Tawassul / Waseela Wafaat ke Baad Lena Ahadees se Saabit hai.
Hadees no 1 :
حَدَّثَنَا طَاهِرُ بْنُ عِيسَى بْنِ قَيْرَسَ المُقْرِي الْمِصْرِيُّ التَّمِيمِيُّ، حَدَّثَنَا أَصْبَغُ بْنُ الْفَرَجِ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، عَنْ شَبِيبِ بْنِ سَعِيدٍ الْمَكِّيِّ، عَنْ رَوْحِ بْنِ الْقَاسِمِ، عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ الْخَطْمِيِّ الْمَدَنِيِّ، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ بْنِ سَهْلِ بْنِ حُنَيْفٍ، عَنْ عَمِّهِ عُثْمَانَ بْنِ حُنَيْفٍ ” أَنَّ رَجُلًا كَانَ يَخْتَلِفُ إِلَى عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ فِي حَاجَةٍ لَهُ , فَكَانَ عُثْمَانُ لَا يَلْتَفِتُ إِلَيْهِ , وَلَا يَنْظُرُ فِي حَاجَتِهِ , فَلَقِيَ عُثْمَانَ بْنَ حَنِيفٍ , فَشَكَا ذَلِكَ إِلَيْهِ , فَقَالَ لَهُ عُثْمَانُ بْنُ حَنِيفٍ: ائْتِ الْمِيضَأَةَ فَتَوَضَّأْ , ثُمَّ ائْتِ الْمَسْجِدَ فَصَلِّ فِيهِ رَكْعَتَيْنِ , ثُمَّ قُلِ: اللَّهُمَّ , إِنِّي أَسْأَلُكَ وَأَتَوَجَّهُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ نَبِيِّ الرَّحْمَةِ يَا مُحَمَّدُ إِنِّي أَتَوَجَّهُ بِكَ إِلَى رَبِّكَ عَزَّ وَجَلَّ فَيَقْضِي لِي حَاجَتِي , وَتَذْكُرُ حَاجَتَكَ , وَرُحْ إِلَيَّ حَتَّى أَرُوحَ مَعَكَ , فَانْطَلَقَ الرَّجُلُ , فَصَنَعَ مَا قَالَ لَهُ عُثْمَانُ , ثُمَّ أَتَى بَابَ عُثْمَانَ , فَجَاءَ الْبَوَّابُ حَتَّى أَخَذَ بِيَدِهِ , فَأَدْخَلَهُ عَلَى عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ , فَأَجْلَسَهُ مَعَهُ عَلَى الطِّنْفِسَةِ , وَقَالَ: حَاجَتُكَ؟ فَذَكَرَ حَاجَتَهُ , فَقَضَاهَا لَهُ , ثُمَّ قَالَ لَهُ: مَا ذَكَرْتَ حَاجَتَكَ حَتَّى كَانَتْ هَذِهِ السَّاعَةُ , وَقَالَ: مَا كَانَتْ لَكَ مِنْ حَاجَةٍ , فَأْتِنَا , ثُمَّ إِنَّ الرَّجُلَ خَرَجَ مِنْ عِنْدِهِ , فَلَقِيَ عُثْمَانَ بْنَ حُنَيْفٍ , فَقَالَ: لَهُ جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا , مَا كَانَ يَنْظُرُ فِي حَاجَتِي , وَلَا يَلْتَفِتُ إِلَيَّ حَتَّى كَلَّمْتَهُ
Sanad :
Imam Tabraani Rh. — > Taahir bin Isaa Rh. — > Asbaq Ibn ul Farj Rh. — > Abdullah bin Wahab Rh. — > Shabeeb bin Saeed Rh. — > Rooh Ibn ul Qaasim Rh. — > Abi Jafer Al Khatmi Al Madani Rh. — > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rdh. — > Usmaan bin Hunaif Rdh.
Matan :
Hazrat Usmaan Bin Hunaif Rdh. Se Marwi hai ke Ek Shaks Hazrat Usmaan Bin Affaan Rdh. Ke Paas Ek Zarurat ke Liye Aaya Jaaya Karta tha aur hazrat usmaan rdh. (Ghaliban Ba-Wajah Masrufiyat) na toh uski taraf mutawaffe farmaate aur na uski haajat baraari karte , wo shaks hazrat usmaan bin hunaif rdh. Se mila aur uski shikaayat ki , toh unhone farmaaya ke Wazu ki Jaa aur Wazu karke phir Masjid me Jaakar 2 Rakaar Namaz Padh.
