Thursday 25 August 2016

12 Rabi Ul Awwal Huzoor Ki Yaum E Wiladat Hai

Date of Birth of Rasool Allah صلى الله عليه وسلم

12 Rabi Ul Awwal Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Yaum E Wiladat Hai
Kya 12 Rabi Ul Awwal Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Yaum E Wiladat Hai 


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

Mukhalifeen Dushman E Deen Jab Puri Tarah Se Meelad Un Nabi صلى الله عليه وسلم kay haraam O Nazaiz hona Saabit naa kar sake to hamesha ki tarah yaha waha ki makkari chal kapat karne lage ab ye 02 ahem fitne awaam me sawal ki shakl me failaye gaye awwal to ye kahte hai 12 rabi Ul Awwal Huzoor صلى الله عليه وسلم ki Tareekh E Wiladat Nahi Hai 
Dusra Huzoor صلى الله عليه وسلم ka Yaum E Wisaal bhi wohi din huwa jab wiladat huwi yaani 12 ko ek jagah kahte hai us din wiladat nahi huwi phir kehte hai ussi din huwe yaani ye khud confuse hai is masle me.
Lekin hamara bhola bhala Sunni inki baaton me aajata hai ALLAH hum Sabke Imaan Ki Hifazat farmaye. Aamin
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Yaum E Wiladat 12 Rabi Ul Awwal Peer K Din Huwi Hadees 01 :  
Imam Abu Baqr Ibn Abi Shayba Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 235 Hizri) Apni Musannaf Me Sahi Sanad Se Hadees Likhte Hai Jisko Wahabiyo kay Imam Hafiz Ibn Kathir Ne Apni Kutoob E Sirat Me Nakl Kiya
“Hazrat Affan Ne Hazrat Saeed ibn Meena Se Rivayat Kiya Wo Farmate Hai Maine Hazrat Abdullah Ibn Abbas Aur Hazrat Jabir Ibn Abdullah Radi Allaho Taala Anhuma Azmayeen Se Suna Wo Dono Farmate The Huzoor Rehmat E Aalam Ki Wiladat Peer K Din 12 Rabi Ul Awwal ko Huwi”
Reference :
(Hafiz Ibn Kathir Al Sira Al Nabawiyya Vol : 01, Pg : 142)
(Al Badaya Wal Nihaya Vol : 02, Pg : 160)

Sanad Pe Ek Nazar :
Hazrat Abu Baqr Ibn Abi Shayba → Hazrat Affan → Hazrat Saeed Ibn Meena → Hazrat Abbas Aur Hazrat Jabir Ibn Abdullah
01) Imam Abu Baqr Ibn Abi Shayba Rahmatullah Alaih Ye Ustaad Hai Imam Bukhari Aur Imam Muslim Kay.
Qutoob E Siha Me Inse Kaafi Hadees Muhadiseen Ne Nakl Ki Hai Jinki tadaad Kuch Is tarah Hai.
Sahi Bukhari : 22, Sahi Muslim : 1528, Imam Nasai : 02, Imam Abu Dawood : 60 Aur Imam Ibn Majah : 1152 Hadees Inse Rivayat Ki.
“Babe Bade Aimma E Muhadiseen Ne Abu Baqr Ibn Abi Shayba Ko Siqqa Kaha”
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Tahzeeb Ut Tahzeeb Vol : 06, Pg : 03)
Lihaja Inki Siqqahat Par Koi Sawal Hi Nahi Hai.
02) Hazrat Affan  Jo Bade Imam Aur Jabardast Hafizul Hadees They.
“Imam Aajili Ne Inko Siqqa Aur Sunnat Par Amal Karne Waala Bayan Kiya”
(Khulasa Tul Tahzeeb Pg : 268)

“Imam Yahya Ibn Moeen Ne Inhe Bahot Bada Aalim Aur Hadeeso Ka Jaankar Likha Farmaya”
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Tahzeeb Ut Tahzeeb Vol : 07, Pg : 231) Imam Ibn Saeed Ne Farmaya Woh Siqqa Hai Aur Hadees Me Huzzat Hai. Imam Ibn Kharash ne Inhe Siqqa Min Khayr Il Muslimeen Farmaya. Imam Ibn Qaane Aur Imam Ibn Hibban Ne Ne Inhe Siqqa Farmaya (Hafiz Ibn Hajar Asqalani Tahzeeb Ut Tahzeeb Vol : 07, Pg : 234)

