 373 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 388 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 386 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 385 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 378 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 369 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 367 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 357 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 352 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 4 : HADITH 747 (KITAB AL-SALAT)
MUSLIM :: BOOK 42 : HADITH 7149 (KITAB AL-ZUHD WA AL-RAQA'IQ)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 391 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 411 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 4 : HADITH 1058 (KITAB AL-SALAT)
MUSLIM :: BOOK 30 : HADITH 5655 (KITAB AL-FADA'IL)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 390 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 4 : HADITH 2071 (KITAB AL-SALAT)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 396 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 389 (KITAB AL-IMAN)
MUSLIM :: BOOK 1 : HADITH 392 (KITAB AL-IMAN)
DAWUD :: BOOK 41 : HADITH 5113 (KITAB AL-ADAB)
DAWUD :: BOOK 40 : HADITH 4721 (KITAB AL-SUNNAH)
DAWUD :: BOOK 14 : HADITH 2769 (KITAB AL-JIHAD)
DAWUD :: BOOK 14 : HADITH 2516 (KITAB AL-JIHAD)
MALIK :: BOOK 15 : HADITH 15.8.26 (QURAN)
JAAME TIRMIZI PG.142 VOL.2
MISHKAAT  PG.489 - MIRKAAT PG.282 VOL.10
ASH'ATUL LAM'AAT PG.387 VOL.3
MISHKAAT  PG.494  
JAAME  TIRMIZI  PG.67 VOL.2
IBN MAJAH PG.330
ASH’ATUL LAM'AAT PG.404  VOL.4
MIRKAAT PG.310 VOL.10 - MUSTADRIK PG.67 VOL.1
IBN MAJAH SHAREEF PG.329  
MISHKAAT  SHAREEF  PG.194
ASH'ATUL  LAM'AAT  PG.168 VOL.2
FATHUL BAARI PG.96 VOL.11 
UMDATUL QAARI PG.276 VOL.22 
IRSHAADUS SAARI - MUSTADRIK PG.68 VOL.1
TIRMIZI SHAREEF PG.600 VOL.6 
JAAME SAGHEER PG.97 VOL.1
NIHAAYA PG.208 VOL.2
MISHKAAT SHAREEF PG.514
ASH'ATUL LAM'AAT PG.478 VOL.4
MIRKAAT SHAREEF PG.64 & 65 VOL.11
TIRMIZI SHAREEF PG.201 VOL.2
JAAME SAGHEER PG.33 VOL.1
MUSTADRIK PG.71 VOL.1
TALKHEES PG.71 VOL.1
IBN MAJAH SHAREEF PG.33
MISHKAAT  SHAREEF  PG.514
JAAME TIRMIZI PG.201 VOL.2
DARMI SHAREEF PG.30 VOL.1
 ASH'ATUL LAM'AAT PG.477
MIRKAAT SHAREEF PG.63 VOL.11
MISHKAAT SHAREEF PG.511
ASH'ATUL  LAM'AAT  PG.466  VOL.4
MIRKAAT SHAREEF PG.45 VOL.11
IBN MAJAH SHAREEF PG.329
MISHKAAT  PG.514,  
ASH'ATUL  LAM'AAT  PG.477  VOL.4   
MIRKAAT PG.63 VOL.11
IBN MAJAH PG.329
MIRKAAT PG.276 VOL.10 
NIHAAYA PG.188 VOL.2
SUNAN IBN MAAJAH, BAAB ZIKR ASH-SHAFA'AH. VOL. 1, PAGE 329
MUSNAD AHMAD BIN HANBAL, VOL. 2, PAGE 75
AL-KAMIL LI IBN ADI, VOL. 5, PAGE 1801
KANZUL UMMAL, HADITH 39073, VOL. 14, PAGE 401
MAJMA' ZAWAID, VOL. 5, PAGE 44
TAREEKH-E-BAGHDAD, VOL. 1, PAGE 416
MUSNAD AHMAD, VOL. 5, PAGE 347 HADITH 23645
AL MAU'JAM AL AUSAT, HADITH 5519 VOL. 2 PAGE 172
KANZ AL-UMMAL, HADITH 39062, VOL 14, PAGE 399
MUSTADRAK LIL HAKIM, VOL 1 PAGE 270
MUSNAD AHMAD, VOL 4, PAGE 414
KANZUL UMMAL HADITH 39079/80 VOL 10 PAGE 378/79
MAJMA'AZ ZAWAID, VOL 10, PAGE 379
 MUSNAD AHMAD, VOL. 43 PAGE 55 HADITH 20255
AL-KHASAIS AL-KUBRA, VOL. 2 PAGE 335
AL-MAU'JAM AL-KABEER, VOL. 12. PAGE 445
AL-MAU'JAM AL AWSAT, HADITH 3857, VOL. 4, PAGE 503
AL-MUSTADRAK LIL HAKIM, VOL 1 PAGE 65/66
AL-MAU'JAM AL AWSAT, HADITH 2958 VOL 3 PAGE 446
AL-TARGHEEB WA AL-TARHEEB, VOL 4, PAGE 446
SUNAN NISAEE, VOL 1 PAGE 74
MUSNAD AHMAD, VOL 1 PAGE 301
AL-MAU'JAM AL KABEER VOL 11 PAGE 73
AL TARGHEEB WAL TAHREEB VOL 4 PAGE 433
AL-MAU'JAM AL AWSAT, VOL 8, PAGE 212
MUSNAD AHMAD VOL. 3, PAGE 307
MUSNAD AHMAD VOL. 3, PAGE 220
SUNAN AL-KUBRA, VOL. 2, PAGE 433
MUSNAD AHMAD, VOL 5, PAGE 127
AL-SHIFA BI TAREEFI HUQOOQIL MUSTAFA, VOL. 1, PAGE 134
SUNAN TIRMIDHI VOL. 2 PAGE 201
SUNAN IBN MAAJAH PAGE 330
AL MUSTADRAK LIL HAKIM VOL. 1 PAGE 71
KANZ AL-UMMAL HADITH 39059 VOL. 14, PAGE 399
NOTE: QUL 120 HAWALA JAAT HAI WASEELA PER,HUMARA CHALLENGE HAI KI EK HADEES YA EK DALAIL DIKHAO JAHA WASEELA HARAM,SHIRK YA WAFAAT BAAD QURBIYAT KHATAM HOJAATI HAI AISA KUCH DIKHAO TOH JAANE WAHBIYO’N TUM HAQ PER HO AUR TUMHE HUM QAYAMAT TAK KA WAQT DETE HAI JITNA ZOR LAGA SAKTE HO LAGALO.