Phir Kaho ke
“Aye Allah, Mai Aapse Sawaal Karta hu, Aapki Taraf Mutawaffe Hota hu, Hamaare Nabi Muhammed SAW, Nabi e Rehman ke Waseele se………
Khulaasa yeh ke Us Shaks ne Aisa hi kiya aur uski dua ki barkat se hazrat usmaan bin affaan rdh. Ne uski ta’azeem aur takreem ki aur kaam bhi pura kardiya.
(Mua-jjamus Sagheer Lit Tabraani : Jild 1 : Safa 183-184)
Scan Page :
Sanad ki Tehqeeq :
1 – Imam Abul Qaasim at Tabraani Rh. Al Mutawaffa 360 Hij. Mashoor Imam hai.
Aimma ne Unko Hafiz, Mashoor, Musnad e Duniya aur SIQA Qaraar Diya hai.
Lehaaza Yeh Bil-ittefaaq Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 8 : Safa 143)
(Seer Alamun Nubula : Jild 16 : Safa 119)
Scan Page : Taarikh ul Islaam
Scan Page : Seer Alamun Nubula
2 – Imam Taahir Bin Isaa 292 Hij , Imam Tabraani Rh. ke Ustaad hai.
Imam Ibn Maakula Rh. Al Mutawaffa 475 Hij. Farmaate hai ke wo SIQA hai.
(At-Taz-yeel Alaa Kitaab Al Jarah Wa Ta’adeel : Jild 1 : Safa 146)
(Al Ikmaal Li Ibn Maakulaa : Jild 1 : Safa 296)
Scan Page : At-Taz-yeel
Malomm huwa ke Yeh bhi Siqa hai.
3 – Imam Asbagh Bin Al Farj Al Misri Rh. Al Mutawaffa 225 Hij , Yeh Saheeh Bukhari , Abu Dawud , Tirmizi aur Nasaai ke Raavi Hone hone ke saat SIQA hai.
(Taqreeb : Raqm no 536)
Scan Page :
Lehaaza Yeh Siqa hai.
4 – Imam Abdullah bin Wahab Al Misri Rh. Al Mutawaffa 197 Hij, bhi Saheehain (Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim) aur Sunan e Arba ke Raavi hai.
Aur wo SIQA, Aabid aur Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm no 3694)
Scan Page :
5 – Imam Shabeeb Bin Saeed Rh. Al Mutawaffa 186 Hij. Bhi Saheeh Bukhari aur Sunan e Nasaai ke Raavi hai.
Aur Unki Tauseeq Darj e zail hai :
6 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rh. Al Mutawaffa 141 Hij. Bhi Saheehain ke Raavi hai aur SIQA Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm no 1970)
Scan Page :
7 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rh. Sunan e Arba ke Raavi hai aur Siqa hai.
Imam Ibn Maeen Rh., Imam Ibn e Numair Rh., Imam Ibn Hibban Rh., Imam Ijli Rh., Imam Ibn Khalfoon Rh., Imam Tabraani Rh., Imam Nasaai Rh., Imam Abdur Rehman bin Mehdi Rh. aur Imam Zehbi Rh. ne Unhe SIQA Qaraar diya hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 8 : Safa 151)
(Al Kaashif)
Scan Page : Tehzeeb ut Tehzeeb
8 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rh. Al Mutawaffa 100 Hij. Sahabi e Rasool hai. (Taqreeb : Raqm no 402)
9 – Usmaan bin Hunaif Rdh. Bhi Mashoor Sahabi hai. (Taqreeb : Raqm no 4462)
Algarz Yeh hadees Bil-Tehqeeq Wal Yaqeen Saheeh hai aur Munkireen e Tawassul par Bhaari Daleel wa Hujjat hai.
Is Hadees ko Saheeh Kehne Waale Muhaddiseen :
1 – Imam Tabraani Rh. Al Mutawaffa 360 Hij.
(Mua-jjamus Sagheer Lit Tabraani : Jild 1 : Safa 184)
Scan Page :
2 – Imam Abu Bakr Al Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij.
(Haashiya Alaa Al Izaah Lin Nawawi Li Ibn Hajar Haismi : Safa 500)
Scan Page :
3 – Imam Munziri Rh. Al Mutawaffa 656 Hij.
(Targheeb ut Tarheeb Lil Munziri : Jild 1 : Safa 241)
Scan Page :
4 – Imam Taqiuddin Subki Rh. Al Mutawaffa 752 Hij. (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Shaafa ul Saqaam Lis Subki : Safa 125)
Scan Page :
5 – Imam Nuruddin Ali Ibn Ahmed Al Samhudi Rh. Al Mutawaffa 911 Hij. (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Wafaa ul Wafaa Lil Samhudi : Jild 4 : Safa 194-195)
Scan Page :
6 – Imam Ibn Hajar Haismi Rh. Al Mutawaffa 974 Hij. (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Haashiya Alaa Al Izaah Lin Nawawi Li Ibn Hajar Haismi : Safa 500)
Scan Page :
7 – Imam Al Muhaddis Shaykh Muhammed Aabid Sindhi Al Mutawaffa 1257 Hij.Ne Farmaaya ke Iske Rijaal Saheeh ke Rijaal hai.