Imam Zahbi Rahmatullah Alaih Farmate Hai Hazrat Affan Shaykul Islam Hai Aur Bahot Se Muhadiseen k Ustad Rahe, Imam Ibn Moeen Ne Inhe 05 Bade Muhadeesin Me Shamil Kiya, Imam ibn Haatim Farmate Hai Ye Siqqa Hai, Narm Dil The (Humble) Aur Bahot Allah Ka Khauf rakhne waale the”
(Al Meezan Ul Aitedaal Vol : 03, Pg : 82)
Ye bhi Siqaa Aur bade Muhadis huwe.
03) Hazrat Saeed ibn Meena Rahmatullah Alaih
Imam Abu Hatim, Imam Ibn Moeen, Imam Nasai Aur Imam ibn Hibban Ne Inhe Siqqa Farmaya
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Tahzeeb Ut Tahzeeb Vol : 04, Pg : 91)
(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Taqrib Al Tahzeeb Pg : 126)
(Khulasa Tul Tahzeeb Pg : 143) Aur Baaki 02 Sahabi Hai to ispe to koi gunzaish Hi Nahi Hai
Ibn Kathir Aage Likhte Hai Yehi Kaul Jamhoor Muhadiseen k Nazdeek Hai (Hafiz Ibn Kathir Al Sira Al Nabawiyya Vol : 01, Pg : 142)
Hadees 02  :
“Hazrat Saeed Ibn Zubair Ne Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Kiya K Unhone Farmaya Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ki Wiladat ‘Aamul Fil’ K saal Peer K Din 12 Rabi ul Awwal Ko Huwi”  (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 125)
Hadees 03 :
Imam Bayhaqi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 458 Hizri) Sahi Sanad Se Likhte Hai
“Rasool Allah 
صلى الله عليه وسلم Peer k Din paida Huwe They Aamn Ul Fil (Jis Saal Abrahah Badshah Ne Haathiyon Ke Saath Kaa’be Par Hamla Kiya Tha) Jab Maah E Rabi Ul Awwal kee barah 12 Raatein Guzar Chuki Thi”
(Dalail Un Nabuwah Vol : 01, Pg : 74) 
Allah Taala Jaane ye Kaise Ahlul Hadees Hai Jab Koi Dalail Do to kahnege hume tarikh Nahi Hadees dikhao par jab baat hadees ki aati hai to fauran yaha waha bhagte hai Ye Ahle Hadees Nahi Hai ye ahle Nafs Hai apne nafs ki pairvi karne waale.

Muhadiseen, Fukaha, Ulema Kay Aqwaal
Imam Ibn Ishaq (Al Mutwaffa 150 Hizri) Tareekh E Islam Par Sabse Pehli Kitab Likhi Jo Seerat E Ibn Ishaq k naam se jaani jaati hai “Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Wiladat 12 Rabi Awwal peer K Din Aamul Feel Waale Saal Huwi, Hazrat Qays bin Makramah Farmate Hai Mai Aur Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Aamul Feel k Saal Paida Huwe” (
Seerat Rasool Allah Lil ibn Ishaq Pg : 69, Print : Mas Printer Pakistan Karachi, Oxford University Press)
Abu Muhammad ibn Abdul Malik ibn Hissham (Al Mutwaffa 212 Hizri) Me Yehi Kaul Likha
(Seerat Un Nabwiyah Lil Hissham Pg : 21, Print : Al Falah Foundation Year 2000)

Imam Ibn Jareer Tabri Likhte Hai
“Rasool Allah صلى الله عليه وسلم Ki Wiladat 12 Rabi Ul Awwal Peer k Din Aam Ul Feel K Saal Huwi”
(Tareekh Tabri Vol :02, Pg : 125)
  Muhadees Imam Ibn Jauzi Rahmatullah Alaih  
(Sublool Huda Wal Rishad Vol : 01, Pg : 334)
(Seeratun Nabwiyaah Ma Roz Ul Unf Vol : 03, Pg : 93)
Muhadees Imam Ibn Jauzi Rahmatullah Alaih   (Bayan E Milad Un Nabvi Pg : 31) (Moolid Ul Uroos Pg : 14)

Imam Ibn Khaldoom Rahmatullah Alaih
(Tareekh Ibn Khaldoom Vol : 02, Pg : 710)

Imam Ul Hafeez Abul Fateh Al Shafai Andulusi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 734 Hizri)
(Uyoonul Asr Vol : 01, Pg : 26)

Imam Ibn Hajar Makki Haythami Rahmatullah Alaih
(An Naematul Kubra Alal Alamin Pg : 20)

Imam Burhanudin Halbi Rahmatullah Alaih
(Seerat E Halbiya Vol : 01, Pg : 97)