DEOBAND SE WASEELA KA SABOOT

      DEOBAND APNI KITAB AL MUHANNAD AL MUFANNAD KAY SAFA NO. 41 PER EK SAWAAL LIKHTE     HAI AUR KHUD HI USKA JAWAAB BHI DETE HAI WASEELA KAY TALUQ SE.
SAWAAL: KYA WAFAT BAAD RASUL ALLAH SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KA TAWASSUL LENA DUAO’N ME JAIZ HAI YA NAHI?
TUMHARE NAZDEEK SALAF SALEHEEN YAANI AMBIYA SIDDIQEEN AUR SHAUHDA WA AULIYA ALLAH KA TAWASSUL BHI JAIZ HAI YA NAHI?
JAWAAB : HUMARE NAZDEEK AUR HUMARE MASHAIK KAY NAZDEEK DUAO’N ME AMBIYA SALEHEEN WA AULIYA WA SHAUHDA WA SIDDIQEEN KA TAWASSUL JAYAZ HAI.UNKIHAYAT ME YA BAAD WAFAT BAI TAUR KAHE YA ALLAH ME BAWASEELA FALA BUZURG KAY TUJHSE DUA KI QABULIYAT AUR HAJAT BARAI CHAHTA HU ISI JAISE AUR QALIMAT KAHE CHUNANCHE ISKI TASHREEH FARMATE HAI HUMARE SHAIKH MAULANA SHAH MUHAMMAD ISHAQ DEHLVI SOOM AL MAKKHI NE FIR MAULANA RASHEED AHMED GANGOHI NE BHI APNI FATAWA ME ISKO BAYAN FARMAYA HAI JO CHAPA HUA AAJ KAL LOGO KAY HAATH ME MAUJUD HAI AUR YEH MASLA ISKI PEHLI JILD KAY SAFA 93 PER MAZKOR HAI JISKA JI CHAHE DEKHE.

No comments:

Post a Comment