(Anjaahul Hajaah Sharah Ibn Majaah : Safa 230)
Scan Page :
8 – Imam Suyuti Rh. Al Mutawaffa 911 Hij. (Ba-aitejaaj Saheeh Kaha hai)
(Khasaaisul Kubra : Jild 3 : Safa 175-176)
Scan Page :
9 – Ghair Muqallideen ke Imam Shaukaani Rh. ne bhi Is Hadees se Tawassul ke Jayez Hone par Istedlaal Kiya hai.
(Tohfatul Ahwazi : Jild 10 : Safa 25)
10 – Imam e Ahle Sunnah Maulana Sarfaraz Khan Safder Rh. ne bhi is Hadees ko Saheeh Qaraar diya hai. (Taskeen us Sudoor : Safa 435)
Wazaahat : Is ke Baad Imam Subki Rh. aur Imam Samhudi Rh. Wagaira ne Tasreeh ki hai ke Nabi e Aqdas SAW ki Wafaat ke Baad bhi Aap SAW ka Tawassul / Waseela (Lena) Durust hai.
Aiteraaz no 1 :
Shabeeb Bin Saeed Rh. ke bare me Imam Ibn A’adi Rh. ne kaha Jiska Khulaasa yeh hai ke
Abdullah bin Wahab Rh. se Jab Shabeeb bin Saeed Riwayat kare, toh wo Hadees Munkar hai. (Al Kaamil)
Aur is Riwayat me Shabeeb Rh. se Ibn Wahab riwayat kar rahe hai.
Lehaaza Yeh hadees saheeh nahi hai.
Al – Jawaab no 1 :
Yahi riwayat Shaheeb bin Saeed Rh. se Unki Bete Ahmed Bin Shaheeb bin Saeed Rh. se bhi marwi hai.
حَدَّثَنَا عَبْدُ الله بن جعفر، قَالَ: حَدَّثَنَا يَعْقُوبٌ، قَالَ: حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ شَبِيبِ بْنِ سَعِيدٍ، قَالَ: حَدَّثَنَا أَبِي، عَنْ رَوْحِ بْنِ الْقَاسِمِ , عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ الْمَديني، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ بْنِ سَهْلِ بْنِ حُنَيْفٍ , عَنْ عَمِّهِ عُثْمَانَ بْنِ حُنَيْفٍ: أَنَّ رَجُلاً كَانَ يَخْتَلِفُ إِلَى عثمان بن عفان في حاجة , فَكَانَ عُثْمَانُ لاَ ……يَلْتَفِتُ إِلَيْهِ , وَلاَ يَنْظُرُ فِي حَاجَتِهِ , فَلَقِيَ عُثْمَانَ بْنَ حَنِيفٍ فَشَكَا ذَلِكَ إِلَيْهِ , فَقَالَ لَهُ عُثْمَانُ بْنُ حَنِيفٍ
Muta’abe no 1 :
Imam Abdullah bin Jafer Rh. — > Yaqoob bin Sufiyan Rh. — > Ahmed Bin Shabeeb bin Saeed Rh. — > Waalid (Shabeeb bin Saeed Rh.) — > Ruh Ibn ul Qaasim Rh. — > Abi Jafer Al Khatmi Al Madani Rh. — > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rdh. — > Usmaan bin Hunaif Rdh.
(Mashaaik Yaqoob bin Sufiyan : Safa 94-95)
Scan Page :
Sanad ki Raawiyo ki Tehqeeq :
1 – Imam Abdullah bin Jafer Rh. An-Nahwi Rh. Al Mutawaffa 347 Hij. aur Aapko Imam Zehbi Rh. ne Imam, Allama aur Shaykh un Nahu Qaraar diya hai.
Imam Zehbi Rh., Imam Ibn Mundah Rh. aur Imam Qaasim Rh. ne Aapko Siqa Qaraar diya hai.
Balke Imam Hussain bin Usmaan Rh. Farmaate hai ke Aap Rh. SIQA hai SIQA hai.
(Lizaan ul Mizaan : Jild 4 : Safa 449)
(Seer Alamun Nubula : Jild 15 : Safa 531)
(Siqaat Lil Qaasim : Jild 5 : Safa 496)
Scan Page : Lizaan ul Mizaan
Scan Page : Seer Alamun Nubula
Scan Page : Siqaat Lil Qaasim
Lehaaza Aap Siqa Raavi hai.
