Hum Rafe-yadain Kyun Nahi Karte Part 4 (Wayl Bin Hujr Rdh. ki Hadees ka Jawaab).

Aiteraaz : Wayl Bin Hujr Rdh Se Marwi Hai Ke Nabi E Karim SAW Namaz Ke Shuru Me , Ruku Me Jaane Se Pehle Aur Ruku Ke Baad Rafe-Yadain Karte. (Saheeh Muslim)

Al-Jawaab 1 : Ahle Hadees Ka Is Hadees Se Istedlaal Durust Nahi Hai Kyunk Eiski Sanad Me Muhammed Bin Juhaada Hai “ Ghaali Qism Ka Shia Tha” Chunaanche Alama Zehbi Likhte Hai

كان يغلو في التشيع

(Mizaanul Aitedaal : Jild 3 :Safa 298)
Scan Page :
menr6_Page89
Aur Shia Hazraat Bhi Rafe-Yadain Ke Qaayil Hai Aur Shia Ya Biddati Raavi Ki Koi Aisi Bayaan Karda Riwayat Jo Uske Mazhab Ki Taa-Id Me Ho Toh Wo Qaabile Qubool Nahi Hoti Lehaaza Yeh Riwayat Qubool Nahi Ki Jaayegi.
Al-Jawaab No 2 :
Muhammed Bin Jihaada Ke Shia Hone Ki Dusri Daleel Yeh Bhi Hai Ke Shia Hazraat Sajdo Me Bhi Rafe-Yadain Ke Qaayil Hai Isliye Yahi Hadees Muhammed Bin Jihaada Ke Tareeq Se ( Abu Dawud : Jild 1 : 108 ) Me Bhi Aur Us Me Sajdo Me Rafe-Yadain Ka Bhi Zikr Hai.
Scan Page :
2
Al-Jawaab No 3:
Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Ki Hadees Ko Imam Ahmed Bin Hanbal Rh. Ne Bhi Qubool Nahi Kiya Chunaanche Hafiz Ibn Abdul Bar Rh. Likhte Hai :

قِيلَ لِأَبِي عَبْدِ اللَّهِ نَذْهَبُ لِرَفْعِ الْيَدَيْنِ فِي الْقِيَامِ مِنَ اثْنَتَيْنِ أَيْضًا قَالَ لَا أَنَا أَذْهَبُ إِلَى حَدِيثِ سَالِمٍ عَنِ أبِيهِ وَلَا أَذْهَبُ إِلَى حَدِيثِ وَائِلِ بْنِ حُجْرٍ لِأَنَّهُ مُخْتَلَفٌ فِي أَلْفَاظِهِ حَدِيثُ عَاصِمِ بْنِ كُلَيْبٍ خِلَافُ حَدِيثِ عمرو بن مرة