Imam ibn Hibban Rahmatullah Alaih
(Seeratun Nabwiyah Pg : 04 & Akhbarul Khulafa Pg : 33)

Imam Muhammad Ghazali Rahmatullah Alaih
(Fiqh Us Seerat Pg : 60)

Imam Bayhaqi Rahmatullah Alaih
(Dalailun Nabuwah Vol : 01, Pg : 74)

Imam Sakhawi Rahmatullah Alaih
(Tohfatul Lutfiya Vol : 01, Pg : 07) Maulana Abdul Rahman Jaami Rahmatullah Alaih (Marijun Nabuwah Vol : 01, Pg : 37)

Imam Abul Hasan Ali Ibn Muhammad Mawardi Rahmatullah Alaih
(Elaam Un Nabuwat Vol : 01, Pg : 270)

Mullah Moeen Waeek Kashfi Rahmatullah Alaih
(Seerat E Halbiya Vol : 01, Pg : 97)

Muhadees Sayyad Jamal Hussaini Rahmatullah Alaih
(Risalat Maab Translation Roza Tul Ahbaab by Mufti Azeezur Rahman Pg : 09)

Imam Zahbi Rahmatullah Alaih
(Seeratun Nabwiya Vol : 01, pg : 07)

Mullah Ali Qari Rahmatullah Alaih
(Al Moor Wal Ravi Pg : 08)

Imam Qastallani Rahmatullah Alaih
(Muwahibul Ladunya Vol : 01, Pg : 142)

Allama Hussain Bin Ahmad Dayyar Bakri
(Tareekhul Khamees Vol : 01, pg : 196)
Imam Sahabudin Khafazi Rahmatullah Alaih
(Naseem Ur Riyaz Shara E Shifa Vol : 03, Pg : 275)

Shaykh Abdul Haq Muhadees Dahelvi Rahmatullah Alaih
(Maa Saabat Bis Sunnah Pg : 149 & Madarajin Nabuwat Vol :02, Pg :23)

Allama Yusuf bin Ismail Nabhani Rahmatullah Alaih
(Hujjatul Alal Alaameen Pg : 172) Imam Abdul Bakar Zurqani Rahmatullah Alaih “Farmate Hai Ibn Kathir Ne Kaha k Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Wiladat 12 Rabi Ul Awwal hai, Imam Ibn Jauzi Aur Ibn Jajjar Farmate Hai Ispe Izma Hai” (Shara E Muwahibul Ladunya Lil Zurqani Vol : 01, Pg : 132)

Allama Mueen Al Wa’eez Al Harwi Al Farahi Rahmatullah Alaih Farmate Hai
“Aap Hazrat صلى الله عليه وسلم Kee Alaamaat E Nubuwwat Me Se Ek Yeh Tha Aur Mash’hoor Yeh Hai Ki Rabi’ul-Awwal Ke Mahine Aap Hazrat صلى الله عليه وسلمAalam E Wujood Me Aaye Aur Aksar Ka Khayaal Yeh Hai Ki Rabi’ul-Awwal Kee Baarah Tarikh Thi. Aur Jamhoor Muhadiseen Aur Arbab-E-Sirat Wa Taarikh Ne Shab E Do Shanba Mu’ayyin Kee Hai.” (Ma’arij Un Nubuwwah, Vol : 02, Pg : 84)
Humne Ummat E Muslima Ka Ispe Izma Saabit Kiya Par Ab Kuch Wahabi Khwarij ne Kuch Saal Kabl se naya fitna laaya aur kaha Maulana Ahmad Raza Khan Barelvi Ne Huzoor Ki Tareekh E Wiladat 08 Rabi Ul Awwal Likhi Hai Aur Tum 12 Ko Manate Ho ?
Awwal Chiz To Ye K bil Farz Bil Farz Ye maan bhi lo k Ahmad Raza Khan Barelvi Rahmatullah Alaih Ne Yaum E Wiladat 08 Likhi Ho halanki ye jhoot hai jo aage hum saabit karenge to Bhi is se Milad Un Nabi Manana Kaise Nazayaz hogaya ?
Kisi Amal Kaa naa karna kya Is baat ki dalil hai k usme Tareekh k ektelaf hai Lihaja wo Amal Ab Nazaiz Aur Haraam Hogaya Hai ?
Ahmad Raza Khan Barelvi Rahmatullah Alaih Ne Maan Lo 08 Likhi To Hamara Sawal Hai un Khabeeso se Iblees k Shagirdo se kay kya 08 Rabi Ul Awwal Ko Phir Kya Milad Un Nabi manana Jaiz Hojayga ?
Hum Jaante Hai Tum Hargiz jawab naa doge baat dar asal ye hai k Musalmano ko Nek Amal Karne se rokne k liye ye naye naaye aitraaz laakar awaam k dimaag k saath khela jaata hai aur confuse kar diya jaata hai bhaiyo Tareekh k ektelaf koi bhi ho Lekin Eid Milad Un Nabi Manana kisi bhi surat me haraam nazaiz biddat nahi hogi ye yaad rakhle.
Ab Aaye Wo Puri Ibarat Kya Hai Jo Aala Hazrat Ne Fatawa Razaviya me bayan Ki hai  
Aala Hazrat Ne Tamam Aqwaal ko Shumar Kiya ki
“Wiladat Par 02, 08, 10, 12, 17,22 Tarikh k Aqwaal bhi Mauzood Hai Phir Iske Baad Al Muwahibul Ladunya k Hawale Se 12 Rabi Ul Awwal ko Hi Mashoor Aur Sahi Qarar Diya Hai”
(Fatawa E Razviya Vol : 26, Pg : 411)