2 – Imam Yaqoob bin sufiyaan Al Faarsi Rh. Al Mutawaffa 276 Hij. Mashoor Muhaddis aur Siqa, Hafiz hai. (Taqreeb : Raqm no 7817)
Scan Page :
3 – Ahmed bin Shabeeb bin Saeed Rh. Saheeh Bukhari ke raavi hai aur Sadooq hai.(Taqreeb : Raqm no 46)
Scan Page :
Mazeed Aap ko Imam Ibn Hibban Rh., Imam Abu Haatim Rh. aur Imam Ahmed bin A’adi Rh. ne SIQA qaraar diya hai. (Tehzeeb ut Tehzeeb)
Lehaaza Aap bhi SIQA hai.
5 – Imam Shabeeb Bin Saeed Rh. hai.
6 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rh. hai.
7 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rh. hai.
8 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rh. hai.
9 – Usmaan bin Hunaif Rdh. hai.
Yeh Tamaam ka Tazkirah Upar guzar chuka, Lehaaza wahi mulaaheza farmaale.
Algarz Yeh Sanad Saheeh hai.
Isi Tarah Abdullah Bin Wahab Rh. ki Degar Muta’abiyaat Maujood hai.
Muta’abe no 2 :
أَخْبَرَنَا أَبُو سَعَيدٍ عَبْدُ الْمَلِكِ بْنُ أَبَى عُثْمَانَ الزَّاهِدُ رَحِمَهُ اللهُ، أَنْبَأَنَا الْإِمَامُ أَبُو بَكْرٍ مُحَمَّدَ بْنَ عَلِيِّ بْنِ إِسْمَاعِيلَ الشَّاشِيُّ الْقَفَّالُ، قَالَ: أَنْبَأَنَا أَبُو عَرُوبَةَ، حَدَّثَنَا الْعَبَّاسُ بْنُ الْفَرَجِ، حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ شَبِيبٍ، حَدَّثَنَا أَبِي عَنْ رَوْحِ بْنِ الْقَاسِمِ، عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ الْمَدِينِيِّ، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ بْنِ سَهْلِ بْنِ حُنَيْفٍ أَنَّ رَجُلًا كَانَ يَخْتَلِفُ إِلَى عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ فِي حَاجَتِهِ، وَكَانَ عُثْمَانُ لَا يَلْتَفِتُ إِلَيْهِ وَلَا يَنْظُرُ فِي حَاجَتِهِ………
(Dalail e Nabuwwaah : Jild 6 : Safa 167-168)
Scan Page :
Sanad ke Raaviyo ka Ta’aruf :
1 – Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. Mashoor Muhaddis e Waqt hai aur Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 10 : Safa 95)
Scan Page :
2 – Imam Abdul Malik Bin Abi Usmaan Rh. Al Mutawaffa 407 Hij. Mashoor Muhaddis, Musannif aur Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam Liz Zehbi : Jild 9 : Safa 120)
Scan Page :
3 – Imam Muhammed bin Ali Bin Ismail Ash-shaashi Rh. Al Mutawaffa 365 Hij.Hai jo ke Waqt ke Imam, Muhaddis, Faqi aur Saaleh hai.
(Taarikh ul Islaam Liz Zehbi : Jild 8 : Safa 245 to 247)
Scan Page :
4 – Imam Abu Arooba Rh. Al Mutawaffa 318 Hij. Bhi Siqa hai.
Imam Qaasim bin Qutlubughaa Rh., Imam Khaleeli Rh., Imam Ibn Qaasim Rh. aur Imam Abu Ahmed Al Haakim Rh. ne Aap ko Siqa aur Mazboot Qaraar diya hai. (Siqa Li Ibn ul Qaasim : Jild 3 : Safa 440)
Scan Page :
Lehaaza Yeh Raavi bhi Siqa Raavi hai.
5 – Imam Abbas bin Farj Rh. hai Jinki Wafaat 250 Hij. Aur 260 Hij. Ke Darmiyaan me hai, Mashoor Sahaab e Arabi aur SIQA hai.
(Taarekh ul Islaam : Jild 6 : Safa 99)
Scan Page :
6 – Ismaail bin Shabeeb Rh.
Yeh Raavi agarche Majhool hai.
Lekin Ahnaaf ke nazdeek Khair ul Quroon ke Majhool Raavi ki riwayat Maqbool hai.