Ke Imam Ahmed Se Pucha Gaya Ke Dusri Rakaat Se Utte Waqt Bhi Rafe-Yadain Bhi Kare Toh Farmaaya Na Karo Mai (Imam Ahmed) Saalim Bin Abdullah Bin Omer Ki Hadees Par Amal Karta Hu Wayl Bin Hujr Ki Riwayat Par Amal Nahi Karta Kyunke Uske Alfaaz Muqtalif Hai.Aasim Bin Kulaib Ki Hadees Ke Alfaaz Umaro Bin Marwa Ki Hadees Ke Khilaaf Hai. (Tamheed : Jild 9 : 224)
Scan Page :
tmheed09_Page224
Imam Ahmed Rh. Ke Is Qaul Se Aur 2 Baato Ka Bata Chaala Ke Hadees Wayl Bin Hujr Ke Alfaaz Mutalif Hai Yaani Isme Isteraab Hai Jiski Tafseel Abhi Aayegi Insha ALLAH Aur Dusri Baat Yeh Hai Ke Imam Ahmed Bin Hanbal Rh. Teesri Rakaat Ke Shuru Me Rafe-Yadain Ke Qaayil Nahi The.
Al-Jawaab No 4:
Ahle Hadees Ki Is Pesh Karda Daleel Hadees E Wayl Bin Hujr Rdh. Hazrat Ibrahim Naqii Rh. Tabii Ke Saamne Pesh Ki Gayi Toh Hazrat Ibrahim Naqi Rh. Ne Farmaaya :
Kya Hazrat Wayl Ne Nabi E Karim SAW Ki Namaz Ko Yaad Rakha Hai Aur Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. Ne Bhool Gaye Hai Aur Yaad Na Rak Sake Halaake Rafe-Yadain Sirf Ibtedaa E Namaz Me Hai.
(Muwatta Imam Muhammed Mutarjim : 90-91 )
Scan Page :
Muwatta Muhammad_Page90
(Musnad e Imam e Azam Abu hanifa Rh. Muntarjim : 191-192)
Scan Page :
MusnadImam-ul-AzamAbuHanifahraUrduTranslationByShaykhMuhammadZafarIqbal_Page193
(Musnad e Abu Ya’ala Bahawala At-Ta’aliqul Muhajjad : Safa 93 )
(Sharah Maani al Asaar – Tahawi Mutarjim : Jild 1 : Safa 460 , Hadees 1260)
Scan Page :
TAHAVI-SHAREEF-JILD-1_Page459
(Sharah Maani al Asaar – Tahawi Mutarjim : Jild 1 : Safa 460 , Hadees 1261)
Scan Page :
TAHAVI-SHAREEF-JILD-1_Page459 - Copy
Aur Ek Riwayat Me Hazrat Ibrahim Naqii Rh. Farmaate Hai Ke
“Kya Hazrat Wayl Rdh. Aap SAW Ki Namaz Ko Zyaada Jaanne Waale Hai Ya Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. Halaake Ibn Masood Rdh. Sirf Ibtedaa Me Rafe-Yadain Karte The.
Isse Maloom Huwa Ke Hazrat Ibrahim Naqii Rh. Ne Bhi Hadees E Wayl Ko Qubool Na Kiya Aur Hadees E Ibn Masood Rdh. Ko Tarji Di.
(Tabraani : Jild 22 : Safa 12 )
Al-Jawaab No 5: Wayl Bin Hujr ki Hadees me Isteraab Maujood hai.
1. Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Se Takbeer E Tehrima , Ruku Se Pehle Aur Ruku Ke Baad Rafe-Yadain Karna Manqool Hai.) Saheeh Muslim : Jild 1 : Safa 173)
Scan Page :
1
2. Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Se Takbeer E Tehrima , Ruku Se Pehle Aur Ruku Ke Baad Aur Sajdo Se Utte Waqt Rafe-Yadain Karna Manqool Hai. (Abu Dawud)
Scan Page :
2
3. Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Se Har Takbeer Ke Saat Rafe-Yadain Karna Manqool Hai. (Abu Dawud : 105 , Ba-Hawaala Isbaat E Rafe-Yadain : 114)
Scan Page :
3
4. Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Se Sirf Takbeer E Tehrima Waqt Rafe-Yadain Karna Manqool Hai. (Abu Dawud : Jild 1 : Safa 105)
Scan Page :
4
Isteraab Riwayaat Zaeef Hoti Hai Balke Khud Ghair Muqallideen Ulama Ne Bhi Maana.
Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri aur Maulana Nawab Siddiq Hasan Khan Sahaab Rh. ne Is Baat ko Tasleem Kiya hai.
(Tehqeequl Kalaam : Jild 2 : Safa 7)
(Daleel ul Taalib : Safa 616 , 882 )
Al-Jawaab No 6:
Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Ki Yeh Bayaan Karda Hadees Us Waqt Ki Hai Jab Wayl Bin Hujr Pehli Martaaba 9 Hijri Me Tashreef Laaye The Lekin Jab Dobaara Sardi Ke Mausam Me Tashreef Laaye Toh Us Waqt Sirf Takbeer E Tehrima Ke Waqt Rafe-Yadain Ka Zikr Farmaaya Aur Kisi Jagah Ki Rafe-Yadain Ka Zikr Nahi Farmaaya Chunaanche (Abu Dawud : Jild 1 : Safa 105 ) Me Hazrat Wayl Bin Hujr Farmaate Hai Ke
“Phir Mai Dobaara Aaya Toh Seene Tak Haat Utaate The Shuru Namaz Me Aur Unpar Bade Coat Aur Aauni Chaadar Thi”.
Scan Page :
4
Is Waazeh Aur Saheeh Hadees se Maloom Huwa Ke Ruku Waala Rafe-Yadain 10 Hijri Me Mansooq Hogaya Lehaaza Hazrat Wayl Bin Hujr Rdh. Ki Abu Dawud Waali Yeh Hadees Naasiq Hogayi Aur Jo Muslim Shareef Se Ahle Hadees Hazraat Ne Pesh Ki Hai Wo Mansooq Hogayi.
Ek Guzaarish :
Ghair Muqallideen Hazraat se Guzarish hai ke Ek Hadees Pesh kare Jisme :
  1.     4 Jagah Rafe-yadain Karne ka Zikr ho.
  2.     Pehli Rakaat ke Baad ,Dusri se Pehle, Teesri ke Baad , Chouthi Rakaat se Pehle aur Har  Rakaat me Sajdo me Jaate aur Uthne ki Nafi Maujood Ho.
  3.     Marfu Sanad ke Saat ho.
  4.     Isteraabaat se Bari ho.
  5.     Saheeh Hadees ho.

No comments:

Post a Comment