Ye Hai Wo Puri Ibarat Adhuri baat li baaki chod di, Ahle Sunnat Ko bhi chahye k Wahabio k Fareb Makr Se Khud ko bachaye.

Wahabi Ahle Hadees Wahabi Deobandio k Kitab Se Saboot
1) Gair Mukallideen Ahle Hadees Ka Shaykul Kul Feel Kul Nawab Siddique Hasan Khan Bhopali Likhte Hai
“Nabi Ki Wiladat 12 Rabi Ul Awwal Peer K Roz Makkah Tul Mukarrama Me Fazr K Shuruwati wakt Me Aamul Feel Me Huwi, Yehi Kaul Motebar Fuqaha Ka Hai Aur Ibn Jauzi Farmate Hai Ispe Izma Hai”
(Al Shumamat Ul Aanbria Min Moolid E Khair Il Bariah, Pg : 07)
2) Suleman Nadvi Jinhe Ahle Hadees Wahabi aur Devband Dono Maante Hai
“Huzoor Nabi E Karim ki Wiladat 12 Rabi Ul Awwal Peer K Din, Hazrat Isaa Alaihsalam ki Wiladat k 571 Saal Baad Huwi”
(Rehmat E Aalam Pg : 13, Print : Dar E Arqam)

3) Akabir Mufti Shafi Devbandi Sahab Kahte Hai
12 Rabi Ul Awwal k Yaum E Wiladat Hone pe Izma Hai Imam Ibn Bajjar Farmate Hai ispe Izma Hai Aur Yehi Kaul ko Imam Ibn Aseer Al Kamil, Aur Mehmood Pasha Misri Ka Hai, Jinhone 9 ko Yaum E Wiladat Liye Hai wo Izma k Aur Bahot Saare Ulema e Islam k Khilaf hai”
(Seerat E Khatam Ul Ambiya Pg : 20, Print : Darul Ishaat)

4) Abu Aala Maudoodi Devbandi Baani E Jamat E Islami Kehte Hai Ispe Ektelaf Hai
“Lekin ibn Abi Shaeba Ne Hazrat Jaabir Aur Abbas Se Rivayat Ki Hai k Huzoor Ki Wiladat 12 Rabi Ul Awwal Peer K Deen hai Aur Yehi Kaul ko Ibn Ishaq ne Liya Hai Issi Pe Ummat K Bahot Se Fuqaha Ulema Ka Izma Hai”
(Seerat E Sarwar E Aalam Vol : 01, Pg : 93)
5) Qari Muhammad Tayyab Deobandi
“12 Rabi Ul Awwal Huzoor Ki Wiladat Hai”
(Khutbaat E Hakimul Ummat Vol : 02 Pg : 14)

“The Life Of Prophet Muhammad, pg : 13 Published Islam House Publication”
Aur Bhi Bahot Si Kitab Hai Hawale hai Har Chiz yaha likh paana bhi Mumkin Nahi Hai Yaha Humne Alhamdullilah Itne Hawale Kaul Pesh kar diye k haq parast k liye ye kaafi hai jinke dilo me Kina hai wo hargiz hazaro dalail pe bhi raazi nahi honge..

Aala Hazrat Rahmatullah Alaih Farmate Hai
HASHR TAK DAALENGE HUM PAIDAISH E MAULA KI DHOOM
MISLE FARAS NAZD K KILE GIRATE JAYNGE..

No comments:

Post a Comment