Chunaanche Imam Abdul Aziz bin Ahmed Al Bukhari Al Hanafi Rh. Farmaate hai ke
وَعِنْدَنَا خَبَرُ الْمَجْهُولِ مِنْ الْقُرُونِ الثَّلَاثَةِ مَقْبُولٌ؛ لِأَنَّ الْعَدَالَةَ كَانَتْ أَصْلًا فِي ذَلِكَ الزَّمَانِ
Hamaare Nazdeek Khair ul Quroon ke Majhool ki Khabar Maqbool hai.Kyunke Us Zamaana me Adaalat Asal hai. (Kashf ul Asraar : Jild 2 : Safa 386)
Lehaaza Yeh Riwayat Hamaare Nazdeek Qaabil e Qubool hai.
Note : aur Yeh riwayat Muta’abiyaat me Pesh kar rahe hai, Jabke Muta’abiyaat me Aisi riwayaat Jisme Kuch Z’of ho bhi agar [Agarche Yeh riwayat me Z’of Nahi hai], Tab bhi Pesh ki jaasakti hai.
7 – Imam Shabeeb Bin Saeed Rh. hai.
8 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rh. hai.
9 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rh. hai.
10 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rh. hai.
11 – Usmaan bin Hunaif Rdh. hai.
Yeh Baaqi 5 Raaviyo ke Halaat upar Guzar chuke.
Is riwayat me Abdullah bin Wahab Rh. ki Muta’abiyat Ismail bin Shaheeb Rh. Kar rahe hai.
Muta’abe no 3 :
وَرَوَاهُ أَيْضًا هِشَامٌ الدَّسْتُوَائِيُّ عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ بْنِ سهل، عَنْ عَمِّهِ وَهُوَ عُثْمَانُ بن حنيف.
Sanad :
Imam Behaiqi Rh. — > Abu Ali ul Hasan bin Ahmed Rh. — > Abdullah bin Jafer Durustawai Rh. — > Yaqoob bin Sufiyan Rh. — > Ahmed Bin Shabeeb bin Saeed Rh. — > Waalid (Shabeeb bin Saeed Rh.) — > Hishaam Dastuwai Rh. — > Abi Jafer Al Khatmi Al Madani Rh. — > Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rdh. — > Usmaan bin Hunaif Rdh.
(Dalaail e Nabuwwaah : Jild 6 : Safa 168)
Scan Page :
Sanad ke Raaviyo ki Tehqeeq :
1 – Imam Behaiqi Rh. Al Mutawaffa 458 Hij. Mashoor Muhaddis e Waqt hai aur Siqa hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 10 : Safa 95)
2 – Abu Ali ul Hasan bin Ahmed Rh. Al Mutawaffa 425 Hij. Hai Jo ke Siqa aur Sadooq hai.
(Taarikh ul Islaam : Jild 9 : Safa 407)
Scan Page :
3 – Abdullah bin Jafer Durustawai Rh. hai.
4 – Yaqoob bin Sufiyan Rh. hai.
5 – Ahmed Bin Shabeeb bin Saeed Rh. hai.
6 – Shabeeb bin Saeed Rh. hai.
7 – Hishaam Dastuwai Rh. Al Mutawaffa 154 Hij. Saheeh Bukhari aur Saheeh Muslim ke Raavi hai aur Siqa wa Mazboot hai.
(Taqreeb : Raqm no 7299)
Scan Page :
8 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rh. hai.
9 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rh. hai.
10 – Usmaan bin Hunaif Rdh. hai.
Baaqi Yeh Tamaam Raaviyo ka Ta’aruf Upar Guzar Chuka, Lehaaza Mulaaheza Farmaa Le.
Muta’abe no 4 :
حَدَّثَنَاهُ أَبُو مُحَمَّدِ بْنُ حَيَّانَ، قَالَ: ثنا أَبُو الْعَبَّاسِ الْهَرَوِيُّ، ثنا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْمَلِكِ، ثنا عَوْنُ بْنُ عُمَارَةَ، ثنا رَوْحُ بْنُ الْقَاسِمِ، أَنَّهُ حَدَّثَهُمْ عَنْ أَبِي جَعْفَرٍ، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ بْنِ سَهْلٍ، عَنْ عَمِّهِ عُثْمَانَ بْنِ حَنِيفٍ الْحَدِيثَ، وَلَمْ يُفْرِدْهُ مِنْ حَدِيثِ عُمَارَةَ، وَهُوَ ابْنِ أَبِي أُمَامَةَ………
(Ma’arifatus Sahaba Li Ibn Abi Nuaim : Jild 4 : Safa 1960)
Scan Page :
1 – Imam Abu Nu-aim Rh. Al Mutawaffa 430 Hij. Mashoor Muhaddis, Hafiz aur Siqa Logo me se hai.
(Taarikhul Islaam : Jild 9 : Safa 468)
2 – Abu Muhammed bin Hayyaan Rh. Al Mutawaffa 369 Hij. hai Jinka Pura Naam Abdullah Muhammed bin Jafer bin Hayyaan Rh. hai aur wo Ulama e Huffaaz wa Hadees hai. (Al’alam : Jild 4 : Safa 120)
3 – Abul Abbas Al Harawi Rh. hai Jinka Pura Abul Abbas Muhammed bin Ahmed bin Sulaimaan Al Harawi Rh. hai.
Aur Aap Faqi, Muhaddis e Kabeer aur Sahaab e Tasnifaat hai.
(Tabqaat ul Muhaddiseen Ba-Asbahaan : Jild 3 : Safa 429)
(Taarikh e Asbahaan : Jild 2 : Safa 189)
Scan Page : Tabqaat ul Muhaddiseen Ba-Asbahaan
4 – Muhammed bin Abdul Malik Al Waasti Rh. Al Mutawaffa 266 Hij. hai aur Sadooq hai. (Taqreeb : Raqm no 6101)
Scan Page :
Isi Tarah Imam Ibn Qaasim Rh., Imam Ibn hibban Rh., Imam Darqutni Rh. aur Imam Muhammed bin Abdullah Rh. ne Inko SIQA Qaraar diya hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb)
Lehaaza Yeh raavi bhi Siqa wa Sadooq hai.
5 – Aaun bin Ammaar Rh. Al Mutawaffa 212 Hij. Hai.Unke bare me
Imam Ibn A’adi Rh. Farmaate hai ke Unki Hadeese Likhi Jaayegi.
Imam Ibn Hibban Farmaate hai ke Unse Aitejaaj Baatil hai Magar Un Riwayat me Jinme Siqa Unki Muwaafiqat (Taa-id) Kare.
(Taarikh ul Islaam Liz Zehbi : Jild 5 : Safa 416)
(Al Majruheen Li Ibn Hibban : Jild 2 : Safa 203)
Scan Page : Al Majruheen Li Ibn Hibban
Scan Page : Taarikh ul Islaam Liz Zehbi
Note : Is Riwayat ke Taa-id me 3 Mukhtalif Sanadein Humne Upar Zikr kardi hai Jisme Siqa wa Sadooq Raavi Shabeeb bin Saeed Rh. ne Is raavi ki Muta’abiyaat ki hai, Lehaaza Is Raavi par Is riwayat me Aiteraaz karna Baatil wa Mardood hai.
6 – Imam Ruh Ibn ul Qaasim Rh. hai.
7 – Imam Abu Jafer Al Qatami Al Madani Rh. hai.
8 – Abi Umaama Bin Sahel bin Hunaif Rh. hai.
9 – Usmaan bin Hunaif Rdh. hai.
Baaqi 4 Raaviyo ke Halaat upar Guzar chuke.
Wazaahat :
Yeh Alag Alag Sanade Humne Aapke Saamne Pesh ki hai, Jisme Mukhtalif Raavi Qususan Khud Shabeeb bin Saeed Rh. ke Bete Ahmed Bin Shabeeb Rh. Abdullah bin Wahab Rh. ki Muta’abiyat kar rahe hai.
Aur Isi Tarah Ma’arifatus Sahaba Li Ibn Abi Nuaim me (Jiski Puri Sanad hi Alag hai Usme)bhi Abdullah bin Wahab Rh. ki Muta’abiyat Maujood hai.
Lehaaza Yeh Aiteraaz Baatil wa Mardood hai.
Al – Jawaab no 2 :
Ghair Muqallideen ke Mashoor Aalim Hafiz Sanaullah Ziyaa Sahaab Ek Raavi Aasim bin Kulaib Rh. ke bare me Likhte hai ke
Imam Ali bin Madeeni Rh. ki Agarche Raaye hai ke Aasim bin Kulaib Rh. Jab kisi riwayat ke bayaan karne me munfarid honge toh wo riwayat qaabil e hujjat na hogi.
Magar Degar “Maahireen e Fann Aasim Bin Kulaib Ko Beghair Kisi Shart Ke Hujjat Tasleem Karte Hai”.
(Namaz me Haat Kaha Bandhe : Safa 21)
Scan Page :
Lehaaza Isi Usool ki Rooshni me Hamaara bhi Yahi Kehna hai ke
Agarche Imam Ibn A’adi Rh. ne kaha ke
Shabeeb bin Saeed se Jab Abdullah bin Wahab Rh.Riwayat kare, toh wo Hadees Munkar hai.
Lekin Iske Khilaaf
Imam Darqutni Rh.
Imam Haakim Rh.
Imam Ali bin Madeeni Rh.
Imam Zohli Rh.
Imam Ibn Khalfoon Rh.
Imam Zehbi Rh.
Imam Ibn hibban Rh. aur
Imam Tabraani Rh., Insab Muhaddiseen ne Shabeeb bin Saeed Rh. ko Beghair Kisi Shart ke Mutlaqan SIQA Qaraar diya hai.
Aur Inke Mazeed Tauseeq Darj e zail Link par Maujood hai.
Algarz Khud Ghair muqallideen ke usoolo ke rooshni me yeh Aiteraaz Baatil hai.
Al – Jawaab no 3 :
Maulana Irshaad ul Haq Asri Sahaab Likhte hai ke
Yaani Imam Ahmed Rh., Imam Nasaai Rh. aur Bahut se Aimma e Niqaad ne MUNKAR ka Itlaaq Mutlaqan Tafarrud par kiya hai. (Tauzihul Kalaam : Jild 1 : Safa 200)
Scan Page :
Aur Yaad Rahe Shabeeb bin Saeed Rh. par Jarah Karne waale Imam, Imam Ibn A’adi Rh. bhi Bahut Bade Aimma e Niqaad aur Jarah Wa Ta’adeel ke Maahir wa Imaam hai.
Balke Khud Maulana Irshaad ul Haq Asri Sahaab ne Tasleem kiya hai ke Munkar ka Alfaaz Siqa Raavi ka Tafarrud [Akeele] hone par bhi Kaha Jaata hai. (Tauzihul Kalaam : Jild 1 : Safa 170)
Scan Page :
Mazeed Ghair Muqallideen Yahi Muhaddis e Asar Imam Zehbi Rh. ki Ibaarat se Istedlaal Karte huwe Likhte hai ke
Munkar Riwayate Bayaan karne waale, Har Shaks Zaeef nahi hota. (Tauzihul Kalaam : Jild 1 : safa 303)
Scan Page :
Lehaaza Ghair Muqallideen ke Usool ki Rooshni me Munkar ka Lafz Siqa Raavi ke Akeele hone par Istemaal hota hai, Toh Is Usool ki Rooshni me
Shabeeb bin Saeed Rh. ke Akeele hone par hi Munkar ka Lafz Bola gaya aur Iske Wajeh yeh nahi ke Shabeeb Rh. Zaeef hai, Balke Wajeh yeh hai ke Shabeeb Rh. Is Riwayat Karne me Akeele hai.
Aur Khud Ulama e Ghair muqallideen ne Iqraar kiya hai ke Munkar Riwayate Naql Karne waala Har Shaks Zaeef Nahi hota.
Toh Shabeeb bin Saeed Rh. ko Munkar riwayate Naql Karne ki Wajeh se Zaeef Qaraar dena Kaha tak Durust Saheeh hoga ? Saheeh Nahi, Bilkul ghalat hai, Jabke Unke upar Kisi Muhaddis Jarah Mufassar nahi hai.
Lehaaza Munkar Riwayate Naql karne ki wajeh se, Yeh riwayat ko Zaeef ya Qaabil e Radd Samjhna Baatil aur Mardood hai.
Aiteraaz no 2 :
Baaz Muta’asib Qism ke Ghair muqallideen ne yeh bhi aiteraaz kiya hai ke
Shaheeb bin saeed rh. agarche bukhari ke raavi hai, lekin inki tamaam tar riwayaat jo bukhari me hai, usme unke shaagird Ahmed bin Shaheeb Rh. hai aur Unke Ustaad Yunus bin Yazeed Rh. hai.
Imam Bukhari Rh. ke Is Tarz se Unhone yeh Usool Gada ke Shaheeb bin Saeed Rh. ki wo riwayaat hi Qaabil e Qubool hai.
Jisme Unke Ustaad Yunus ho aur Unke Shaagird Ahmed bin Shabeeb Rh. ho.
Al – Jawaab :
Yeh Aiteraaz Usool e Hadees ki Rooshni me Bilkul Baatil wa Mardood hai.
Kyunke Muhaddiseen ki Ek Jamaat, Khaas Taur se Yahi Tawassul Waali riwayat ko Ishaaratan aur Saharatan Saheeh Qaraar diya hai.Jinke Naam Darj e zail hai :
1 – Imam Tabraani Rh.
2 – Imam Behaiqi Rh.
3 – Imam Munziri Rh.
4 – Imam Taqiuddin Subki Rh.
5 – Imam Nuruddin Ali Ibn Ahmed Al Samhudi Rh.
6 – Imam Ibn Hajar Haismi Rh.
7 – Imam Al Muhaddis Shaykh Muhammed Aabid Sindhi
8 – Imam Suyuti Rh.
Jaisa ke Iski Tafseel, Hawaale Upar Zikr Kiye Jaachuke.
Mazeed Jaha Tak Imam Bukhari rh. ka tarz e amal hai ke
Inhone Shabeeb bin Saeed Rh. ki sirf wo riwayaat hi Apni Saheeh me naql ki hai Jisme unka ustaad yunus bin yazeed rh. hai aur unke shaagird unke bete ahmed bin shabeeb rh. hai.
Isse Yeh Qatan Qatan Laazim NAHI aata ke Imam Bukhari Rh. ke Nazdeek Shabeeb bin Saeed Rh. ki Sirf Yahi Sanad (Jisme Unka Ustaad Yunus Rh. ho aur Unke Shaagird Ahmed Bin Shabeeb Rh. ho) Saheeh hai, Baaqi Nahi.
Balke Muhaddiseen ne Shabeeb Rh. ki wo riwayaat se bhi Istedlaal Kiya, Saheeh Qaraar diya hai Jinme Unke Ustaad Yunus bin Yazeed Rh. Nahi hai. Chunaanche,
1 – Imam Ibn Hibban Rh. Al Mutawaffa 354 Hij.
2 – Imam Ibn Sunni Rh. Al Mutawaffa 364 Hij.
3 – Imam Ziyauddin Maqdasi Rh. Al Mutawaffa 643 Hij.
4 – Imam Ibn Mulaqqan Rh. Al Mutawaffa 804 Hij. Wagaira ne Unki Hadees ko Ba-aitejaaj Saheeh Qaraar diya hai.
(Saheeh Ibn Hibban : Jild 2 : Safa 170, Hadees no 428)
(Amal ul Yaum Wal Laila Li Ibn Sunni : Jild 1 : Safa 581)
(Al Mukhtaara : Jild 13 : Safa 65)
(Badr ul Muneer : Jild 1 : Safa 543)
5 – Imam Haakim Rh. Al Mutawaffa 405 Hij. Ne Unse Marwi Hadees ko Saaf Taur Kaha ke SAHEEH ALA SHART E BUKHARI.
(Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 707)
6 – Imam Tabraani Rh. Al Mutawaffa 360 Hij. ne Unki Hadees ko Saheeh Qaraar diya hai.
(Mua-jjamus Sagheer Lit Tabraani : Jild 1 : Safa 183-184)
7 – Imam Ibn Abi Haatim Rh. Al Mutawaffa 327 Hij. Ne Unse Marwi Hadees ko Durust Qaraar diya hai.
(Elal e Ibn Abi Haatim : Jild 5 : safa 387)
8 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. ne Unki Marwi hadees ke bare kaha ke Iske Sanad ke Raavi Siqa hai. (Talkhees ul Habeer : Jild 1 : safa 77)
9 – Ghair Muqallideen ke Muhaddis Imam Shaukaani Rh. ne bhi Unki Hadees ko Saheeh Tasleem Kiya hai. (Nail ul Autaar : Jild 1 : Safa 88)
10 – Ghair Muqallideen ke Imam Nasiruddin Albaani ne Unki Riwayat ko Saaf Alfaaz me likha hai ke Saheeh hai. (Silailatul Ahadees us Sahiya : Hadees no 3223)
Ghaur Farmaaye ! Muhaddiseen ki Ek Badi Jamaat ne Shabeeb bin Saeed Rh. se Marwi wo Riwaayat ko Saheeh, durust aur Hujjat wa Istedlaal Qaayam kiya hai JinmeUNKE USTAAD YUNUS BIN YAZEED RH. NAHI HAI.
Iske Bil-Muqaabil, Ghair Muqallideen se Guzaarish hai ke Ek Muhaddis ka Hawaala Pesh kare ke Jinhone Saaf Taur se Waazeh Alfaaz ke saat Kaha ho ke Shabeeb bin Saeed Rh. ki wo hi Riwayaat Sahi aur Durust hai Jo ke Sirf Yunus bin Yazeed Rh. se Marwi ho.
Sirf Hawaa me Baat karne se Kaam Nahi Chalega, Yeh Tehqeeq ka Maidaan hai.
Algarz Ghair Muqallideen ka Aiteraaz Baatil wa Mardood hai aur Yeh Hadees Bilkul Saheeh aur Qaabil e Istedlaal hai Jisse Yeh Baat Subaah ki Rooshni ki Taraf Nazar Aati hai ke
Huzur SAW ki Wafaat ke baad Aap ka Waseela wa Tawassul Jayez aur Saabit hai.
Wal-alhamdulillah.
Allah tala Haq wa Sach Samjhne ki Taufeeq Aata Farmaaye…..Ameen.
No comments:
Post a Comment